AAo Sochen Zara - Part 2
(Syed Sheeraz Tasleem, Karachi )
Aaj Ki Raat Koi Aam Raat
Nahin Hai Meri Zindagi Main Aaj Main Sirf Apne Allah Aur Apne Mazhab Kay Liye
Jag Raha Hon Ye Azam Lekar Kay Aaj Mujhe Kuch Karna Hai Mujhe Aisa Lagta Hai Kay
Shayad Aaj Ki Raat Mere Khuda Ne Mujhe Hidayat Atta Farmadi Hai Main Aaj Apni
Kafiat Bata Nahin Sakta Ke Aaj Ye Kounsa Walwala Hai Mere Iradon Main Aaj Main
Ye Dua Karta Hon Ke Aye Mere Allah Tu Meri Tarhan Har Bande Ko Naik Hidayat Atta
Farmade Aur Sacha Musalman Banade Mere Azeez Doston Apni Namaz Ke Baad Aur Phele
Hamara Farz Banta Hai Kay Hum Doosron Ko Bhi Namaz Ki Dawat Den Yehi Nahin Mere
Doston Islam Ki Bhi Dawat Dena Aur Issey Promote Karna Har Musalman Ka Farz Hai
Mere Doston Wo Waqt Door Nahin Kay Hum Sochen Ab Waqt Guzar Gaya Hai Ab Waqt Hai
Kuch Karne Ka Tu Aao Kuch Kar Ke Deckhaen Bata Den Is Duniya Ko Kay Zinda Hai
Musalman Jis Facebook Per Hamare Nabi Hazrat Muhammed Mustafa Sallallaho Alaihey
Wasallam Ki Shan Me Mazallah Gustakhi Ki Gae Jis Padri Ne Mazallah Quran Shareef
Ke Nuskhey Ko Mazallah Shaheed Karne Ka Azam Kiya Unko Bata Den Apne Msg Kay
Zariye Kay Zinda Hai Musalman Hum Facebook Per Larkiyon Se Chat Karne Apne
Azeezon Se Chat Karne Aur Mukhtalif Kamon Me Masroofe Amal Deckhae Dete Hain
Wahan Agar Hum Ek Achey Kaam Ko Shoro Karen Logon Ko Namaz Ki Dawat Den Islam Ki
Dawat Den Tu Kitna Acha Ho Tu Ayen Meri Community Join Karen Jis Ka Naam Hai
Islam Musalman Ayen Mere Is Naik Kaam Main Mera Sath Den Ye Mera Message Zaida
Se Zaida Logon Tak Pohonchaen Dawat Den Unhen Ayen Bataden Kay Hum Sub Se Bari
Community Hain Musalman Se Bari Koi Community Nahin Ayen Aur Mera Sath Den Sabit
Karen Duniya Ko Kay Zinda Hai Musalman On Facebook Join Me Must Main Apka Behad
Shukar Guzar Honga Mera Sath Den Logon Ko Dawat Den Namaz Ki Islam Ki.
Apko Lag Raha Hoga Kay Kiya Bakwas Hai Kuch Logo Nay Shayad Ye Message Nahin
Parha Ho Shayad Adhaa Aur Shayad Pura Ye To Apki Amad Hi Batae Gi Bohat Jald
InshAllah Main Ek Website Bhi Launch Kar Raha Hon Jis Ka Naam Hoga Zinda Hai
Musalmaan Aur Mujhe Is Main Aap Logon Ka Sath Chahiye Mere Doston Mujhe Apna
Mashwara Dain Aur Mera Sath Den Kyn Kay Katra Katra Dariya Bunta Hai Aur Main
Kya Kahoon Dil Ki Tamam Kaifiat Bayan Kardi Hai Agey Allah Malik Hai Islam Zinda
Baad Musalmaan Zindabad.
Dua:
“Aye Mere Allah Agar Iske Likhne Main Mujhse Koi Ghalti Koi Gustakhi Hogae Ho
Mujhe Maaf Farmade Aur Mujhe Is Mission Main Kamyabi Ata Farmade Amen.”
Agar Is E-Mail Se Kisi Ki Dil Azzaari Hui Ho Likhne Main Koi Ghalti Hui Ho Tu
Main Maafi Chahta Hon.
E-Mail [email protected]
Website Coming Soon
Organization Name: “Zinda Hai Musalmaan”