Bismilla-Hir-Rahma-Nir-Raheem
Hadees Shareef Mein Rozey Ka Bara Sawab Aya Hey Aur ALLAH Ta’ala Key Nazdeek
Rozedar Ka Bara Mertaba Hey. Nabi Alaihis Salam Ney Fermaya Hey Keh Jis Ne
Ramzan Key Rozey Mehez ALLAH Ta’ala Key Wasty Sawab Samajh Ker Rakhey Tau Uskey
Agley Pichhley Sab Gunah-E-Saghira Bakhsh Diye Ja Ainge Aur Nabi Alaihis Salam
Ney Fermaya Hey Keh Rozeydar Ki Mun Ki Badbu ALLAH Ta’ala Key Nazdeek Mushk Ki
Khushbu Sey Ziadah Piari Hey. Qiamat Key Din Rozey Ka Behad Sawab Miley Ga.
Riwayet Hey Keh Rozedaro Key Wastey Qiamat Key Din ALLAH Pak Key Arsh Key
Neechey Dasterkhuwan Chuna Jaeyga Aur Rozeydar Us Per Beth Ker Khana Kha Einge
Jabkeh Doosrey Log Abhi Hisaab Mein Hi Phansey Huwey Hoongey. Isper Who Log
Kaheinge Keh Yeh Log Kaisey Hein Keh Kha Pi Rahey Hein Aur Ham Abhi Hisaab Mein
Hi Phansey Huwey Hein, Unko Jawab Mileyga Keh Yeh Wo Log Hein Keh Jo Roza Rakha
Kertey They Aur Tum Log Roza Na Rakha Kertey They.
Yeh Roza Bhi Deen-E-Islam Ka Bara Rukn Hey Jo Koi Ramzan Key Rozey Na Rakheyga
Bara Gunahgar Hoga Aur Uska Deen Kamzor Hojaeyga.
Masla No. 1: Ramzan Shareef Key Rozey Her Musalman Merd, Aurat (Aaqil, Baaligh)
Per Ferz Hein, Jab Tak Koi Uzr Na Ho Roza Chhorna Durust Nahi Aur Agar Koi Rozey
Ki Nazer Karey Tau Roza Ferz Hojata Hey Aur Qaza Aur Kaffrey Key Rozey Bhi Ferz
Hein. Nafil Rozey Agar Na Rakhey Tau Koi Gunah Nahi, Rakh Liye Tau Sawab Milega.
Saal Mein 5 Din Roza Rakhna Haram Hey, Eid-Al-Fitr Key Roz, Eid-Ul-Azha Key Roz
Aur 2, 3 Aur 4 Zilhijja Key Roz, Yani 1st Zilhijja Sey 4th Zilhijja Tak Lagataar
4 Din Aur 1st Shawwal Ani Eidul Fitr Key Roz. In 5 Dino Mein Agar Koi Roza
Rakhey Ga Tau Sakht Gunahgar Hoga. (Ibadat ALLAH Pak Key Hukmo Ko Nabi Alaihis
Salam Key Tareeqey Key Mutabiq Kerney Ka Naam Hey) Roza, Ibadat Kerney Ka Ek
Tareeqa Hey, Jaisey Namaz Ek Tareeqa Hey Aur Hajj O Zakaat Hein; Jab ALLAH Pak
Ka Hukm Aajaey Keh Roza Rakho Tau Ab Roza Rakhna Ibadat Aur Ba’is-E-Sawab Hey
Aur Jab Yeh Hokum Aajaey Keh Inn Dino Mein Roza Na Rakho Tau Inn Dino Mein Roza
Na Rakhna Ferz Hey Aur Baais-E-Sawab Hey.
Masla No. 2: Jis Waqt Sey Fajr Ki Namaz Ka Waqt Shuroo Hota Hey Iss Waqt Sey
Leker Suraj Ghuroob Honey Tak Rozey Ki Niyet Sey Sab Khana Aur Peena Chhordey
Aur Mian Biwi Ham-Bister Bhi Na Hoon Tau Shariyet Mein Isko Roza Kehtey Hein.
Masla No. 3: Zabaan Sey Niyet Kerna Aur Kuchh Kehna Zuroori Nahi Hey Balkeh Dil
Mein Yeh Dhiyaan Hey Keh Aaj Mera Roza Hey Aur Din Bher Na Kuchh Khaya Na Pia
Aur Na Ham Bistari Ki Tau Uska Roza Hogaya Aur Agar Koi Zaban Sey Bhi Kehdey Keh
Ya ALLAH Mein Kal Roza Rakhonga Ya Rakhongi Ya Arbi Mein Kehdey (Wa Be
Som-E-Ghadin Nawaito Min Shahr-E-Ra,Azan) Ramzan Key Ferz Rozey Ke Liye Aur
Ghair Ramzan Ka Nafli Roza Hey Tau Sirf (Wa Besom-E-Ghadin Nawait) Som Key Mani
Roza, Ghadin Yani Anewala Din, Nawait Key Mani, Niyet Kerta Hoon Ya Kerti Hoon.
Yani Agar Zaban Sey Adaigi Bhi Kerley Tau Bhi Behter Hey, Warna Tau Dil Key
Iradey Ka Naam Hi Niyet Hey.
Continuing On Rozey Ka Bayan – Ii…………………