Ramzan Ka Pak Or Barkat Wala
Mahina Tha... Eid Bhi Qareeb Thi, Abbu Nay Mahine Ki Tankhuwah Ammi K Hath Main
Rakhi Or Kaha Itni Door Se Pedal Chal Kar Araha Hun Kuch Paise Bachen To Scooter
Khareedun, Aj Bhi Seth Paise Nahi De Raha Tha Kitne Din Se Bol Rakha Tha Minaat
Samajhat Ki To Diye Hain Ab Bacho Kay Liye Eid Ki Kharidari Hojayegi...
Dosre Din Ki Sham Bhai Kay Pass Phone Per Message Aya Or Bhai Khushi Se Jhoom
Utha, Ammi Se Akar Bola Ammi Mjhe Jaldi Se 10,000 Rupee De Do Mera Inam Nikala
Hai Or Wo Bhi Motorcycle Ab Abbu Ko Pedal Nahi Ana Parega, Ap Jaldi Se Paise
Den... Ammi Ne Pocha Bhi Kesa Inam Nikal Aya Per Bhai Khushi Main Itna Madhosh
Tha Kay Usey Bus Abbu Kay Liye Motorcycle Ghar Lane Ki Jaldi Thi.. Ammi Ne
Humari Eid Ki Kharidari Kay Liye Jo Paise The Wo Bhai Ko De Diye...
Message Main Likha Tha Kay Apka Ye Number Lucky Draw Main Nikla Hai Or Inam Main
Motorcycle Hai Ap Is Number Per 10,000 Bhejen Or Apna Inam Hasil Kren.. Bhai
Paise Bhej Kar Aya Or Us Hi Number Per Call Ki To Jawab Aya Kay Apki Bike Raste
Main Hai Bus Humara Banda Phunchta Hi Hoga Ap 5000 Or Is Number Per Bhej Den
Registration Waghera Kay Liye, Bhai Ammi Kay Pass Aya Or Paise Mange To Ammi Ne
Kaha Ab To Mere Pass Or Paise Nahi.... Bhai Ne Chachi Se 5000 Udhar Liye Or
Easypaisa Karwane Chala Gaya. Uncle, Jin Se Easypaisa Bhai Karwa Raha Tha,
Humare Abbu Ko Jante The Unho Ne Bhai Se Pocha Ye Itne Paise Tm Kisko Bhej Rahe
Ho Or Kyun?? Bhai Ne Kaha Mera Inam Nikla Hai Us Kay Liye, Ap Paise Bhejen Mera
Inam Bus Ane Wala Hai, Uncle Ne 5000 Mazeed Nahi Bheje Or Bhai Ko Samjhaya Kay
Ye Sub Fraud Hai Or Kuch Nahi Tm Ghar Jao Main Nahi Bhejunga Tm Pehle Batate To
Main Pehle Hi Tmhain Bata Deta Or Paise Bhi Nahi Bhejta...
Ghar Akar Bhai Intizar Karne Laga Jese Jese Waqt Guzarta Gaya Bhai Ko Uncle Ki
Baat Per Yaqeen Hone Laga Or Call Milayi To Number Band Ja Raha Phir Bhai Ko
Yaqeen Aya Kay Humare Sath Dhoka Hwa Hai... Bhai Rone Laga Kay Meri Wajah Se
Mere Behen Bhaiyon Ki Eid Ki Kharidari Nahi Ho Sakegi Or Abbu Ki Mehnat Ka Paisa
Aise Chala Gaya.. Jub Abbu Aye To Bhai Ko Bohot Dant Lagi, Bhai Aj Bhi Ye Baat
Sochta Hai To Afsoorda Hojata Hai Kay Meri Wajah Se Sub Ki Eid Aisi Guzri..
Tareekh Bus Itni Badli Hai Kay Pehle Dor Pathar Ka Tha, Aj Log Pathar Kay Hain...
Han Pathar Kay Hi To Log Hwe Na Jo Is Tarah Se Logon Kay Jazbat Ka Mazaq Urate
Hain Un Se Khelte Hain Sirf Apne Faide Kay Liye Chahe Kisi Ka Dil Dukhe Is Baat
Se Aise Logon Ko Farq Nahi Parta Kyoun Kay Unhen Khof-E-Khuda Nahi Hota Jo Agar
Khof-E-Khuda Hota To Aisa Nahi Krte, Aise Log Smjhte Hi Nahi Kay Aisa Paisa Jis
Tarah Se Aata Hai Us Tarah Se Chala Bhi Jata Hai....