Duniya Mein Tourism Ek Bahut
Baree Industry Ban Chuckee Hay Iss Tra Hazarun Logh Na Serf Rozgaar Say Wabista
Hein Balkay Wo Apni Saqafat,History Aur Mazi Haal Mustqbil Say Pori Duniya Ko
Khamoshi Se Roshnaas Bee Karwa Detay Hein Sweden Kay Logh Bee Isee Qabilay Say
Taluq Rakhtay Hein Sweden Kay Kiruna Say 17km Kay Faslay Par Ek Gaon Mein Duniya
Ka Pehla Ice Hotel Qaim Kiya Gaya Hay Ye Gaon Sweden Kay Shumaal Mein Hay Iss
Kaa Naam Jukaasjarvi Hay Iss Ki Pehli Opening 1990 Mein Huee Thee Chunkay Ye
Hotel Ice Kay Baray Baray Bloks Say Banaya Jata Hay Iss Liye Iss Ki Taameer Har
Saal December Say April Tak Kay Mahinay Kay Liye Hutee Hay Iss Hotel Ki Sab Sey
Khaas Baat Serf Ye Hee Nahi Hay Ye Ice Say Banaya Jata Hay Balkay Iss Ka
Furniture Jis Mein Hotel Ki Chairs Aur Bed Bee Shaamil Hein Ice Bloks Se Hee
Banye Jatay Hein Ju Kay Qareeb Hee Darya E Torne Say Hasil Kiye Jatay Hein Mulk
Bhar Kia Duniya Bhar Say Artist Bulla Kay Iss Ki Decoration Aur Bar Rooms Ko
Create Kiya Jata Hay Ye Sab Kuch Manfi 5 Kay Darjha E Haraarat Par Qaim Rakha
Jata Hay Kaha Jata Hay Kay 1989 Mein Yahan Japnies Artist Aye Thay Aur Kai
Numaieshun Ka Inqaad Kiya Giya Tha Ek Raat French Artist Jis Ka Naam Jannot
Derid Bee Isee Qasbay Mein Tha Wo Yahan Igloo Shape Ki Numaiesh Kay Inayqaad Kay
Liye Aya Tha.Ek Raat Poray Qasbay Kay Kici Bee Hotel Mein Ek Bee Room Khali Na
Tha Tu Wahan Room Say Mehroom Reh Janay Walay Siaahun Nay Numaiesh Kay Liye
Qaiem Kiye Gaye Igloo Mein Raat Basar Karnay Ki Khahish Zahir Ki Un Ko Numaishi
Hall Mein Qaim Iglooz Mein Chamra Bicha Kay Sleeping Bags Mein Raat Guzaarni Ki
Ijazat Mil Gai Iss Tra Wo Pehlay Awaleen Mehmaan Ban Gaye Jinhun Nay Ek Tra Say
Ice Room Mein Raat Guzari.Ye Ice Hotel 64000 Sq Foot Area Par Muheet Hay Iss
Mein 55 Rooms Hein Jabh Kay 10 Khanay Kay Hotel Hein Har Ek Kamray Ko Alagh
Alagh Artist Nay Decorate Kiya Hay.Aap Sochiye Duniya Kahaa Jaa Rahee Hay Hum
Ajh Bee Hotels Mein Mojudh Khtmal,Machar Aur Mr Laal Baigh Khtam Nahi Kar Paye
Humaray Yahan Itni Bijli Hee Nahi Kay Humaray Ghar Kay Freeser Mein Hee Barf Ban
Sakay Sardee Mein Gas Short Garmi Pani Bijli Short,,,,Janay Kab Hun Gay Kam Meri
Qom Kay Gham,,,,,,Dostu Shukar Karu Humein Ice Hotel Naa Hee Sahi Ice Cream Tu
Mil Hee Rahee Hay Jabh Tak Asay Hukmaraan Hein Ap Sab Sajhda E Shukar Isi Par
Ada Karu.