Thar Ki Kahani

(Zahra Tanveer, )

Zameen Thar Ki Ho,Raigistan Ki Ho Yeh Phr Cholistan Ki,Sar Saz O Sadab Ho Kbi Seeerab Nahi Ho Sakti Chahey Jitni Bhi Abyari Kiun Na Ki Jaey Jo Piyas Or Bhook Insan Ki Bunyadi Zarooriat Main Say Hai Wo Insane Zindagi K Khatam Hony Pir He Khatam Ho Sakti Hai Jab Tak Sanoo Kid Or Hai Bhook Bi Lgy Gi Or Piyaas Bhi Or Piyaas Ho Thar Ki Or Us Kay Basnay Waloo Ki To Kbi Nai Bujh Sky Gi Kiun Kay Jis Zameen K Nam He Thar Ho Wok Easy Seerab Ho Sky Gi,Piyaas To Piyaas Hai Aab Jitna Bhi Muyasar Ho Piyasay Ko Seerab Karny Main Nakam He Rehta Hai Or Jin Ki Piyaas Ko Bujhny K Liye Khali Daway Or Alfaz Boly Jain Pani Dia Na Jaey Unko Bila Akhir Mout He Galy Lagati Hai .

Agr Ek Riyasat Main Or Ic Kay Khuahal Awam Main Faqt Chand Masoom Bachay Or Log Bhook Say Mar Bhi Jain To Kia Hua?Marny Waly To Qahat Sali Ka Shikar Ho Kar Mary Un Ko Kesi Ny Apny Hatho Say Thori Mara Or Mar Rahy Hn Yeh To Un Ka Murda Zameer Hai Jo Khoon Kar Raha Insane Jano Ka Or Zameer Ki Adalatian Kaha Hoti Hain Bus Thapak Kar Sula Do Zameer Apnaa Bat Khatam Jo Us Jahan Ja Rahy Hn Unki To Qismat Main He Qahat Sali Thi Hmri Qismat Main Nai Hai Kash Hmri Qismat Main Likkha Hota Apny Hisay Say Unko Daina Or Ek Dard Mand Dil Yeh Alfaz Or Daway Na Diay Hoty In Alfaz Or Dawao Pur To Un Ki Sissakti Sansain Hn Or Muntazir Nighain Koi Aey Ga Un K Waseela Bun Kar Jis Say Wo Apni Bunjar Zameen Pur Sar Sab O Sadab Ho Kar Zindagi Guzarain Jo Un K Haq Hai Thar To Khud Sadioo Say Piyaasa Hai Wo To Apni Himat Say Bhar K In Logo Ko Daita Hai Apni Piyas Bhujata Nai Or Insane Ko Bunjar Hony Say Bachta Hai Lekin Aj Thar Bi Majboor Hai Uski Himat Lgta Hai Jawab Day Gae Hai Uski Nigahain Bhi Dharti K Us Par Hn Jaha Sahib E Iqtadar Hain Or Insane Haqooq Kay Alambardar Hain Thar Ki Nighain Un C Yeh Kehti Dikhai Deta Hai Kay Agr Bachay Mar Rhy Hn To Kia Hua Main In Ko Apny Andar Basal Un Ga Wo Alwida Alwida Kehty Huay Piyaas Ko Jaty Hn To Un Aaho Ko Apny Main Sama Laita Hn Jb Koi Maa Roti Hai Apny Bachy Ki Bhook P Or Wo Ankhain Nai Khola Main Mamta Kay Us Dard Ko Khud Main Jazab Kar K Or Banjar Ho Jata Hn Main To Phly He Banjar Tha Mje Or Banjar Yeh Marny Waly Kar Rhy Hain Thar Ki Yeh Dastan Kahin Thar Ko He Na Khatam Kr Day Or Hmri Any Wali Naslain Ic Bat Ko Tareekh Kay Awraq Main Parhain Or Hmry Upper Afsos Krn Kay Yeh Keasy Log Thy Jo Khud Main He Magan Rhy Kiun K Marna To Hmko Bhi Hai Hmry Jany K Bad Hamin Yad Krny Waly Easy Yad Nai Krn Gy Jeasy Thar K Faqa Zadgan Ko Kia Jaey Ga.
 

zahra Tanveer
About the Author: zahra Tanveer Read More Articles by zahra Tanveer: 15 Articles with 21872 views I want to be strong for myself .. View More