Taraki Kisay Kehtay Hain
(Syed zeeshan Ali shah, Karachi)
Europe Dusri Jang E Azeem Ke
Baad Puri Tarha Tabah Ho Chuka Tha Har Taraf Moat Ke Siwa Kuch Nhi Tha, Imaraten
Puri Tarha Tabha Ho Chuki Thi, Sarkay Pull Aur Rail Ki Patria Na Kabil E Istimal
Thi, Bijli Gas Aur Pani Ka Nizam Darhum Barhum Tha,Sarkari Daftar Band Thay Her
Chez Ki Shadeed Qillat Thi,School Factory Sab Jagah Talay Tha Lekin Sirf 15 Saal
Baad Europe Ka Sara Naksha Badal Chuka Tha Factory Chal Rahi Thi,Khait Haray
Bharay Thay School Chal Rahy Thay Hospitals Me Mareezo Ko Illaj Ki Sahulat
Muyasar Thi Rail Ki Patria Sarkay Pull Sab Apni Jagah Thee Kaam Chal Raha Tha Ye
Mojza Ye Sab Kese Hua Iski Sirf 2 Wajohat Thi Pehli Waja Awaam Ka Rawaiya Ye
Taraqi Krna Ye Apnay Halat Ko Change Krna Chati This Aur Dusri Waja Policies Ka
Tasalsul Tha Is Doran Kai Hukumate Badli Mgr Koi Sceem Nhi Ruki Na Kiss Hukumat
Ne Kiss Dusri Ke Projects Rokay Ishi Tarha Taraqi Puri Raftar See Jari Rhi Aur
Europe Tabahi See 15 Saal Baad Dubara Kamiyabi Ke Zeene Pe Char Gya Sath Taraki
Kartay Chala Gya Aur Puri Tarha Apnay Pairo Pe Khara Ho Gya Ab Hum Atay Hai
Pakistan Ke Ehm City Karachi Ki Taraf Mulk Ki Bari Tadad Is Sehar Me Basti Hai
Kai Log Rozgar Dhondny Karachi Bhi Atay Hai Lekin Agr Aap Karachi Ka Public
Transport Dekhay To Aap Kano Ko Hath Lagany Per Majboor Hojaye Gay Ap Khud
Sochiye Itnay Baray Shehar Me Kitne Logo Ko Rozana Public Transport Ki Zarurat
Hoti Hogi? Aur Hamari Hukumato Ne Kitni Tawaja Di Iska Andaza Ap Subha 8 See 10
Aur Sham 4 See 7 Tak Kiss Bhi Sarak PE Nikal Kr Dekh Sakty Hain, Humay Jo Kaam
Bohat Pehlay Krnay Chaiye That Humnay Ab Uska Socha Hai Lekin Afsoos Abhi Bhi
Koi Natija Nikalta Hua Dikhai Nhi Deta, Allah Hum Sabko Aur Hamari Hukumato Ko
Akal Aur Samajh Ata Farmaye Sub Mil Ke Kahe Aameen !