ہم نے کس رات نالہ سر نہ کیا
Poet: Khwaja Mir Dard By: ambar, khi
ہم نے کس رات نالہ سر نہ کیا
پر اسے آہ کچھ اثر نہ کیا
سب کے ہاں تم ہوئے کرم فرما
اس طرف کو کبھو گزر نہ کیا
کیوں بھویں تانتے ہو بندہ نواز
سینہ کس وقت میں سپر نہ کیا
کتنے بندوں کو جان سے کھویا
کچھ خدا کا بھی تو نے ڈر نہ کیا
دیکھنے کو رہے ترستے ہم
نہ کیا رحم تو نے پر نہ کیا
آپ سے ہم گزر گئے کب کے
کیا ہے ظاہر میں گو سفر نہ کیا
کون سا دل ہے وہ کہ جس میں آہ
خانہ آباد تو نے گھر نہ کیا
تجھ سے ظالم کے سامنے آیا
جان کا میں نے کچھ خطر نہ کیا
سب کے جوہر نظر میں آئے دردؔ
بے ہنر تو نے کچھ ہنر نہ کیا
More Khwaja Mir Dard Poetry
Milaun Kis Ki Aankhon Se Main Apni Chashm-E-Hairan Ko Milaun kis ki ankhon se main apni chashm-e-hairan ko
ayaan jab har jagah dekhun usi ke naz-e-pinhan ko
tujhe ai shama kya dekhen zamane ko dikhana hai
hamen juun kaghaz-e-atish-zada aur hi charaghan ko
na tanha kuchh yahi atfal dushman hain divanon ke
bhare hai koh bhi dekha to yaan pattharon se daman ko
jhamakte hain sitaron ki tarah surakh hasti ke
chhupaya go ki juun khurshid men dagh-e-numayan ko
na vajib hi kaha jaave na sadiq mumtana us par
kiya tashkhis kuchh ham ne na hargiz shakhs-e-imkan ko

Umer
Sina-O-dil Hasraton Se Chha Gaya Sina-O-dil hasraton se chha gaya
bas hujum-e-yas ji ghabra gaya
tujh se kuchh dekha na ham ne juz jafa
par vo kya kuchh hai ki ji ko bha gaya
khul nahin sakti hain ab ankhen miri
ji men ye kis ka tasavvur aa gaya
main to kuchh zahir na ki thi ji ki baat
par miri nazron ke dhab se pa gaya
pi gai kitnon ka lohu teri yaad
gham tira kitne kaleje kha gaya
mit gai thi us ke ji se to jhichak
‘dard’ kuchh kuchh bak ke tu chaunka gaya

Amir
Chaman Mein Subh Ye Kehti Thi Ho Kar Chashm-E-Tar Shabnam Chaman Mein Subh Ye Kehti Thi Ho Kar Chashm-E-Tar Shabnam
bahar-e-bagh go yuun hi rahi lekin kidhar shabnam
araq ki buund us ki zulf se rukhsar par tapki
taajjub ki hai jagah ye padi khurshid par shabnam
hamen to baagh tujh bin khana-e-matam nazar aaya
idhar gul phadte the jaib roti thi udhar shabnam
kare hai kuchh se kuchh tasir-e-sohbat saaf tabaon ki
hui atish se gul ki baithte rashk-e-sharar shabnam
bhala tuk subh hone do ise bhi dekh levenge
kisi ashiq ke rone se nahin rakhti khabar shabnam
nahin asbab kuchh lazim subuksaron ke uthne ko
gai ud dekhte apne baghair-az-bal-o-par shabnam
na paaya jo gaya is baagh se hargiz suragh us ka
na palti phir saba idhar na phir aai nazar shabnam
na samjha ‘dard’ ham ne bhed yaan ki shadi o gham ka
sahar khandan hai kyuun roti hai kis ko yaad kar shabnam

Shahid
Un Ne Kiya Tha Yaad Mujhe Bhul Kar Kahin Un Ne Kiya Tha Yaad Mujhe Bhul Kar Kahin
paata nahin huun tab se main apni khabar kahin
aa jaae aise jiine se apna to ji ba-tang
jiita rahega kab talak ai khizr mar kahin
phirti rahi tadapti hi aalam men ja-ba-ja
dekha na meri aah ne ru-e-asar kahin
muddat talak jahan men hanste phira kiye
ji men hai khuub roiye ab baith kar kahin
yuun to nazar pade hain dil-afgar aur bhi
dil riish koi aap sa dekha na par kahin
zalim jafa jo chahe so kar mujh pe tu vale
pachhtave phir to aap hi aisa na kar kahin
phirte to ho banae saj apni jidhar tidhar
lag jaave dekhiyo na kasu ki nazar kahin
puchha main dard se ki bata tu sahi mujhe
ai khanuman-kharab hai tere bhi ghar kahin
kahne laga makan-e-muayyan faqir ko
lazim hai kya ki ek hi jagah ho har kahin
darvesh har kuja ki shab aamad sara-e-ust
tu ne suna nahin hai ye misraa magar kahin

Rafay
Mujhko Tujhse Jo Kuch Mohabbat Hai Mujhko Tujhse Jo Kuch Mohabbat Hai
ye mohabbat nahin hai aafat hai
log kahte hain ashiqi jis ko
main jo dekha badi musibat hai
band ahkam-e-aql men rahna
ye bhi ik naua ki himaqat hai
ek iman hai bisat apni
na ibadat na kuchh riyazat hai
aa phansun main buton ke daam men yuun
‘dard’ ye bhi khuda ki qudrat hai
ye mohabbat nahin hai aafat hai
log kahte hain ashiqi jis ko
main jo dekha badi musibat hai
band ahkam-e-aql men rahna
ye bhi ik naua ki himaqat hai
ek iman hai bisat apni
na ibadat na kuchh riyazat hai
aa phansun main buton ke daam men yuun
‘dard’ ye bhi khuda ki qudrat hai
Asif
Teri Gali Mein Main Na Chalun Aur Saba Chale Teri gali men main na chalun aur saba chale
yuun hi khuda jo chahe to bande ki kya chale
kis ki ye mauj-e-husn hui jalva-gar ki yuun
dariya men jo habab the ankhen chhupa chale
ham bhi jaras ki tarah to is qafile ke saath
naale jo kuchh bisat men the so suna chale
kah baithiyo na ‘dard’ ki ahl-e-vafa huun main
us bevafa ke aage jo zikr-e-vafa chale

Rizwan