Khokhllay Insaan/Thought Of The Day

(HuKhan, Karachi)

Yaar Uss Ki Baatein Beymani See Hein,,,,Wo Dekhaway Ka Shoqeen Hay,,,,Uss Ki Hansi Mein Masomiyat Nahi Maqaari Hay,,,,Apnay Matlab Say Milta Hay,,,,,,Jahan Kuch Faida Hu Wahan Paya Jata Hay,,,,,,Bheek Bee Moqa Mahal Dekh Kay Deta Hay,,,,,,Waqt Parnay Par Nazar Hee Nahi Ata,,,,,,,,Bolo Asay Shakhs Ko Kia Kehan Chaiye,,,,,Lallchee,,,,Moqa Parast,,,,Matlabi,,,,Keena....Mein Nay Kahaa,,,,,,,,,Nahi Asa Shaks Ka Koi Unwaan Koi Naam Koi Pehchaan Nahi Hutee,,,,,,,,,Tu Pher,,,Mein Bola Bas,,,,,,,,Asay Logh Bahut Khukhlay Hutay Hein Andar Se Deemak Zada ,,,,,,,,,Bemaar,,,,,Khali Bartan Jasay Koi Andehra Kanwan,,,,,,,,Bas Unhein Koi Naam Ya Unwaan Dena ,,In Sabh Ki Touheen Hay,,,,,,Wo Bola Acha Pher ,,Muhabat ,,,,Ye Kiya Hay,,,Muhabat,,,,Wo Hay Ju Intezzar Nahi Karwatee,,,,,,,Ju Tana Nahi Detee,,Ju Hamdard Ban Jaye,,Ju Muskarahat Ban Jaye,,,,,,,,Ju Khushi Hee Khushi Hu,,,,Har Jagah Ap Ko Wo Waqt Par Paye,,,,,Har Lafz Mein Sachaiee,,,Har Soch Musbat,,,,,Har Amal Pakiza,,,,,,,Har Lamha Dil Ki Muskarahat ,Har Baat Dil Sey Nikaltee Hu,,,,,,,,,,,Ju Jismani Lazat Say Dour Hu,,,,Jis Mein Ankhein Boltee Hun,,,,Pher Izhaar Kasay Hu,,,,Uss Nay Ek Aur Sawaal Dagha,,,,,,,Ye Ju Baar Baar Zubaan Say Kaha Jaye,,,Yaad Delaya Jaye.....Miss You....Love You,,,,Cares You,,,,,Feels You,Kaha Jaye ,,,,,,,,,Ye Muhabat Nahi,,,,,,Ye Serf Zubaan Ka Chaska Huta Hay Bas Zubaan Ki Asee Ayashi Jis Ka Haqiqat Se Koi Taluq Nahi Bas Time Pass,,,Loghun Nay Muhabat Ki Gawahee Kay Liye Valentine Day Ejaadh Kiya,,,,,,,,,Shaer Bhar Kay Phool Aur Ban Jao Ya Bana Lo Fool,,,,,,,Day Over Love Gone Over,,,,Pher Muhabat Kasay Sabit Hu,,,,,,,Mein Muskara Diya,,,,,,,Allah Ki Gawahee ,,,,,,,Chota Sa Ghar,,,,,Bahut Saa Piaar,,,,,Kuch Anghan Mein Bahgtay Dourtay Masoom Sey Phool....Din Raat Ka Sath,Dukh Sukh Sanjhay,Serf Sach,,,,,Naam Mein Shirakat Daari,,,,Ye Muhabat Hay Agar Ye Sab Na Kar Saku Tu Ba Khuda Muhabat Ko Badnaam Na Karu,,,,Jisay Muhbat Hu Usay Badnaam Na Karu,,,,Amanat Mein Khiyanat Duniya Aur Akhirat Ki Barbaadee Hay

HuKhan
About the Author: HuKhan Read More Articles by HuKhan: 1124 Articles with 1254843 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.