An Art Of Cycling(Cycle Andaazi)

(Hukhan, karachi)

Cycle Chalana Kici Art Se Kam Nahi Hay Ye Hum Nahi Hum Jasa Har Fard Kehta Hay ,,,Bas,,,Zara Saa Farq Yun Paida Hu Gia Hay Jabh Hum Cycle Seekh Rahay Thay Tu Uss Kay Nataaijh Yeni Reslut Ko Cycle Andaazi Jasay Kay Teer Andaazi Kahaa Jaa Sakta Hay,,,,,,Agar Hum Iss Baat Ko Yun Shuro Karein Kay Hum Celebrity Ksay Ban Paye Tu Yaqeenan Iss Mein Humaree Cycle Andaazi Ka 1000 Feesad Handle Hay,,,,Kabi Kabi Tyre Bee Iss Ko Naammwar Bnanay Mein Shamil Rahay Hein,,,,,Pehlay Din Jabh Apni Gali Mein Cycle Seekhna Shuro Kar Raha Thay Tu Kici Nay Notice Na Liya Magar Uss Din Kay Baad Koi Bee Din Qayamat Say Kia Kam Hu Ga,,,,,Ap Soch Bee Nahi Sakhtay Kay Hum Pal Bhar Mein Poray Elaaqay Kay Har Soo Zubaan Zad E Aam Shakhsiyat Ban Chuckay Thay,,,,,Jasay Bachay Kay Paon Palnay Mein Hee Nazar Aa Jatay Hein Isi Tra Hum Jabh Jhoolay Mein Thay Tu Har Kici Ko Yaqeen Hu Chala Tha Kay Hum Iss Sadi(Century) Ki Sab Say Nakaam Bayqaar Aur Fazool Shakhsiyat Hun Gay ,,,,,,,Iss Title Ko Hum Say Koi Cheen Na Lay Hum Nay Erhee Chotee Ka Zor Laga Kay ,,,,Din Raat Ek Ya Deier(One And Half) Kar Kay Iss Tasur Ko Qaiem Rakha ,,,,,,,,,,,,Loghun Ki Raye Ka Ehtraam Hum Sab Par Farz Balkay Qarz Hay,,,,,,,,Kher Jabh Hum Nay Cycle Andaazi Kay Liye Par Toulna Shuro Kiye Tu Aghlay Hee Din Har Koi Asay Ghar Say Nikalta Tha Kay Jasay Hum Cycle Par Nahi Balkay Janghi Jhaaz Ya Janghi Tank Par Ghoom Rahay Hun,,,,,Hum Jabh School Chalay Jatay Tu Poray Muhalay Mein Shaadiyanay Say Bajh Uthtay Thay,,,,Kanwaray Bankay Cheeblay Aur Kanwarian ,,,,Chikni Chambeli Ban Kay Baher Nikaltay Thay Magar Wo Asa Garmi Aur Dhoop Ka Tima Huta Tha Kay Sab Kay Sab ,,,,,Insaan Kam Aur Rotee Pakanay Walay Touway Zayda Laghnay Lagay Koi Darjhan Bhar Saalun Par Muheet Manghniaan Tot Gein,,,,,Sab Logh Humaree Gher Hazree Ka Faida Uthanay Kay Liye,,,,,,,,Sabzi Lainay Gosht Dekhnay Jamay Lagay Thay.... Qun Kay Ubh Gosht Khreedna Asaan Nahi Rha Barhaal Sab Ghrun Say Baher Aa Jatay Thay ,,,,,,,,Sab Kay Sab Agay Ya Samnay Kam Hee Dekha Kartay Thay Bas Murr Murr Kay Pechay Dekhtay Jatay Kay Kahein Hum Ghar Say Cycle Samaiet Bar Amad Na Hu Jaein,,,,,Jasay Hee Hum School Say Ghar Wapis Atay Aur Cycle Lay Kar Jun Hee Baher Atay Muhalay Bhar Mein Curfew Sa Lagh Jata Jin Aur Insaan Yun Ghaieb Hu Jatay Jasay ,,,,Mohtram Janab Izat E Mabh Khota Sahib Kay Sar Se Seingh Ghaeib Hutay Hein,,,,,Har So Shor Mach Jata ,,,Hum Cycle Samaiet Tashreef Laa Raha Hein ,,,,,,,,,,Jabh Kay Logh Plane ,Train,,,Bus Truck Maar Detay Hein Gera Detay Heinaur Iss Waja Say Bhut Say Logh Ghar Ka Ticket Lay Kar Allah Kay Pas Chalay Jatay Hein,,,,Un Ko Koi Kuch Nahi Kehta Hum Nay Koi 1200 Bnda Agar Cycle Kay Handle Say Mishandle Kar Diya Tu Har Soo Badnaami,,,,,Koi 123 Bnda Tyre Kay Nichay Kia Aa Gia Kay Jasay Cycle Ka Nahi Tractor Ka Tyre Hu,,,,,Magar Janab Curfew Hu Ya Wawela Fazool Ka Hum Cycle Andaazi Say Baz Nahi Aye Naa Hee Art Of Being Cyclist Say Kam Par Raazi Huay........Ap Logh Kia Kehtay Hu Meri Side Hu Ya Nahi,,,,,,Side Hu Tu Theek Hay,,,,,,,Agar Jawab Naa Mein Hay Tu,,,,,,Ubh Cycle Ka Rukh Ap Ki Gali(Street)A

Hukhan
About the Author: Hukhan Read More Articles by Hukhan: 1124 Articles with 1254733 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.