Agar Aap Ko Pata Chalay Koi
Insaan Har Jagah Yeni Office,,,School,,,,College,,,,Shadi....Apni
Baraat,,,Apni,,Mout ,,Apni,,Paidaash,,,,Par Hamesha Late Pohanchta Hay Tu Foran
Samajh Jaieye Wo Mazloom Insaan Karachi Mein Rehta Hay,,,,,Ubh Tu Kai Moulvi Yun
Bee Musalmanu Ko Allah Ki Rehmat Aur Maaf Karnay Ki Misaal Detay
Hein,,,,Suno,,,,,Musalmanu,,,,,Agar Tumharay Gunah Karchi Ki Traffic Se Bee
Zaydaa Hun ,,,,,,,,,,,,,,,Tu Bee,,,,,Sachi Toubah Say,,,,Maaf Kar Diye Jao
Gay,,,,,Ek Humaray Dost Nay Kahaa,,,,,,Khan Sahib Aap Bahut Lazy Hu,,,,,Hum Nay
Uss Ki Baat Ko Yun Taal Diya ,,,Jasay Hakoomat E Waqt,,,Ghareeb Kisaan,,,,Junior
Doctors Ya Sarkaree Mualzimoun Ki Faryaadun Ko Taal Detee Hay,,,Kher Hum Nay
Baat Barhanay Ki Gharz Se Poch Hee Lia,,,,,,,,,,Hum Kasay Susst Hein,,,,,Wo
Kehnay Lagay,,,,,Aap Sab Behan Bahion Mein Sab Se Last Mein Duniya Mein Qun Aye
Ye Bee Sustee Ki Zamray Mein Hee Ata Hay,,,,,,Humein Koi Jawab Samajh Nahi
Aya,,,,,,Hum Nay Jhat Say Kahaa,,,,,,,Traffic,,,,,,,Karachi Kaa Traffic Dekha
Hay Iss Mein Koi Bhala Apnay Time Par Kasay Paida Hu Sakta Hay,,,,,,Ek Khud
Sakhta Danishwar Nay Tu Yahan Tak Keh Diya Ye Duniya Karachi Ka Traffic Hay Aur
Hum Sab Iss Kay Musafir,,,,Hum Nay Ek Wazeer Se Poch Liya,,,,,,,,,,Hum Duniya Se
Iss Qadar Pechay Qun Hein,,,,,,,,,,,Wo ,,,,Bola Traffic,,,,,,,,,,,Har Chese Late
Atee Hay,,,,,Ghar Mein Gas Late ,,,,,Bijli
Late,,,,,,,,,,,,,,Pani,Taleem,,Sehat,,,Rozghaar ,,,,,,,,,,Sab Ki Late Amad Ki
Waja Ye Traffic Hee Hay,,,,Kash Kuch Politician Aur Sarkaari Officer Iss Traffic
Ki Nazar Hu Kar Hamesha Kay Liye Duniya Mein Anay Say Late Hu Jatay,,,,Pata Nahi
Kis Jungal Mein Paida Huay Thay,,,,,,,Time Par Paida Hu Kar Humara Time Kharabh
Kar Diya,,,,,Koi Bee Kaam Karnay Ko Tyaar Nahi,,,,,,Garee Wala Bee Pichay Hutnay
Ko Tayaar Nahi,,,,,Hazrat Ye Karachi Hay Shekhupura Ya Gujrat Nahi,,,,,,Traffic
Hay Jaam Jabh Kay Aam See Hay Sarak,,,,,,Koi Shahra E Aam Nahi,,,,Koi Hay
Pareshaan Ya Nahi,,,,,Is Se Kici Ko Koi Sarokaar Nahi.