Jis Tra Poetry Ahil E Zoq Ka
Pata Bata Detee Hay Dil Zuban Rooh Ka Taste Bata Detee Hay,,,,Isi Tra Music Bee
Insaan Ko Mazi Haal Musttaqbil Chand Janat Sab Jagah Lay Jatee Hay Ajh Kal Zara
Music Ki Shamat Ayee Huee Hay Ajeeb O Ameer Kisam Kay Logh Aa Gaye Hein Ju Kabi
Kanu Mein Russ Sa Ghol Diya Kartee Thee Ubh Tu Kaan Sey Khoon Nikal Detee Hay
Ajeeb See Poetry Oper Say Jaan Laiwa Kisam Ka Music Asaa Hee Hay Jasay Insaan
Asmaan Say Geray Aur Karachi Mein Atak Jaye,,,,Jisay Logh Pehlay Rooh Ki Ghazaa
Kehtay Thay Ubh Ussi Say Rooh Fanaa Hunay Lagtee Hay Asa Asa Music Aa Raha Hay
Uss Par Songs Kay Lyrics Iss Nasal Kay Laghta Hay Kici Poet Kay Bajaye Kici
Hakeem Nay Likhay Hein,,,,Qun Kay Un Kay Sun Lainay Kay Baad Insaani Demagh
Kaaam Karna Chore Deta Hay Aur Wo Iss Jadeed Dour Mein Bee Doctor Kay Bajaye
Seedha Hakeem Kay Pas Chala Jata Hay,,,Humray Dost Hein Hakeem Jalebi Khan Sahib
Kehtay Hein Aksar Logh Kehtay Hein Kay Un Kay Adhay Sar Mein Dard Huta Hay Ya
Tabiat Mein Bahree Pan Rehta Hay Qun Kay Shadi Shuda Insaan Kay Pas Adha Sar Hee
Huta Hay Adha Bv Khaa Jatee Hay Hakeem Jaliebi Khan Sahib Un Ko Paracetamol
Talcum Powder Mein Koot Kay De Detay Hein,,,,,Jis Say Dawa Khushbu Daar Hu Jatee
Hay Aur Bnda Andar Tak Khushbu Mein Bhar Jata Hay Uss Kay Sath Du Adad Cotton
Bee Detay Hein Kay Jahan Koi Outptangh Sa Music Hu Foran Cotton Ko Dono Kanu
Mein Achi Tra Thoos Lein Ye Nuskha Iss Qadar Kamiyab Hua Kay Kai Shadi Shuda
Shohar Kisam Kay Insaan Ghar Mein Jatay Hee Bv Ko Dekh Kar Dono Cotton Kaan Mein
Daal Laitay Hein,,,Bs,,,,Bv Asee Laghtee Hay Jasay Humaree Jamhori Hakomat Kay
Samnay Awaam Bay Zuban See Nazar Atee Hay Is Tra Duniya Kici Bee Kisam Ki World
War 3 Se Mehfooz Hay Ap Soch Rahay Hun Gay Mian Bv Ka World War 3 Sey Kia
Realtion Hayhum Aap Ki History Sahi Kiye Detay Hein World War 2 Bee Mian Bv Ki
Fight Se Shuro Huee Thee,,,Sikandar E Azam Bee Apni Bv Se Itna Tangh Tha Uss Nay
Pori Duniya Say Takar Lainay Ki Soch Lee World War 2 Hitlar Ka Uss Ki Bv Se
Jhghra Hua Aur Yun Ye Jungal Ki Agh Ki Tra Phail Kar Pori Duniya Mein Jangh
Phail Gai,,,Us Time Bartania Kay Charchal Nay Pocha British Kay Loghun Ka Kia
Haal Hay Uss Kay Musheer E Khaas Nay Bataya Charchal Sahib Sab Theek Hay Gharoun
Mein Abee Tak Bvion Ki Hukmarani Hay Shohar Apni Apni Bivion Say Itnay Tangh
Hein Kay Hitlor Kki Foujh Se Lar Lar Kay Mar Jana Chahtay Hein Charchal Nay
Fakhar Say Kaha ,,,Sun Lo Great Briton Ko Koi Haraa Nahi Skta,,,Itni,,Deir Mein
Mrs Charchal Nay Apnay Husband Ko Awaaz Laga Dee ,,,,,,,,,Nikamay Manhoos
Charchal Kaha Mar Gaye Hu Us Nay Bee Kaan Mein Cotton Thoosee Aur Seedha Maidan
E Jangh Ko Dour Laga Dee Ajh Tak Kuch Pata Nahi Zinda Hay Ya Maidan E Jangh Mein
Masroof Hay,,,,,Kia Kaha Wo Mar Chucka Hay,,,Oh So Sad,,,,,Mar Kay Hee Bv Se
Bach Sakta Hun,,,,Mein Charchal Hun Sab Kay Liye,,,,,,,,,,,Bv Se Tu Mein Bee
Darta Hun.