Chaiye aur Biscuit

(hukhan, karachi)

Duniya Mein Kuch Cheezein Asee Ek Dosray Sey Juree Huee Hein,,,,,Kay,,,Un Kay Liye Hazrat Ensaan Ko Tra Tra Kay Muhawaray Aur Fiqray Likhnay Ya Yun Keh Lein Kay Ejadh Karnay Par Gaye,,,,,,Jasay Chaye Aur Biscuit Ko Hee Lay Lijiye In Kay Relation Ko Zuban Zad E Aam Karnay Kay Liye,,,,,,Daman Cholee Ka Sath,,,,,Ek Anaar 100 Bemaar,,,,,Du Badan Ek Jaan,,,,,Asay Aur Bhut Say Alfaaz Ko Pajama Pehnaya Gia ,,,,Jitnay Bee Logh Ju Ain Chaye Kay Time Dosrun Kay Ghar Jana Apna Farz Samajhtay Hein Unhein Hee Pata Hay,,,,Chaye,,,Bina ,,,Biscuit Kay Ya Biscuit Bina Chaye Kay Asay Hee,,,,Hay,,,,,Jasay,,,,Bina Buton Kay Sherwani,,,Bina Painday Kay Pateela,,,,,Bina Talway Kay Jutta,,,,,Bina Salary Kay Nokree,,,,Bina Dulhan Kay Doli,,,,,,,Ek Din Hum Aur Mirza Sahib,,,,,,,,Shaam Ki Chaye,,,,Wesay Chaye Wo Suba Ki Hee Thee Magar Pee Shaam Ko Jaa Rahee Thee,,,,,,Isi Liye Wo Shaam Ki Chaye Ki Likhee Aur Pukaree Jaye Gee,,,,Mirza Ki Jaib Mein Apni Susraal Say Churaye Huay Chand Biscuit Thay,,,,Wo Unhein Jaib Se Asay Nikaal Rahay Thay,,,,,Jasay Koi Muhalay Ki Kali Peeli See Katrina Type ,,,,,Heroine,,,,,,Sabzee Walay Ko Dekh Kay Apna Mukhraa,,,,,,,,,,,,Darwazay Ki Outt Sey Nikaaltee Hay,,,,,,,,,,,,,,,Barhaal Subah Ki Chaye Shaam Tak Tar O Taza Hee Thee Qun Kay Humein Aksar Asee Hee Churee Ki Huee Chaye Hee Naseeb Hutee Hay,,,,,,,,,,,,,,,Mirza Sahibh Nay ,,,,Humein Biscuit Denay Sey Saaf Inqaar Kar Diya Qun Kay Wo Un Kay Susraal Say Chupaye Gaye Thay,,,,,,,Baqool Mirza Iss Haq Halaal Kay Biscuits Par Serf Un Kay Manhoos Jabhray Ka Hee Haq Tha,,,,,,,,Mirza Nay Intehaee Maghrorana Andaaz Say Humaree Traf Dekha,,,,Aur Biscuit Ko Chaye Mein Daboo Diya,,,,,,,,,,,,,,,,,,Hum Nay Bee Biscuit Par Asee Nadeedee Nazar Dali Kay Jis Kay Bad Humein Yaqeen Hu Chala Tha,,,,,,,,,,,,,,,Ye Biscuit Un Kay Maiday (Stomach) Kay Liye Lohay Kay Chanay Sabit Hun Gay,,,,,,,,Biscuit Chaye Mein Ghrap Kar Kay Dobh Gia,,,,,Humein Inteha Darjhay Ki Khushee Mehsos Huee Jasay Sarkaar Nay Ghaltee Se Humein Du Dafa Salary De Dee Hu,,,,,,,,,Ek Kay Bad Ek Biscuit Chaye Mein Dobhta Chala Gia Mirza Ka Munh Us Zaviya Mein Asay Khula Ka Khuula Raha Jasay,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,Sarkaar Gutar Kay Munh Bnd Karna Bhool Jatee Hay,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,Mirza Say Raha Na Gia Hum Say Bolay,,,,,,,,,,,,,,,,,,Khan Sahibh Ye Kia Majhraa Hay,,,,,,,,Hum Tu Wesay Hee Khaar Kha Kay Jalay Bhunay Baithay Huway Thay,,,,,,,,,Jhat Say Bolay,,,,,,,Miirza Sahib 100 Dfa Bura Maniye Magar Ye Sach Hay ,,,,,,,,Biscuit Nay Qasam Kha Rakhee Hay Kay Wo Cahye Mein Dobh Kay Khudkasheee Kar Lay Ga ,,,Magar Aap Kay Munh Mein Jana ,,,,,,Usay Kici Qeemat Qabool Nahi ,,,,Mirza Ghamgeen Lahjhay Mein Bolay,,,,,,Hasrat Un Biscutun Par Jinhu Nay Mirza Kay Munh Kay Bjaye Mout Ko Galay Lagana Pasand Kia.,,,Chaye Mein Say Biscuit Ki Awaaz Ayee,,,,,,,,,,,,,,Dobh Kay Marna Psand Krta Hun,,,,,Mirza Tujh Par Hazaar Lanat Bhejhta Hun.

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1193147 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.