Ujala
(Sadia Ali Khan, karachi)
Zindagi bahut hi ajeeb raftar se chal rhi hai. Gharri ki tik tik ki tarah Jaise
makhsoos kia hua alarm, na jane kub yeh alaram baj pare or Zindagi ki sub s Bari
haqeekat mout se roshnas hona pare. Fark sirf Itna hai ghari ka alarm insaan set
krta hai, jubke insani zindagi Ka alarm ALLAH PAK ne set kr rakha hai. Zindagi
kabhyi apni si Lagti hai to kabhi bahut ajnabi si, isi munasbat s shayr n kia
khub Kaha hai
Kabhi to sare chehre jane pehchne lagte hai
Kabhi apne hi khado khal begane lagtte hai
Mene bhi kia aap logo ko bore karna shuru kr dia. Khair meri to Adat hai aisa
Mei Nahi kehti, aksar mujh se milne wale kehte hai Mei ujala: Mei nahi janti
mene y apna naam q rakha q k ujale mei aksar bahut Kuch dikhai dene lagta hai or
aankhien bund kr lene s andhera nhi Hua krta.aap dekhna chahein y Na
chahien.wakt theray hai na kabhi Kisi k lie or na theray ga.wakt ki
tanabien agra hath s choot jaie to zindagi be lagam ghore ki tarah dorti hai. Ub
mei aap ko apne baki Ghar waloon se milwati hun.
Papa: bureaucrats, MAA : social worker, Hum panch behan bhai:Qanoon, mazhab,
tradition, culture,politics. dhair sare Dost “badlte mausam” phir bhi tanhai,
kho jane ka darr, kuch kr Guzarne ki umang akhir kub sb k dil pr mera raj hoga
(I mean ujale ka) Subha ki pehli kiran mere aane ka pegham deti hai or dobta
soraj mujhe Uudas krta hai. Jaise: Kisi afsane ka aakhir kareeb araha hai. Kari
ka intrest bartha jar aha hai Bilkul isitarah “yeh dunia day by day” rangeen or
dilchasp hoti ja rahi hai. Bachpan s le kar aj tak mujhe andhre se khuf ata hai.
Q k hamare saye Hum se aage Jo chalne jo lagte hai. Think and decide. Where we
are going? What we are doing? Khone s phele apne aap ko palein. Andhaira hone s
phele roshni ko apna lein.