Hazrat Ye Kiya,,Aap Apni Shaam
Khud Hee Manaa Rahay Hein,,,,,Ye....Kiya Nai Rewayat Daal Rahay Hein,,,Har Koi
Mazaaq Uraye Ga,,,,Koi Bee Isay Acha Nahi Samjhay Ga,,,,,,,,,,Mana Kay Aap Khud
Sakhta Likharee Hein ,,,,,Magar Pher Bee Hu Sakta Hay,,,,Kal Ko Sab Ki Aqal Par
Parda Par Jaye ,,,Balkay,,Pathar Par Jaye Aur Wo Ap ,,,Ko,,Behasiyat Likharee
Tasleem Kar Hee Lain,,,,,,,Pher Subah Shaam Dophehar Kuch Bee Mana Lijiye
Ga,,,,,,,,,,,,,,Hum Nay Mirza Sahib Ki Kici Baat Ko Lift Hee Naa Dee,,Wo Tu
Wesay Bee Bahut Hee Khudparast Kisam Kay Admee Hein,,,,,,,,,,Apni Churee Ki Huee
Ghazlein Suna Suna Kay Humaray Ek Kaan Ko Pora Aur Dosray Ko Adha Behra Kar
Chuckay Hein,,,,,,Hum Poree Raat Allah Ka Naraz Kar Kay Jhotee Jhotee Wa Wa
Kartay Rahay Hein Magar Majaal Hay Kay Kabi Humaara Kuch Suna Ya Para
Hu,,,,,,Apnay Liye Ghar Kay Baher Kay Totay Huay Tharay Par Mushaira Karwatay
Hein Magar Khud Hee Ssadar E Mushaira.,,,Khud Hee Maizbaan,,,Khud Hee Mehar
Baan,,,,,,,,Oper Say Muhalay Kay Saray Ganday Ganday Bachay,,,,,,,,Pasay Dey Kay
Bitha Laitay Hein Ju Un Ki Bakwas Par Wa Wa Kartay Hein Baqi Sab Ki Baree Par
Toubah Toubah Kartay Hein,,,,,,,,,,,,,Mushaira Shuro Hee Apni Mughaalzaat E
Adabh Maaf Kijye Ga Ghazliyaat Say Kertein Hein,Us Kay Baad Darmiyan
Mein,,,,,,,,,,,,,Pher 2nd Last,,,,,Pher Third Last Aur Pher Last Mein Apni
Behudha Poetry Suna Suna Kay Loghun Ka Pait Khurabh Kar Detay Hein,,,,Kal Hee
Raat ,,,,Ghazal Suna Dali,,,Unwaan Tha,,,,, Meri Perosan,,,,,Sheir Arz
Kia,,,,,Meri Perosan Kia Cheese Hay,,,,,, Har Cheese Uss Kay Samnay Na Cheese
Hay,,,,,,,,,,,,Makhan Bee Uss Kay Samnay Kia Cheese Hay,,,,,,, Bas Samjhu Ala
Darjay Ka Piece Hay ,,,,,,,Meray Liye Tu Bas Wo Hi Paneer Hay,,,,,,,,,,,,Abhee
Wo Perosan Kay Baray Mein Mazeed Gul Afshani Karnay Walay Thay Kay,,,Un
Kay,,,,Persoan ,,,,Kay Sar Taj Pehalwaan Ko Kici Nay Ye Sabh Bata
Diya,,,,,,,,Bas Pher Kia Tha,,,,Mirza Sahibh ,,,,,,,,,,,,Totay Photay Ghar
Pohanchay,,,,,,Hum Ba Mushkil Kici Aur Ki Jutty Mein Paon Daal Kay Apni Jaan
Bacha Kay Wahan Say Sar Par Paon Rakh Kar Bahghay.Kher Hum Nay Mirza Ki Tasalee
Kay Bata Diya Kay Ye Shaam Ju Hay Humaray Naam Hum Nahi Mana Rahay Balkay Logh
Mana Rahay Hein ,,,Mirza Heranghi Se Bolay Wo Kasay,,,,,,,,,,,Hum Bolay Poray
Muhalay Se Chanda Akhata Kiya Hay,,,,,,,,,,,,,,Keh Diya Tha Mirza Kay Abu Ji Ki
Iss Saal Mein Teesree Dafa Barsee Mana Rahay Hein,,,Iss Tra Sab Ki Tasalee Bee
Hu Jaye Gee ,Kay,,,,Kici Din Aap Bee Iss Muhalay Ki Jaan Chore Jaien
Gay.....Mirza Nay Asbaat Mein Sar Hilaya,,,,Bolay Wah Mian,,,Baja Farmaya.