Subah E Fee Zamanaa

(HuKhaN, Karachi)

Jasay Jasay Tarqee Asmaan Se Batein Kar Rahee Hay Wesay Wesay Tabdeli Aa Rahee Hay Is Tabdeli Ya Change Ko Jidat Ya Moderation Bee Kaha Jata Hay,,,,,,Ju Insaan Iss Kay Sath Sath Khud Ko Nahi Badal Pata Wo Peechay Reh Jata Hay Uss Kay Junior Ya Uss Kay Bal Bachay Agay Nikal Jatay Hein,,,,,Chalo ,,,,,Ye Tu Huee Scienetific And Social Promotions Magar Had Tu Ye Hay Kay Insaani Suabh Shaam Raat Bee Fee Zamana Changes Hu Rahee Hain Ju Kay Zara Samajh Se Balaa Tar Hein,,,,,Baat Samjhnay Kay Liye Humein Thora Saa Khud Ko Bee Change Karna Hu Ga,,,,,Dekhiye ,,,,Pehlay Subah Hutee Thee,,,,,Logh Allaram Clock Ko Band Kar Kay Check Kia Kartay Thay Ubh Sab Se Pehlay Cell Phone Check Kartay Hein,,,,,Pehlay,,,,Zarori Kaam Ka Khud Par Load Check Kia Jata Tha,,,,,Ubh Face Book Par Status Upload Kiya Jata Hay,,,,Wo Hi Amma Ji Ya Begum Kay Hath Ka Jala Hua Paratha Kha Kay,,,,,Face Book,,,,,,,,,,Par Wow,,,,,,,,Yummy,,,,Tasty Ka Jhoota Status Up Load Kar Detay Hein,,,,,,Jabh Maa Se Ya Begum Say Iss Bay Zaiqa Nashtay Ka Kahaa Jaye Tu Agay Se Jawab Milta Hay ,,,,,,,,,Itni Salary Aur Asay Munh Ko Asa Hee Nashta Dastiyabh Kia Ja Sakta Hay,,,,Pehly Logh Subah Uth Kay Gaye Ya Gawalay Se Dodh Lay Kar Wohi Ghisa Pita Jumla Kaha Kartay Thay,,,,,,,,,,,Ajh Dooddh Patlaa Bahut Hay,,,,,Wo Bee Ek Hee Jumla Sun Sun Kay Dheet Hu Chucka Huta Tha,,,,,,Bas,,,,,,,,Chand Ratay Huay Fiqray Keh Diya Karta Tha,,,,,,,,,,,Behans Nay Kal Pani Bhut Pee Lia Tha,,,,,Ya,,,Raat Bhar Behans Pani Mein Hee Park Thee,,,,,Ajh Kal Hum Iss Kay Bajaye Dekhtay Hein Konsay Dooddh Kay Dabay Mein Khaad Kam Mili Huee Hay Ya Tea Whitener Tu Nahi Lay Aye,,,,Cycle Ko Bnda Ya Pher Motor Cycle Ko Kapraa Mara Jata Tha Wohi Kapra Bnda Apny Munh Par Hee Maar Lia Karta Tha,,,,,Ubh Isaani Munh Se Mehanghy Lotion,,,Shaving Cream,,Gel,,Razor Aa Gaye Hein,,,,Banda,,Un Kay Istemaal Kay Baad,,,,Tesree Makhlooq Zayda Laghta Hay Bachun Ko Bee Ammi Abbu Ki Shanaakht Mein Bahut Mushkil Pesh Atee Hay,,,,Cell Phone Aur Mareezun Wala Nashta Ye Ajh Ki Subah Kay Wo Parameters Hein Jisay Aap Change Keh Saktay Hein,,,,,,,,Pehlay Logh Subah Uth Kay Warzish Saier Sapatay Ko Nikal Jaya Kartay Thay News Paper Paray Jatay Thay,,,,,,,,,,,,,,Bas,,,,,,,,,,Ajh Kal Serf Ye Dekhtay Hein Taza Dhamaka Kaha Hua Hay,,,,Dostun Behan Bahion Reshta Darun Se Mila Julla Jaya Karta Tha,,,,,,,Ubh Face Book Par Hee Hello Hi Hu Jatee Hay,,,,,,,,,,Bachay Mamon Ko Nahi Pehchantay Mamon Ko Pata Hee Nahi Huta Uss Kay Khandaan Ki Abadee Perosee Mulk China Kay Barabar Hunay Wali Hay.Baat Niklay Gee Tu Bahut Door Tak Jaye Gee Isi Liye Baqiya Raam Kahaani Pher Kici Waqt.

HuKhaN
About the Author: HuKhaN Read More Articles by HuKhaN: 1124 Articles with 1254126 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.