Khoob Se Khoobter Ki Talash

(Afshan Rahman, Chicago usa)

Mujhe Karachi Mein Ek Shadi Attend Kerne Ka Itefaaq Hoowa Wese To Mene Jub Bhi Karachi Gaee Mujhe Bhut Se Invitations Mosool Hote Rae Or Kabhi Mein Jasakee Kabhi Mumkin Na Hoowa Jab Mujhe Likhne Ka Shoq Peda Hoowa To Mein Jaaker Dekhtee Hoon Ke Koee Esa Mozoo Hay Jo Likhne Se Logon Tak Ponche.Mene Oos Shadee Mein Sub Se Mulaqat Ki Kafi Achee Gathering Thee Akher Mujhe Door Bethee Hoowee Ek Lerki Per Nazer Paree Jo Behud Khoobsooret Thee Lekin Chahre Per Udasee See Chaee Howee Thee Oos Ne Sari Pehni Howee Thee Or Saath Mein Two Khoobsoret Bache Bhi Thay Mujhe Nae Logon Se Milne Ka Bhi Bhut Shoq Hay Or Mene Oon Ko Salaam Kia Or Kheryat Poochee Mere Zehen Mein Tha Ke Yeh Shaed Oon Ke Hi Bache Hein Mene Poocha Ke Yeh Bache Kiske Hein Oos Ne Bataya Ke Ye Mere Bhai Keh Bache Hein Tub Mujhe Toree See Himmat Howee Or Poocha Aapki Shadee Hogaee?Os Ne Jawab Deea Nahi Howee.Mere Zehen Mein Ayya Keh Akher Kioon?Jub Ke Mujhe Oos Mein Esee Koee Baat Nazer Na Aaee Jo Boree Ho Woh Ek Bhut Shareef Or Naik Lerki Thee.Mene Kaha Kia Aap Apni Mom Se Mujhe Mila Sektee Hein Kioon Keh Mujhe Reason Maloom Kerne Ki Juldi Thee. Woh Kehne Lagee Zaroor Mein Aapko Milatee Hoon Kuch Hi Der Baad Ek Khatoon Wahan Aaen Mene Salaam Kia Or Poocha Ye Aapki Betee Hein Bhut Pyaree Hein Per Aapne Oon Ki Shadee Kioon Nahi Ki Woh Kehne Lageen Haan Ye Teacher Hay Or 30 Ki Hogaee Hay Kooee Rishta Mozoo Nahi Ayya Yanee Pasand Ka Rishta Nahi Ayya.Mene Poocha Aap Kesa Rishta Chahtee Hein Boleen Parha Likha Docter Or Achee Family Or Zati Gher Honna Zarooree Hay.You Know Mujhe Ek Shoq Hoowa Kia Aaj Kismat Or Teqdeer Per Eeman Uth Gaya Hay Kia Hum Is Dor Mein Aachuke Keh Ab Teqdeer Khud Bana Saken Astagfar.Aap Sochen Ke Oos Lerki Ka Qasoor Kia Hay Is Intezar Mein Bethee Howee Hay Keh Mom Dad Ki Pasand Ka Perposal Aaega To Shadee Hogee Werna Age Yon Hi Bertee Rae Gee Mujhe Bhut Afsos Hay Keh Kuch Shareef Ghar Ki Beteean Bhi Yon Intezar Mein Old Horaee Hein Koee Hay Jo Awaz Bulend Kerke Kahe Keh Betee Ki Shadi Mein Khoob Se Khoob Ter Ki Talash Mein Der Nakero Kioon Keh Ye Gunna Hay.Or Boys Ko Bhi Chae Keh Juld Shadee Karen Ager Educations Compelete Hogaee Hay Or Income Bhi Hay To Nikah Jo Ek Suunet Bhi Hay Poora Karen Apni Mayyar Ko Ziada Bulend Nakaren Shareef Naik Se Shadee Karen Shadee Se Peh Le Dua Istaqara Paren Take Khush Hal Life Mile .

Afshan Rahman
About the Author: Afshan Rahman Read More Articles by Afshan Rahman: 73 Articles with 219928 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.