Zindah Rehne Ka Haq

(Haji Moosa Suriya (CityNews021), Karachi, Pakistan)

Insani Tareekh Me Sub Se Ziaada Ki Jaane Waali Jiddo Jehed Apni Zindagi Ki Baqa K Lye Hai, Roz E Awwal Se Hazrat E Insan Ka Pehla Maqsad Apni Baqa Or Hifazat Raha Hai. Yeh Ek Aaisi Buniyaadi Hiss Hai Jo Qudrat Ki Taraf Se Insaan K Dimaag Mein Goya Pehle Din Se Muntaqil Ker Di Gayi Hai Or Irtiqaai Marahil Se Guzarte Hue Aaj Tak Is Buniyaadi Hiss Ko Qudrat Ki Taraf Se Kabhi Chhera Nahi Gaya.

Aaj Ki Jis Jadeed Duniya Mein Hum Jee Rahe Hein Iski Jiddat Ki Bohot Badee Wajha Bhi Wohi Buniyadi Hiss Hai Jis Ki Wajha Se Insaan Ne Apni Zindagee Ki Baqa Ke Lye Gor O Fiqar Or Tehqeeq Ki Or Phir Us He Gor O Fiqar Or Tehqeeq Ki Aadat Ne Aaj Ki Is Jadeed Duniya Ki Buniyaad Rakhee.

Sadiyon K Is Safar Me Jub Jub Khaliq E Qainaat Ne Apne Bando Se Apne Paigambaro K Zareeye Khitab Kiya Tub Tub Us Rab Ne Insaani Jaan Ki Ehmiyat Or Is Ki Takreem Ke Baare Mein Zaroor Yaad Dihaani Kerwaai. Agar Hum Khuda E Pak Ki Taraf Se Nazil Ki Gayee Aakhri Shareeyat Yaani Shareeyat E Muhammadi (SAW) Ka Muta'alla Karein To Is Mein Insaani Jaan Ki Takreem In Alfaaz Mein Ki Gayee Hai Ke "Ek Insaan Ka (Na Haq) Qatal Poori Insaniyat Ka Qatal Hai".

Jadeed Duniya Mein Bhi Insaani Jaan Ki Ehmiyat Kisi Tarah Se Kam Nahi Hui, Aaj Ki Duniya Mein Aqwam E Aalam Ki Jaanib Se Kharch Ki Jaani Waali Raqam Ka Ek Bada Hissa Apne Shehrio Ki Jaan O Maal Ki Hifazat Ke Lye Rakha Jaata Hai. Aaj Ki Is Jadeed Duniya Mein Moujood Taqreeban Tamam Mumalik Ne Apne Shehrio Ki Jaan O Maal Ki Hifaazat Ko Qanoon Saazi Ker Ke Yaqeeni Banaane Ke Liye Waazay Iqdamaat Kiye Hein.

Humare Mulk Pakistan Ki Pehli Qanoon Saaz Assembley Se 11 August 1947 Ko Janab Quaid E Azam Ne Khitab Kerte Hue Hukumat E Pakistan Ko Aaien Saazi K Liye Jo Rehnuma Ousool Faraham Kiye Unhein Bad Qismatee Se Pakistan Or Hindustan Donoo Ke Sarkari Record Se Gaaib Ker Dia Gaya Hai. Gair Sarkari Record Me Mojood Quaid E Azam K Us Tareekhi Khitab K Pehle Nuqte Ke Mutabiq "Hukumat Ka Pehla Farz Mulk K Konay Konay Me Aman O Amaan Ka Qayam Ho Gaa, Taakay Riyasat Apne Shehrio Ki Jaan, Maal Or Aqaaid Ka Tahaffuz Ker Sakay".

Hazaro Saalo Ki Insaani Tareekh Se Sabaq Seekhte Hue Aqwam E Muttehida Ne 1948 Me Insani Huqooq Ka Aalmi Manshoor Ke Naam Se Ek Azeem Dastavaiz Tayyar Ki, Jis Mein Duniya Bhar Ke Tamam Insaano Ke Liye Tasleem Kiya Jaane Waala Ek Ehem Haq Apni Jaan Ke Tahaffuz Ka Haq Hai, Is Dastavaiz Ko Pakistan Samet Duniya Ke Tamam Mumaalik Mein Sarkari Tour Per Man O Ann Tasleem Kiya Jaata Hai.

Afsos, Pakistan Banne K 65 Saal Baad Aaj Hum Jis Maqam Per Kharay Hein Ussay Dekh Ker Siwaai Sharmindgi Ke Kuch Haasil Nahi Hota. Jis Quaid Ne Aazadi Milne Se 3 Din Pehle Mamlikat E Pakistan K Khad O Khaal Bayan Kerte Hue Shehrio Ki Jaan Ke Tahaffuz Per Zor Dia Tha, Aaj 65 Saal Baad Us Quaid Ke Sheher Ki Lag Bhag 2 Carore Awam Chand Mutthi Bhar Logo Ke Haatho Yargamal Bani Hui Hai, Yahaan Apne Maali, Mazhabee, Ta'assubi Or Tasalluti Mafadaat Rakhne Waale Anaasir Roz Lag Bhag Aik Darjan Logo Ko Apne Zinda Rehne Ke Haq Se Mehroom Ker Rahe Hein, Hukumat Waqti Zarooriyat Ko Mad E Nazar Rakhte Hue In Maamlaat Per Amlan Aankhein Band Kiye Hue Hai Or Awaami Satha Per Tamaam Masaail Ko Apne Pichhlon Ka Dia Hua Wirsa Qarat De Ker Apni Jaan Churaane Ki Ravish Ko Barqarar Rakhe Hue Hai, Or 2012 Ke Karachi Ka Mujh Samet Har Jeete Jaagte Isnaan Ke Dil Mein Aaj Ek He Sawaal Hai Ke Mazhab Ki Jaanib Se Itni Bharpoor Yaqeen Dhaani Or Hazaarha Saala Tajurbaat Ka Nichor Haasil Ker Lene Ke Bawajood Kia Mein Mehfooz Hoon. Magar Yeh Jaante Hue Bhi Ke Qaatilo Ke Karkhaanay Kis Ne Or Kahaan Lagai Hein, 2012 Ke Is Sheher E Quaid K Shehrio Me Shaayad Itni Jurrat Nahi Ke Woh Arbaab E Ekhtiyaar Se Yeh Pooch Sakein Ke
Kia Aaj Mujh Se Mera Buniyadi Haq Chheen Lia Gya Hai?
Kia Aaj Mujhe Is Sheher Me Zinda Rehne Ka Haq Haasil Hai?
 

Haji Moosa Suriya (CityNews021)
About the Author: Haji Moosa Suriya (CityNews021) Read More Articles by Haji Moosa Suriya (CityNews021): 2 Articles with 4114 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.