Edaron Ki Zarorat
(imdad hussain, usta mohammad)
Mein Tehsil Usta Mohammad
Distt.Jaffer Abab Balochistan Ka Rehaishi Hon. Hamaray Han Sirf Aik Degree
College Hay.Jis Mein Theik Say Parhai Nahi Hoti. Yahan Per Na To Kisi Political
Party Ka Zor Hay Na Hi Yahan Pe Itni Khas Student Orgnization Hay. Phir Bhi
Yahan Per Classes Nahi Hotien.Lrakey Apni Merzi Sey Ate Aur Jaey Hein. Koi Rok
Tok Nahi Hay. Mgr Phir Bhi Kuch Students Classes Attend Kertay Hein. College
Mein Hostel To Hay Mgr Naam Ka Hostel Hay. Wahan Per Koi Nahi Rehta. Waja Ye Hay
K Hostel Aise Lagta Hay K Jaise Adolf Hitler Ne Bombary Kr K Tabah Kr Dia Ho.
Mery Akhir Mein Arbab E Akhtyar Sey Guzarish Hey K Khudara Ham Per Reham Khaein
Aur Is Tarf Tawja Den. Hamarey Wadere(Land Lords) Nahi Chahtey K Ham Parh Likh
Kr Un Ki Ghulami Sey Azad Hon. Govt. Ko Yahan Pe Tawaja Deni Chahye. Yahan Pe
Talim Ka Mayar Bohat Kam Hai Khaosan Metric Sy Uper Ki, Koi Bacha Mushkil Sy
Jata Hai Aur Phir Parhai Na Ho, To Larkey Ka Dil Toot Jata Hei. Plz Is Per Koi
Action Len, Aur Classes Ko Regular Banaey K Liye Akdamat Kiye Janey Chayein.