ALLAH Ki Tasveer

(Sayyeda Ariba, Latur)

Mere Pas Ek 12 Sal Ki Ghair Mazhab Larki Ate Hai Ham Dono Mai Bara Lagav Hai Ek Din Mujhe Namaz Parhta Daikh Kar Usne Mujhse Kaha Mujhe Apke ALLAH Ki Tasveer Daikhni Hai. Mai Ne Kaha Mere ALLAH Ke To Koi Tasveer Nahe Hai. Kiyo? Kiyo Nahi Hai Koi Tasveer Mere Pas To Hamare Devi Davta Ki Bhot Tasveere Hain Phir Ap Namaz Kaise Pahte Ho? Maine Kaha Mai Khyal Karti Ho Ke ALLAH Samne Hai Or Parhne Lagte Ho Or Agar Ham Sache Dil Or Payar Se Dhain Se Namaz Parhe To Hamai Khuda Ke Shibaht Zaror Dikhai Daite Hai Vo Larki Kafe Dair Tak Hairan Hote Rahe.

Duniya Ke Har Mazhab K Log Hain Jo Kise Na Kise Ko Khuda Bana Kar Pujte Hain Or Har Ek Ke Pas Apne Khuda Ke Tasveer Mojod Hai Jo Kisi Zamane Mai Ache Insan Ya Bure Insan Rahe Honge ALLAH Ne Hm Se Kuch Nahe Manga Or Sab Kuch Diya Uske Banai Duniya Mai Hazaro Khuda Banakar Dandanate Phirte Hai Phir Bhe ALLAH Sabr Karte Hain Hamare Ghar Mai Aakar Koi Dhons Jamaye To Ham Log Uske Ache Khase Khaber Laite Hain Hm Log Itna Bardasht Nahe Kar Pate Jabke Vo Ghar Vo Zamen Hmari Nahe Khuda Ke Amant Hai ALLAH Hmari Ibadato Se Baineyaz Hai Uske Pas Lakho Farishte Ise Kam K Liye Hain Hm Par Jo Farz Kiya Hamare Bhale K Liye He Kiya Jistarha Ham Apne Avlad Ko Duniya Ke Burai Se Taklif Dukh Se Parishani Se Bachane K Liye Un Par Pabandi Ayad Karte Hai Use Tarha ALLAH Chahte Hain Ke Hm Apne Rah Se Bhatk Kar Dukh Or Taklif Mein Na Par Jaen Ise Liye Ye Farz Kar Rakha Hai.

Har Mazhab Ke Butkody Mai Aarayish Zaibayish Or Sajavat Zaivrat Par Ziyda Dhain Diya Jata Hai Laikin Masjedo Mai Ziyada Sadge Ko Tarjij Di Gye Hai Ek Bar Ek Shaitan Jin Ka Guzar Masjid Par Se Hua Usne Socha Chlo Aj Badshaho Ke Badsha Jis Ke Bari Tarif Sun Rakhe Hai Uska Ghar Daikh Liya Jaye Or Vo Insani Shakal Mai Dakhil Hua. Or Hairan Parishan Hogya Sare Duniya Ka Malik Sare Kaynat Ka Takhlikh Kar Ka Ghar Itna Sada Itna Khali Na To Zaibayish Na To Aarayish . Usne Vaha Baithe Ek Shakhs Se Pucha Itne Bade Malik Ka Ghar Itna Sada ?Us Shakhs Ne Javab Diya ALLAH Ko Kis Cheez Ke Kami Hai Jis Ne Sab Kuch Banaya Uske Ikhtiyar Mai Kiya Ye Nahe Ke Palk Jhpkte Sab Kuch Sajadai Laikin Khuda Ko Sadgi Pasand Hai Dil Ke Sadgi Ghar Ke Sadgi Har Cheez Ke Sadgi .Ye Sunkar Vo Jin Bhot Mutasir Hua Deen K Bare Mai Pure Tarha Jan Kar Vo Muslman Hogya.

ALLAH Hm Se Baipanha Payar Karte Hain Hm Bandy He Samjh Nahe Pate Muskil Se Ghabra Kar Har Ek Pathar Mai Khuda Talash Karte Hain.

Mujhe Ek Qissa Yad Araha Hai Ek Pujari Sari Duniya Tark Kiye Shaitan Ki Puja Karta Ek Din Ghalte Se Uske Zuban Se Jaap Karte Vaqt Galte Se "Samad" Nikal Gya ALLAH Ne Use Vaqt Kaha'bol Mere Bande' Ye Daikh Kar Farishte Hairan Hogye Sajde Mai Jhuk Gye Adab An Guzarish Ke Illahe Majra Kiya Hai.

ALLAH Ne Muskra Kar Farishto Ko Daikha Or Farmaya 'Ye Shaitan Ke Baihase Hai Ke Usne Us Insan Ke Na Sune Ye Mere Rahmat Hai Ke Usne Pukara Maine Suna' Qarien Karam Ap Khud He Faisla Karo Munafiq Ke Ghalte Se Pukarne Par ALLAH Ne Javab Diya To Sahb A Iman Logo Ka Alm Kiya Hoga. Parishani Dukh Se Muslman Ghbra Kar Dargaho Jhote Piro Ke Pas Jate Hain Tazim Karne Ke Liye Sijde Karte Hain Kassh Hm Muslman ALLAH Ke Muhabbat Ko Daikh Laite To Kise Dar Pai Sar Na Jhokate Us Dar K Siva.

Hm Muslman Bhe Pak Saaf Iman Ke Malik Hojae Kiyo Ke Har Gunnah Maf Hai Magar Shirk Nahe Hum Tamam Muslman Orto Or Mardo Ko ALLAH Sahe Rah Par Sahe Tariqe Se Chalne Ke Tofeq Ata Kare Ameen.

Sayyeda Aribaa
About the Author: Sayyeda Aribaa Read More Articles by Sayyeda Aribaa: 17 Articles with 24537 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.