Pani Dedo

(Chiraghdeen, Karachi.)

Bismilla-Hir-Rahma-Nir-Raheem

Janab Rasoolullah (SallALLAHu Alaihe Wasallam) Ne Fermaya Keh Koi Shakhs Kisi Jungle Mein Tha Keh Yakayek Us Ney Ek Badli Mein Yeh Awaz Suni Keh Falan Shakhs Key Bagh Ko Pani Dey, Iss Awaaz Key Saath Wo Badli Chali Aur Ek Sangistan Mein Khoob Pani Bersa, Phir Bersaat Ka Tamam Pani Ek Naley Mein Jama Hoker Aagey Ki Jaanib Chala, Yeh Shakhs Iss Pani Key Peechhey Peechhey Chala Takeh Yeh Dekh Sakey Keh Yeh Pani Kis Taraf Ko Jar Aha Hey, Aagey Jaker Dekhta Hey Keh Ek Shakhs Apney Bagh Mein Khara Huwa Belchey Sey Us Aye Huwe Pani Ko Phelaraha Hey. Us Shakhs Ney Bagh Waley Aadmi Sey Uska Naam Poochha Tau Us Aadmi Ney Wohi Naam Bataya Keh Jo Us Shakhs Ney Badli Sey Suna Tha Phir Bagh Waley Aadmi Ney Us Shakhs Sey Kaha Keh Too Mera Naam Kiyoon Poochhta Hey Tau Us Shakhs Ney Jawab Dia Keh Meinney Us Badli Mein Keh Jis Ka Pani Too Apney Bagh Mein Phaila Raha Hey Ek Aawaaz Suni Keh Tera Naam Leker Kaha Gaya Keh Uskey Bagh Ko Pani Dey. Tau Mein Yeh Maloom Kerna Chahta Hoon Keh Too Aisa Kia Amal Kerta Hey Keh Is Qadar Maqbool Hey? Us Aadmi Ney Jawab Dia Keh Ab Jabkeh Tum Ney Pooch Hi Lia Hey Tau Mein Batadeta Hoon Keh Mein Iss Bagh Ki Kul Paidawar Key 3 Hissey Kerta Hoon, Ek Tehai Khairaat Kerdeta Hoon, Ek Tehai Apney Baal Bachon Key Liye Rakh Leta Hoon Aur Teesra Ek Tehai Phir Iss Bagh Mein Laga Deta Hoon.

Faeda:
Subhan ALLAH, Kia ALLAH Ki Rehmat Hey Keh Jo Iski Itayat Kerta Hey Uskey Kaam Ghaib Sey Iss Tarah Ser Anjaam Hojatey Hein Keh Usko Khaber Bhi Nahi Hoti – Beshak Sach Hey Keh Jo ALLAH Ka Hogaya, ALLAH Uska Hogaya..

(Makhooz Bahishti Zaiwer)
 

Chiraghdeen
About the Author: Chiraghdeen Read More Articles by Chiraghdeen: 56 Articles with 196258 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.