Parents Ki Zimadareean
(Afshan Rahman, Chicago usa)
Parents Yanee Maan Or Baap
Walden Ye Words Sun Ker Ye Ehsas Hota Hay Ke Ye Log Jo Zimadaree Utha Rae Hein
Woh Ye Hein Bachon Ke Educations Ki Zamadaree Bachon Ki Food Or Clothes Ko
Muhayya Kerna Or Jo Bhi Kabhi Bache Chahen Woh Oon Ko Dedena Mother Bachon Ko
Gher Per Help Kertee Hein Or Father Income Ki Feeker Kerte Hein Bus Yeh Kheyal
Hotta Hay Keh Boys Ki Education Compelete Ho Jae Or Girls Perhne Ke Baad Oon Ki
Shadee Hojae Bus Itna Hi Kersekte Hein Baqee Ab Mazeed Time Nahi Hay? Henna Yehi
Baat Jo Aae Din Hum Sub Hi Sunte Reteh Hein.Lekin Kia Kabhi Parents Ne Yeh Janne
Ki Koshish Ki Keh Ye Bache School Or College Ke Elawa Kahan Jarae Hein On Ki Or
Kia Activities Hein On Ka Milna Or Bethna Kin Logon Keh Saath Hay Oon Ke Dost
Kis Terha Keh Hein Kioon Keh Prophet Mohammad [P.B.U.H]Ne Fermayya Keh Tum Apne
Doston Se Hi Pehchane Jao Ge. Kioon Keh Aapki Choice Jesee Hogee Aap Wahan Hi
Bethna Pasand Karenge Ye Baat Bilkul Drest Hay .Jin Ko Music Ka Shoq Hoga Woh
Wahan Janna Chaen Ge .Ek Magazine Mein Likha Hoowa Ek Waqeea Hay Keh Jub Ek Maan
Ko Bolayya Gayya Jis Ka Beta Jail Mein Tha Or Akhree Bar Milne Ko Kaha Gayya
Kioon Keh Oos Aadmi Ko Phansi Ki Saza Hogaee Thee Jub Maan Milne Gaee To Bete Ne
Kaha Khash Maan Aap Mujhe Pehli Chori Per Mana Kertee To Aaj Mein Dakoo Or Qatil
Nahotta Or Jail Mein Na Hotta .Maan Ko Ehsas Hoowa Keh Oos Ne Kiaa Galti Ki Or
Apne Hi Bete Ko Phansi Per Pohcha Deea.Ager Maan Or Baap Thore Se Waqt Nikal Ker
Ache Tereeqe Se Bachon Ko Samjhaen To Shaed Aaj Mujrim Kum Hojaen.Aaj Kal To
Dinner Per Bhi Sub Saath Nahi Hote Sub Alag Alag Khate Hein Jahan Sub Saath Hon
To Chae Sub Bachon Ko Thoree See Hadayat Zaroor Karen Walden Ki Zimadaree Hay Or
Olad To Sadqa Jareea Hay Jo Naik Ammal Karenge Woh Oos Ka Silla Parents Ko Bhi
Milega.Bhut Se Achee Families Ke Bache Galet Dostee Ke Sabeb Mushkilat Mein Pans
Chuke Hein.Parents Ko Chae Thora Sa Time Apne Bachon Ko Pyar Or Tawajah Se Den
Her Waqt Dante Na Rahen.Hazret Yaqoob Aleh Salaam Ne Bhut Pyar Se Apne Bachon Ko
Deen Keh Bare Mein Bataya Tha Or Achee Terha Pyar Se Naseehat Ki Thee Jo Hum Sub
Keh Lia Betreen Namoona Hein.A