Puraani Car 3

(HuKhan, Karachi)

Kuch Bee Hu Jis Tra Sarkaar Ki Nokeri Bas Nokeri Huty Hay Isi Tra Car Bee Bas Car Hee Hutee Hay,,,,Har Car Hutee Hay Shandaar,,,,,Jasay Hu Koi Sitaraa Dumdaar.Bas Yun Samajhiye Humaree Dumm Nikal Ayee Thee ,,,Koi Dekh Kay Car Hans Diya Aur Dua Dee,,,,Koi Dekh Kay Car Jal Gia Aur Baduaa Dee.Car Jabh Start Hui Tu Asa Laga Jasay World War 3 Shuro Hu Gai Hay Ya Dushman Mulk Nay Humla Kar Diya Hu Charun Taraf Say Loghun Kay Sar Gharun Say Yun Baher Aye Jasay Sardion Mein Mongh Phali Bechnay Walay Nikal Atay Hein Humaray Dost Nay Jaldi Sey Car Ka Switch Off Kia Aur Humein Asay Dekhnay Laga Jasay Ye Sabh Dhamaky Humaree Gas Ki Bemaari Ki Waja Say Huay Hun Bahi Kia Iss Kay Liye Kuch Parha Jaye Jis Say Iss Ki Ghan Garajh Mein Kami Aa Jaye Muhalay Kay Gharun Say Bachun Ki Cheekhnay Chillanay Ki Awaazein Anay Laghee Thee Bachay Humaree Car Ki Awaaz Say Iss Qadar Dar Gaye Thay Gabhra Kay Ju Godh Qareeb Nazar Ayee Usi Par Char Kay Baith Gaye Iss Tra Say Kaee Mardun Ki Godh Bee Bhar Gai Unn Ki Mamta Ko Bee Sakoon Mil Gaya Jabh Humare Car Ka Switch Off Hua Sab Hosh Mein Aa Gaye Sab Nay Apnay Apnay Bachun Ko Pechaan Kay Godh Badhlaiee Ki Rasam Pori Ki Iss Tra Sab Ka Apna Apna Khoon Lot Aya Tha Hum Nay Car Kay Neechay Ghuss Kay Bee Dekha Kahein Asa Tu Nahi Nazar Na Anay Wali Makhlooq Ka Koi Bacha Kharee Hui Car Kay Nechay Aa Gia Hu Magar Majra Ulta Hu Gia Logh Samjhay Humaray Dost Nay Hum Par Hee Car Charaha Dee Hay Kher Jabh Hum Nechay Say Sahi Slamat Baher Aa Gaye Tu Ajeeb Ajeeb Batein Sunay Ko Mili,,,,,,Erray Kaha Jaldi Maray Ga Manhoos ,,Buraiee Bee Kabi Jallldi Khatam Hui Hay,,,Kambakhat Nay Bachun Ko Dara Diya ,,Dosree Motee See Drum Numa Khatoon Boli Eray Behan Tmhein Tu Pata Hay Meray Kalo Kay Abaa Kis Qadar Masoom Hein Asee Khufnaak Awaaz Kay Kalo Kay Abba Kalo Say Pehlay Hee Meree Godh Char Douray Bhala Bataow Kambakht Manhoos Car Ki Waja Say Mera Tu Nikah Bee Khatray Mein Par Gia Tha Baree Mushkil Say Chips Ka Bol Kay Kaloo Kay Abba Ko Behlaya Pher Kahein Jaa Kay Kalo Kay Abaa Nechay Wapis Utray Ubh Gaye Hein Kalo Lay Kar Gia Hay Apnay Aba Ko Dukaan Say Chips Delwanay,,Dosree Khatoon Jinhein Khud Ko Chota Zahir Karnay Ka Shoq E Azeem Hay Wo Bolein Eray Bahbee Aap Tu Bahut Puraani Hein Ap Kay Dour Mein Bee Nikah Hua Karta Tha Bas Pher Kia Tha Dono Car Ko Bhool Gein Lagein Ek Dosray Ko Ferown Ki Class Fellow Sabit Karnay Car Nay Aur Kia Kamaalaat Kiye Dostu Picture Abee Baqi Hay.A

HuKhan
About the Author: HuKhan Read More Articles by HuKhan: 1124 Articles with 1194446 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.