Khumar-e-Ishq

(Chiraghdeen, Karachi.)

Kisi Buzurg Ka Waqea Hey Keh Log Inki Khanqah Mein Apni Aaqebat Ko Behter Bananey Aur Allah Allah Kerney Key Liye Aatey They. Ek Din Ek Sahib Khanqah Mein Dakhil Huwey, Sheikh Key Haath Per Bait Ki Takeh Apney Qalb Ki Islah Ker Sakein. Shaikh Key Haan Tareeqa Yeh Tha Keh Aam Murideen Ka Khana Unkey Ghar Pakta Tha Aur Ek Bandi Mu Qarrar Thi Jo Khana Tayyar Honey Key Baad Hujra Der Hujra Mureedein Key Paas Pohnchati Thi.

Hasb-E-Mamool Jab Bandi Khana Taqseem Kerney Key Liye Aaii Aur Naey Mureed Ki Nazer Iss Khoobsurat Bandi Per Pari Tau Yeh Uskey Husn-O-Jamal Ko Dekh Ker Us Per Farefta Ho Gaey. Ab Inn Sahib Ka Mamool Ban Gaya Keh Jab Bhi Wo Bandi Khana Deney Aati Tau Yeh Usko Ghoortey Rehtey, Inki Iss Harkat Ki Ittela'a Sheikh Ko Bhi Hogai Keh Khanqah Mein Anewaley Naey Sahib Jis Maqsad Ko Leker Aaeey They Usko Tau Bhool Gaey Aur Bandi Key Ishq Mein Mubtila Hogaey, Chunacha Sheikh Ney Unkey Merz Ka Ilaaj Kerney Ka Faisla Kerlia Aur Aisi Tadbeer Ikhtiar Ki Keh Unka Ishq Foran Kafoor Hogaya.

Shaikh Ney Bandi Key Liye Aisi Dawa Mangwai Keh Usko Dast Lag Gaey Aur Faraghat Key Liye Usey Ek Silafchi (WC Numa Bartan) Dedia Keh Jab Bhi Dast Aaein Tau Isi Silafchi Mein Kerna Chunacha Subh Sey Shaam Tak Wo Silafchi Bher Gai Udher Bandi Ko Daston (Loose Motions) Ki Wajah Sey Kamzori Lahaq Hogaii Aur Uska Sara Rang-O-Roop Jata Raha Aur Wo Kafi Kamzoar Hogaii.

Ab Sheikh Ney Bandi Ko Un Sahib Key Paas Khana Deney Ko Bheja Aur Saath Yeh Bhi Keh Dia Key Jo Bhi Mamla Paish Aaeey Tau Mujhey Uski Ittelaa Kerna. Jab Bandi Khana Leker Gai Aur Us Mureed Ney Bandi Ki Shakal Dekhi Tau Ghorney Key Bajaey Be-Tawajjahi Ka Muzahira Kia Jiski Ittelaa Bandi Ney Sheikh Ko Kerdi, Sheikh Ney Fermaya Al-Hamdulillah; Ilaaj Ho Gaya.

Thori Deir Baad Shaikh Us Mureed Key Paas Tashreef Laey Aur Uski Ungli Paker Ker Wahan Legaey Jahan Bandi Key Daston Wali Silafchi Rakhi Huwi Thi, Uski Taraf Ishara Kerkey Sheikh Ney Kaha Keh Ghor Sey Daikh Yeh Hey Tera Mashooq, Isey Leja Aur Apney Paas Hifaazat Sey Rakh Kiyoon Keh Tujhey Bandi Sey Ishq Nahi Tha Balkeh Iss Sey Tha Jab Tak Yeh Najasat Iskey Pait Mein Rahi Too Iska Aashiq Raha Aur Jab Yeh Najasat Iskey Pait Sey Nikal Gaei To Tu Ney Issey Nazrein Phair Lein Yani Tujhey Iss Bandi Sey Nahi Balkeh Iss Najasat Sey Mohabbat Thi. Shaikh Ki Batein Sunker Wo Bohot Sharminda Huwey Aur Aainda Key Liye Taubah Kerli Keh Ab Kisi Per Gandi Nigaah Na Rakkheingey.

FAEDA:
Insaan Ko Jab Bhi Kisi Sey Mohabbat Hoti Hey Tau Char Bina Ki Wujooh Per Hoti Hey; Maal, Jamaal, Itsaal Aur Kamaal, Yani Insaan Ya Tau Kisi Key Paas Maal O Daulat Dekh Ker Ussey Muhabbat Kerta Hey Ya Kisi Key Husn-O-Jamaal Per Faraifta Hoker Iskey Ishq-O-Mohabbat Mein Giriftaar Hojata Hey Ya Kisi Ta'alluq Ki Bina Per Mohabbat Kerney Per Majboor Hota Hey Jaisey Baap Aur Baitey Ki Mohabbat, Ustaad Aur Shagird Ki Mohabbat, Peer Aur Mureed Ki Mohabbat, Waghera, Ya Phir Kisi Key Paas Koi Hunar Ya Kamal Dekh Ker Insaan Uski Mohabbat Mein Giriftar Hota Hey; Tau Phir Kiyoon Na Aisey Shakhs Sey Mohabbat Ki Jaey Keh Jis Mein Yeh Charon Khoobian Na Sirf Mojood Hon Balkeh Ba Derja-E-Atam Pai Jaein?

Hamarey Nabi Hazrat Muhammad Mustafa Sallallahu Alaihe Wasallam, Dunya Key Wo Wahid Insaan Hein Keh Jinmein Yeh Charon Khoobian / Sifaat Ba Derja-E-Kamal-O-Bulandi Pai Jati Hein, Chunacha Dunya Ki Jhooti Mohabbaton Ko Chhor Ker Huzoor-E-Akram (S.A.W.) Sey Mohabbat Kerney Ka Azm Karein Takeh Dunya Mein Bhi Kamiabi Hasil Ker Sakein Aur Aakhirat Ki Da'emi Kamiabian Bhi Apka Muqaddar Banein.

Dunya Key Napaak Ishq Mein Mubtila Hoker Insaan Apni Na Sirf Dunyawi Zindagi Ko Berbaad Kerta Hey Balkeh Apni Aakhirat Ki Hamesha Hamesha Rehney Wali Zindagi Ko Bhi Kharaab Kerta Hey.

Aqalmand Wohi Hey Keh Jo Apni Dunya Bhi Banaley Aur Aakherat Bhi.
Allah Pak Ham Sab Musalmano Ko Iski Taufeeq Ata'a Fermaein, Aameen.

Chiraghdeen
About the Author: Chiraghdeen Read More Articles by Chiraghdeen: 56 Articles with 196245 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.