Mera Mulk Mera Ghar

(Qurat Ul Ain Rajput, )

Baat Kuch Yun Hai K Humare Aj Tak K Huqmaran Jitney Bhi Aye Subne Kafi Mehnat Ki _ Humare Mulk Ko Aacha Bann’ne Ki , Lekin Usk Sath Sath Un Sub Ne Apne Ghar , Banglows, Or Business Mulk Se Bhi Aachy Bna Liye Jis Ki Waja Se Humare Mulk Per Kafi Asar Huwa.

Is Saal Bhi Wahi Haal Raha . Pmln Ne To Had Hi Krdi Apne Or Apne Khandan Ki Naslon To Bana Dia Lekin Mulk Ka Satyanas Kardia Or Punjab Mein To Woh Woh Kaam Kiye Jiski Punjab Ki Awaam Ko Zarorat Tk Na Thi Jese …. K Metro Bus , Orange Line (Train) Wagera …

Humare Mulk Ko To Zarorat Thi Schools Ki , Hospitals Ki , Or Bajli Wagera Ki .. Metro Bus Kis Kaam Ki Thi??? Jise Bann’ne Per Humare Mulk Ka Paisa Pani Mein Milla Dia Gaya Jo Paisa Humare Pakistanio K Bachon Ki Parhai Pr Lgaya Jata To Aj Hume Engineers Or Doctors Gair- Mumalik Se Mangwane Ki Zrort Paish Na Ati.. Balky Humre Mulk K Apne Bachy Wo Kaam Krte Jo Hum Gair-Mumalik Se Logo Ko Mangwa Kr Karwate Hain..

Humare Mulk Ko Dame Ki Zarort Thi Jis Se Humen Bajli Ka Faida Hota. Or Mustaqbil Mein Jo Paani Ki Killat Anni H Wo Bhi Khatam Hojati.

Aagy Ki Taraf Nazar Dalte Hain To Sindh Ki Tarraki Nazar Ati Hai .. Jahan Na Bajli Pai Jati Hai Na Roads Ki Taameer Hai Na Hi Safaii.. Sindh Ki Hakomat Ne Ye Haal Bana Dia Hai Sindh Ka K Yahan Na City Ka Pata Chalta Hai Or Na Hi Village Ka Sub Aik Jese Dikhai Dete Hain Sindh Mein Agar Parhai Ki Baat Ki Jaye To Yahan Government Ki Universities To Hai Per Unki Requirement Bhut High Hain Jis Per Students Pura To Utar Jate Hain Per Baqi K Expenses Dekh Kar Unhe Pura Na Kerne Ki Waja Se Wo University Jane Ka Khwab Chor Dete Hain ..Humare Hukmarano Ko Chahiye K Universities K Expenses Completely Free Krdiye Jaye Ta K Jo Parhna Chahe Wo Parh Saky .. Oper Se Itni Mangai Hai K Agar Aik Ghar Mein 10 Aafrad Hain To Un Mein Se 8 To Parhe Gy Na To Aj Kal Parents Parhai Per Focus Kare Ya Khane Ka Bandobus Kre In Sub Ikhrajat Ko Dekh Kar Phr Bachon Ko Apni Parhai Chorni Parti Hai ..

Agar Humare Hukmarano Ki Baat Ki Jaye To Aj Kal Ink Bachy Pakistan Bachane Nikle Huwe Hain Jinhe Ye Tk Nahi Pata K Pakistan Kitni Qurbanio K Bad Wajud Mein Aya .. Humare Hukmarano K Bachy Rehte Bahr Hain Parhte Bhr Hain To Unko Kese Pata Hoga Pakistan Ki Kya Requirements Hain Ya Yahan Ki Awaam Ki Kya Zaroriyat Hai .. Bus Khuwaish Rakhte Hain Pakistan Ko Chalane Ki Or Pakistan K Paise Se Apna Aap Banana Ki .. Mr Bilawal Aap Ko Kya Pata Pakistani Maaon.. Ne To Apne Bête Qurban Kiye Hain Srf Pakistan Ko Bachane Ki Khatir Na K Pakistan Ka Paisa Urane Ki Khatir.. Us Awaam Se Koi Puchy Pakistan Ki Ehmiyat Jo Apne Apne Gharon Ko Chor Kar Agye Yahan Tak K Apny Bachy Bhi Qurban Kardiye .. Or Aj Humari Government Mulk Ko Apne Bachon K Hawale Karna Chahti Hai..

Ary Jo Log Saza K Haqdaar Hain Unk Haath Hum Apne Mulk Ko Kese De Sakte Hain Humain To Koi Quaid Jesa Leader Chahiye Jo Humare Tahafuz K Liye Qurban Hojaye Lekin Koom Per Aanch Tak Na Ane De, Jis Leader Ki Waja Se Mulk Ki Bachiyan Mehfooz Hon Mujhe Aisa Leader Chahiye Jo Kisi Ki Beti Ko Apni Beti Samjhy .. Na K Jiki Waja Se Larkiyan Gharon Mein Qaid Hojae.. Agar Dekha Jaye Mulk Ko To Mere Mulk Per Khuda Ki Khass Rehmat Hai Jahan Ki Mitti Mein Sona Hai Mere Mulk Mein Kisi Cheez Ki Kami Nahi Hai Siwaye Achi Government K.. Agar Humein Chalane Wala Leader Acha Hoga To Humara Mulk Dunia Ka Sub Se Behtreen Mulk Hoga

Meri Sub Logo Se Iltaja Hai To Jagoo.. Or Mulk Mein Aik Aise Leader Ka Intakhab Kro K Humara Mulk Dunia K Behtreen Mulkon Mein Shumaaar Hosaky.
(Shukria)

Qurat Ul Ain Rajput
About the Author: Qurat Ul Ain Rajput Read More Articles by Qurat Ul Ain Rajput: 2 Articles with 2153 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.