Zindagi Hai To Aik Inaam Per Is 
Mei 2 Cheezon Ka Hona Bhht Zaruri H, Aik Zindagi Mei Rang Aur Dusra Rangon Se 
Muhabbat. Rangon Se Murad Yahan Wo Ehsas Wo Jazbat, Khawahishen Aur Wo Khayalat 
Hain Jo Insan Ko Insan Bnatey Hain. Yun To Har Wo Insan Jo Sans Leta Hai Hamari 
Nazar Mei Jeeta H. Per Kya Bina Ehsas Jazbat Aur Khawaish K Insan Insan Kelata 
Sakta Hai. Enton Se Bani Har Amarat Aik Makan Kehlati Hai Per Ghar Tab E Banta 
Hai Jb Us Makaan Mei Insaan Rehtey Hain. Is Duniya Mei Har Cheez Ka Bar’aqs Hai, 
Khushi Ka Waqt Hai To Dard Bhi Hai, Chain Hai To Be Sakoni B Hai. Kahaniyan Sb 
Ki Mukhtalif Hoti Hain Aur In Se Seekhty Bhi Sb Apni Apni Samajh K Mutabiq 
Hai.Zindagi Mei Mushkilat Sb K Ati Hain Per Un Se Guzar Kar Koi Nikhar Jata Hai 
Aur Koi Bikhar Jata Hai .. Aik Larki Ti Wo Khawabon Mei Jeeti Ti, Khawaishen 
Karti Ti Kyun K Umeed Dil Mei Rakhti Ti. Sach Hai K Har Umeed Puri Nai Hoti Ti 
Per Aik K Toot Janey Per Wo Nai Umeed Dhundh Leti Ti. Zindagi Mei Sb Rishton Mei 
Pehly Parents Aty Hain Wo Hamari Zindagi Ka Mehwar Hoty Hain. Usk Parents Bhi Us 
Se Bhht Pyar Krty Te . Us Ki Duniya Us K Parents Us K Behn Bhai Bs Itni 
Timukhtasir Ti Per Bhht Kubsurat Ti. Zindagi Mei Zid Ti Kyun K Khawaishen Ti, 
Pyar Ta Kyun K Apney Te, Maan Ta Kyun K Dil Mei Kuch Sapney Te. Per Wo Kehtey 
Hain Na Makamal Jahan To Kabi Kisi Ko Nai Milta .Waqt Kbi Aik Sa Nai Rehta . Aik 
Lamha Uski Duniya Mei Baesa Aya Jo Uske Chehrey Ki Hansi Ly Geya , Ankhon K 
Sapney Le Geya Us Se Sabhi Apney Ly Geya. Wo Lamha Aesa Ta Jis Dinn Us 16 Saal 
Ki Larki Ko Apney Adoption Ka Pata Chala, Us Ki Duniya Palat Gai, Wo Rishty Jo 
Us Ka Sb Kch Te Usy Yun Laga Sb Bikhar Gae.. Jis Haqeeqat Ne Us K Sab E Khawab 
Tor Diye Wo Haqeeqat Ye Ti K Us K Dad Ki Death Us K Duniya Mei Aney Se Pehly Ho 
Gai Ti Aur Us Ki Mom Ne Just Becaz K Wo Larki Ti Usey Accept Nai Kiya Infact 
Dusri Shadi Kr Li Apni New Duniya Bna Li. Jin K Sath Wo Rehti Ayi Jeeti Ayi Wo 
Bs Us K Dad K Frnd Ki Family Hai. Ye Sab Janney K Baad Us K Pass 2 Rastey Te . 
Aik Ye K Wo Is Dard Mei Bikhar Jae K Sb Logon Ki Terhan Us Ki Aik Normal Family 
Nai H, Aur Dusra Ye K Wo Un Yateemon Ko Dekhy Jin Ka Koi Rishta Nai Hota .. Sari 
Zindagi Ye Duniya Ye Moashra Hamein Khoon K Rishton Ki Azmat Muhabbat Aur 
Hasiyat Sikhata Hai.. Kaha Jaty Hai Bs Khooni Rishty Apne Hoty Hain.. Per Nai Ye 
Sach Nai H.. Sach Baton Mei Nai Milta Ehsason Mei Milta Hai. Aur Ehsas Mehsus 
Kiye Jatey Hain. Us Larki K Pass Jitney Bhi Rishty Te Sab Usk Dil Se Jury Te Un 
Mei Pyar Bhi Ta Ehsass Bhi Ta Aur Khayal Bhi . Is Duniya Ne Hamesha Usy Kaha K 
Us Kin A Koi Family H Na Koi Apna, Us Ne Nafraton Ki Inteha Dekhi Apni Family 
Mei Nai Per Un K Relatives Mei Jin Mei Se Kch Ne Usy Apny Khandan Ka Khoon Na 
Hone Ki Wja Se Hamesha Hikarat Ki Nazar Se Dekha. Yateem Ki Kafalat Karney Ka 
Sawab Bht Hai Ye Sab Janty Hain Per Ye E Log Is Duniya Mei Kbi B Yateemon Ko 
Chain Se Jeeney Nai Deta.. Us Larki K Pass Roney Ki Bhht Wajuhat Ti.. Khamoshi 
Us Ki Zaat Ka Hissa Ban Gai Ti Bs Chup Rehna Aur Sb Sehna…2 Saal Beet Gae Wo 
Larki Jo Chupti Khamosh Ti Sb K Sath Hansti Ti Sb Ko Aur Khud Ko Ye Yaqeen 
Dilati Ti K Sb Bilkl Thk Hai Aur Wo Khush H.. Zindagi Guzar Rai Ti Wo Khud Hans 
Nai Pati Ti To Dusron Ko Hansa Deti Ti. Kisi Ki Khushi Mei Apna Dard Bhula Deti 
Ti.. Usy Apni Qismat Se Koi Shikwa Nai Ta. Kyun K Us Ne Qabool Kr Lia Ta Jo Hai 
Ye E Hai Aur Agey Jo Ho Ga INSHAALLAH Acha E Ho Ga. Nafraton Ko Jeeya Ta Tab E 
Muhabbat Kya Hai Janti Ti.. Dard Paya Ta Tab E Sb Ka Dard Bantti Ti. Sb Se Alag 
Tis B Mei Ho Kar Bhi Khud Mei Kahin Nai Ti.. Dard Bhht Se Hoty Hain, Kuch Wo Jin 
Mei Paaney Ki Khawahish Khawaish E Reh Jati Ti, Kuch Wo Jin Mei Bs Galtiyon Ki 
Saza Milti Hai, Kuch Mei Pachtawa Rehta Hai Kch Mei Qadar Nai Hoti .. Dard To 
Dard H Hota H Aur Bhht Hota H.. Per Jb Sb Kch Ho Kar B Kch Na Ho Tab Dard Jan 
Leta Hai. Sach Hai Dil Kisi Ka Bhi Tootey Taqleef Barabar Hoti Hai. Insan Sb Se 
Zeada Maa Ke Qareeb Hota Hai Jis Ki Maa Ne Usey Accept Nai Kiya Sirf Isi Lie 
Kyun K Wo Akeli Zime Dari Nai Utha Sakti Ti Us Larki Per Kya Guzrey Gi J Busy Ye 
Pta Lagy ..Wo Larki Heart Patient Tis B Janney Baad Usy Aik Umeed Ti Shayid Uski 
Surgery Ka Sun Kar Uski Maa Us Se Contact Kary Per Nai Uska Bypass B Ho Gea Per 
Intezar Khatam Nai Hua. Uski Maa Ki Call Nai Ayi Na Wo Milney Ayi.. Insan K Pass 
Agar Sb Kch Ho Per Phir Bhi Us K Wajood Mei Wo E Na Miley To Us Ka Daman Khali 
Rehta Hai. Aik Khala Ti Jo Us Larki Mei Bhar Gayi Ti, Usy Na Koi Samjha Na Koi 
Jana.. Sannaton Mei Us Ka Shoor Dab Kar Reh Geya.. Jis Ne Kabi Apni Maa Ko Nai 
Dekha Kbi Us Ne.. Waqt Guzarta Geya 1 Saal Baad Achanak Aik Phone Aya Jis Mei 
Aik Khaton Jo Khud Ko Uski Maa Btati Hai Us Se Bat Karti Hai.. Bat Karty Maafi 
Mangti Hai Sirf Is Lie Kyun K Abi Unka Imtehan Ta . Unko Brain Tumor Diagnose 
Hua Ta Tab B Aj Apny Gunah Yaad Aye. Bs Wo Aik Din Jb Us Ne Apni Maa Ki Awaz 
Suni Usk Baad Agla Phone Unki Death Ki Itla Ka Aya. Malaysia Mei Death Ki Wja Se 
Jis Ne Pehli Dafa Apni Maa Ko Nai Dekha Ta Us Ne Akhri Dafa B Nai Dekha .. Jahan 
Sb Khatam Hua Wahan Bhi Us K Pass Sabar Reh Geya .. Is Sabar Mei B Insan H Na To 
Dil K Kisi Koney Mei Khawaishen Dabi Rahi Hasney Ki Muskuraney Ki . Nai Ta To 
Koi Aesa Jo Wo Khala Dekhta Jo Uski Khamoshi Suntan Jo Andhera Mitata Jo Usy Dil 
Se Hansata Aur Jo Usy Khud Se Bhi Pyar Karna Sikhata. Jab Tak Ap Khud Se Pyar Na 
Karo Khud Ko Ehmiyat Na Do Duniya Ap Ko Rait Pe Para Pathar Samajh Kar Nazar 
Andaz Karti Hai. Us Ne Rone Ki Jaga Hasna Qabool Kiya Family Ko Family Mana Per 
Kahin Na Kahin Usy Ye Ehsas Bhi Ta K Us K Lie Un Logon Ne Bhi Bhht Taqleefen 
Dekhi Hai Lehaza Unki Khushi K Lie Wo Larki Hansti Rai Aur Jo Akelapan Ta Usey 
Khud Mei Kahin Chupa Liya. Per Kch B Khuda Se Nai Chupta.. Aur Jb Wo Kch Leta 
Hai To Us Se Kayi Zeada Ata Karta Hai. Us Ne Usy Yaqeen Ki Naimat Di Jeeney Ki 
Umeed Di Family Di.. Aur Imtehan Ly Kar Sai Per Dil Ka Sakoon Aur Khushi Dono 
Di. Aese Log Jo Zehni Dabao Aur Tanhaiyon Se Guzarte Hain Wo Bhht Mukhtalif Hoty 
Hain Aur In Ko Samjhna Sb K Lie Mumkin Nai Hota Amuman Aese Logon Ko Duniya 
Pagal Kehti Hai. Khud Se Rooth Kar Ye Larki Zindagi Guzar Rai Ti Per Jee Nai 
Pati Agar Usy Sath Na Milta. Sath Mila Dosti Ka , Aik Dost Mei Behan Mili Yay Un 
Kaho K Behan Mei Dost . Rishta Dil Se Dil Ka Bana , Akelapan Mitt Gea Us K Sath 
Se, Khushi Mili Uski Khushi Se , Yaqeen Mila Us K Pyar Se . Insan Bina Saharey K 
Jee Sakta Hai Per Bina Sath K Nai Jee Sakta.Sath Sab Ko Chahiye Hota Hai. Is 
Sath Ne Us Ko Hasna Sikha Diya , Wo Larki Jo Khud Se Roothi Ti Use Jeena Sikha 
Diya. Aj Ki Haqeeqat Ye Hai K Wo Larki Bhht Khush Hai . Pyar Pe Yaqeen Karti Hai 
Aur Zindagi Ki Mushkilon Mei Haar Nai Manti. Khud Na Samjh Hai Per Dusron Ko 
Samjhati Hai. Thori Jazbati Hai Kyun K Apni Behan Se Bhht Pyar Krti Hai. Halaat 
Ko Aik Mukhtalif Nazariye Se Dekhti Hai. Khush Rehney Ki Waja Dhundhti Nai H Bna 
Leti Hai. Dil Se Usy Apna Manti Hai. Ghabrati Hai Girti Hai Per Sambhal Jati 
Hai. 
Payar Wo Dolat Hai Jisey Jitna Kharch Karo Utni Bharti Hai..
Ye Wo Jannat Hai Jo Isi Dumiya Mei Basti Hai..
Pyar Ka Koi Mazhab To Nai..
Per Ye Bhi Wo Darbar Hai Jahan Har Sir Jhukta Hai…
Faqat Bat Choti Si Hai Har Din Mei Agar Roney Ki Waja Hoti Hai To Kahin Na Kahin 
Hasney Ki Bhi Hoti H. Bas Bat Samajhny Ki Hoti Hai.Khushi Aur Gham Mei Intekhab 
Hum Karty Hain Bs Samjhty Nai Hain.. Kisi Ka Bhi Naseeb Bura Nai Ho Sakta Kyun K 
Likha To ALLAH Ne Hai.. Ap Agar Khush Reh Nai Paty To Kisi Ko Khushi Dy Do .. 
Sakoon Apko Bhi Miley Ga. Dard K Badley Dard Na Do. Duniya Ki Sun Kar Khud Na 
Khatam Karo Logon Kakam H Batein Karna. Jahan Duniya Mei Burey Log Hain Wahan 
Achy Bhi Zarur Hoty Hain. Ye Sach Hai K Rishty Khoon K Bhht Azeem Hoty Hain .. 
Per Rishty Sirf Khoon K Hoty Hain Ye Sach Nai H, Agar Rishty Bs Khoon K Hoty To 
Kbi Bhi Koi Bhabi Apny Bhai Ko Ya Koi Beta Apny Baap Ko Property K Peachy Jaan 
Se Na Marta .. Jo Aj Kal Bhht Aam Hai .. Rishty Pyar K Hoty Hain Dil K Hotey 
Hain Jo Naseeb Se Banty Hain.. Rishton Mei Sirf Khoon Nai Pyar Bhi Bhht Ehmiyat 
Rakhta H.. Rishty Mei Sirf Khoon Ho Pyar Na Ho Ehtram Na Ho To Us Ka Wajood E Na 
Ho. . Per Is K Bar Aqs Khooni Taluq Ho Na Ho Agar Rishty Pyar Ho Ehtram Ho To 
Dosti Ka Rishta Bhi Bhhht Azeem Hai. Mukhtasir Lafzon Mei Kahun To Yaqeen Aik 
Pathar Ko Heera Aur Shaq Aik Heerey Ko Bhi Pathar Bana Deta Hai.. Jis Nazar Se 
Dekho Ge Haqeeqat Wesi Dikhey Gi..
Aik Sapna Tootney K Baad , Dusra Sapna Dekhney Ki Himmat Ko Zindagi Kehtey 
Hain..
Jese Rat Din Mei Zarur Badalti Hai Wese E Andhera Bhi Roshani Mei Zarur Badalta 
Hai.. Dard Bhi Khushi Mei Zarur Badalta Hai. Bs Yaqeen Karo Aur Intezar Rakho. 
Haarty Wo Hain Jo Haar Maan Lety Hain, Aur Jeethty Wo Hain Jo Khud Ko Sambhal 
Lety Hain.. Kabhi Bhi Khawaish Karna Na Choro, Chorna Hai To Zid Choro..Khamoshi 
Mei Sakoon Hai Aur Khamoshiyon Mei Veerani. Khamoshi Se Batein Sulajhti Hai To 
Khamoshiyon Se Rishty Ulajhty Hain. Hadd Se Zeada Kch Bhi Barh Jae To Dard Milta 
Hai . Sab Kch Hamari Soch Se Samajh Se Jura Hai Zindagi Hamesha Imtehan Leti Hai 
Ar Faraq Imtehan Se Nai Jawab Se Parta Hai… Bhaley E Kisi Ko Khushi Do Na Do Bas 
Dard Na Do..