Bano Or Us K Ghar Walon Ko Sub
Rishtedar Nikkah Ki Mubarak Dene Lage, Mehmano K Jane K Baad Bano K Abbu Jahan
Khush Thay Sath Hi Pareshan Nazar Arahe Thay... Wo Dil Hi Dil Main Soch Rahe
Thay Nikkah To Hogaya Ab Kuch Mahine Baad Ruksati Deni Hai Kese Hoga Sub Kya
Hoga Eik Hi Beti Per Sari Jama Punji Kharch Krdi Gai To Baki Betiyon Ka Kese
Hoga?? Abhi To Unki Parhai Bhi Chal Rahi Hai Lekin Shadi To Dhoom Dham Se Krni
Paregi Warna Log Kya Kahenge??
Itne Main Choti Beti Baap Ki Pareshani Ko Mehsoos Krleti Hai Or Apne Abbu Se
Kehti Hai, Abbu Allah Per Bharosa Rakhen Sub Khair Se Hojayega. Hum Is Qabil To
Hain K Izzat Or Sadgi Se Apni Behen Ko Ruksat Kr Sakte Hain.
Us Per Bano K Walid Ne Kaha Beta Ye Zalim Zamana Hai Jeene Nahi Deta Sadgi Se
Ruksati Di To Log Kya Sochenge?? Tarah Tarah Ki Baaten Banayenge...
Bano Ki Behen Ne Is Baat Per Kaha, Abbu Kuch To Log Kahenge Unka Kam Hai Kehna
Ab Hum Kya Logon K Dar Se Jeena Chor Den Humain Logon Ka Nhi Apna Sochna Hai
Logon Ki Nhi Sunni Or Jab Larki Or Larke K Ghar Wale Sadgi Se Ruksati K Liye
Tayar Hain To Phr Ye Log Hote Kon Hain Kuch Kehne Wale. Abbu Insan Ko Apni
Chadar Dekh Kr Paow Phelane Chahiye Ab Ye To Nhi Na K Logon K Bare Main Soch Kr
Apne Liye Pareshani Kren Dhoom Dharaka Krne K Liye Qarzdar Hojayen. Shadi K Liye
Zaroori Hota Hai Nikah Jo Ho Chuka Hai Sbki Mojudgi Main Ab Wo Unki Qanooni Bhi
Or Shariyat Se Bhi Biwi Hain Wo Jb Chahen Le Ja Sakte Hain.
Bano K Walid Bole Per Beta Kehna Asan Hai Log Kya Sochenge K Q Itni Saadgi Se
Ruksati Ki? Kya Wajah Thi? Tmhari Behen K Qirdar Per B Kahenge...
Phir Beti Ne Jawab Main Kaha Abbu Islam Main Bhi Sadgi Ko Pasand Kiya Gaya Hai
Or Fazool Kharchiyon Se Mana. Logon Ka Kya Hai Nuqs Nikal Hi Lete Hain Achai
Yaad Nahi Rakhte Burai Main Yaad Rakhte Hain Hum Eik Waqt Main Sub Ko Khush Nhi
Kr Sakte Ye To Logon Ne Hi Tareka Bana Liya Hai Jitni Show Bazi Hogi Utna Fakhar
Mehsoos Krenge, Shadiyon Main Khane Ki Kitni Be-Adbi Hoti Hai Log Naam Krne K
Liye Khane Main Eik Se Ziyada Khane Rakhte Hain Or Mehman Khane Ki Barbadi Krte
Hain.. Arey Is Se Acha To Un Logon Ko Khana De Dena Chahiye Jinhen Eik Waqt Ka
Khana Bhi Mushkil Se Milta Hai, Jinhen Qadar Hai Q K Munh Hum Ne Allah Ko
Dikhana Hai Logon Ko Nhi Or Shadi Main Itni Fazool Kharchi Krne K Bajaye Larki
Ko Koi Aisi Cheez Deni Chahiye Jo Us K Khuda Na Kre Bure Waqt Main Kam Aye..
Shadiyon K Trends Bhi Waqt K Sath Badalte Hain Log Charhte Suraj Ki Pooja Krte
Hain Jo Samne Hain Bus Wohi Acha Hai Koi Naya Trend Aya To Pichla Bhool Gaye Or
Sare Kiye Dhare Per Pani Pard Jata Hai Phir Hum Ye Soch Kr K Log Kya Sochenge??
Apne Ap Ko Qarzdar Q Banaye?? Apni Jaib Ko Naraz Q Kren?? Logon Ko Bus Baaten
Banani Atti Hain Moqa Chahiye. Log Bol Kr To Chale Jate Hain Wo Baad Ka Nhi
Sochte K Kahan Se Kiya Hoga? Kese Kiya Hoga? Shadi Krna Mushkil Nahi Hai Isko
Mushkil Bana Diya Gaya Hai Sirf Ye Soch Kr K Log Kya Sochenge?? Arey Ye Bhi Hum
Hi Sochen K Log Kya Sochenge To Phir Khud “Log Kya Sochenge”, Un K Pass Sochne
Ya Kehne K Liye Kya Bachega.
Humare Aisa Krne Se Humare Ass Pass K Log Humari Is Baat Ko Dehan Main Rakh Kr
Asani Se Shadi Kr Sakenge Phr Or Bhi Logon Ko Himmat Milegi Or Eik Misaal Qaim
Hogi Phr Ahista Ahista Ye Trend Bhi Ajayega Or Shadi Karna Asan Hojayega..
Is Jumle Ne Humare Muashre K Logon K Zehen Main Ghar Kr Liya Hai Or Apni Jaren
Mazboot Krli Hain, Is Jumle Ki Wajah Se Zehni Sukoon Bhi Mutasir Hota Hai Or
Insan Ehsas-E-Kamtari Or Depression Main Mubtala Hojata Hai...