Bismillahi Rehman E Raheem.
……. Aik Sifha Meri Dairy Sai…..
Naaya Ghar
Aakhir Wo Din Aahi Geya Jis Ka Mujhy Kab Sai
Intizaar Tha.Hamesha Sai Sochti The Kai Kab Hum Is
Ghar Ko Kai Jahan Mary Maa,Baap Nai Apny Zindagi Kai
25 Baharain Dakhi ,Jahan Mai Na Apny Bachpan Ka Sub
Sai Khubsurat Door Bitaya Aor Jahan Mai Na Apni
Zindagi Kai Bohot Sai Khubsurat Aor Sunehry Din
Guzary,Ko Chood Kar Kisi Naye Ghar Muntaqil
Hongy.Abhe Wohi Sai Aarhi Hu,Hamary Naye Ghar
Sai.Jub Mai Nai Pahli Baar Suna Kai Hum Yai Ghar
Chodny Waly Hai Tu Tub Sai Hi Dil Us Ghar Ko Daikhny
Kai Liya Bohot Baichain Tha.Khayalon Hi Khayalon Mai
Aik Ghar Bana Chuki The.Sochti The Kai Wo Ghar Asa
Hoga.Aaj Jub Mai Nai Us Naye Ghar Mai Qadam Rakha
Aor Wahan Kai Daro Deewar Ko Goor Sai Daikhny Lagi
Tu Mujhy Hamary Is Ghar Ki Jahan Hum Sirf 2,3 Din
Kai Mahmaan Hain Bohot Yaad Arha Tha.Dil Karha Tha
Kai Phot Phot Kai Rooun.Mai Nai Apny Ansuon Ko Bohot
Mushkil Sai Rook Rakha Tha Aasy Jasy Kisi Nai Behti
Huay Darya Kai Samny Aik Nazuk Si Lakdi Ki Deewar
Lagadi Ho Jo Kai Kisi Bhe Waqt Apna Tawazun Kho
Sakti The.Wo Ghar Hai Tu Bohot Bada Aor Kaafi
Khubsurat Bhe Hai Lakin Phir Bhe Wo Ghar Mujhy Bohot
Khaali Aor Pheeka Lag Rha Tha Is Liya Nhi Kai Hum
Nai Abhe Tak Wahan Saamaan Ki Arrangement Nhi Ki The
Balki Is Liya Kai Us Ghar Sai Hamari Koe Bhe Yaad
Munsalik Nhi The.Dosri Taraf Hamary Is Ghar Sai
Ahist Ahista Sary Saaman Ko Wahan Shift Kiya Jarha
Hai Aor Yai Ghar Guzarty Huay Waqt Kai Sath Khali
Hota Jarha Hai Lakin Phir Bhe Mujhy Yai Ghar Abhe
Bhe Bhara Hua Lagta Hai,Hamary Yaadon Sai Bhara
Hua.Is Ghar Kai Aik Aik Koony Sai Hamari Aik Aik
Yaad Wabasta Hai.Yai Insaan Bhe Kya Ajeeb Shay Hai
Kai Jub Koe Cheez Is Kai Paas Hoti Hai Tu Us Ki
Qadar Nhi Hoti Aor Jub Wo Cheez Haaton Sai Nikal
Jati Hai Tu Tab Us Ki Qeemat Ka Andaza Hota Hai Jasy
Mujhy Aaj Horha Tha.Mai Is Ghar Ko Bohot Yaad
Karungi. Is Ghar Sai Judy Aik Aik Cheez Ko Aor Har
Un Lamhon Ko Aor Un Lamhon Sai Jugi Yaadon Ko Jo Is
Ghar Sai Munsalik Hai.Yahan Tak Kai Sehen Mai Moujud
Darakton Ko Aor Un Parindon Ko Bhe Jo Udhty Huay
Aaty Aor Deewar Pai Rakhy Gayan Roti Kai Choty Choty
Tukdon Ko Chun Kar Udh Jaty.Aaj Kal Mary Zehen Mai
Yai Khayal Baar Baar Arha Hai Kai Mary Jaany Kai
Baad In Kai Liya Deewar Pai Roti Kon Daaly Ga?Un
Parindon Ko Tu Hamary Ghar Ka Rasta Bhe Yaad Hogeya
Hai Lakin Phir Sochti Hu Kai Agar Mai Roti Naa Dalti
Tu Kiya Yai Parinday Bhook Kai Maary Mar Jaty?Mujh
Sai Pahly Bhe Yai Parinday Apny Liya Khana Kahi Na
Kahi Sai Layhi Aaty Thy.In Kaa Palny Wala Khaliq Tu
In Kai Paas Moujud Hai Na.Allah Tu Pathron Mai
Moujud Choty Choty Keedon Ko Bhe Bhooka Nhi Chodta
Tu In Parindon Kai Liya Sawal Hi Paida Nhi Hota.Bas
Is Baat Ka Afsos Zarur Hoga Kai Wo Hamary Ghar Sai
Mayus Hi Lotaingy.Is Ghar Ko Chodny Kai Bary Mai
Sochti Hu Tu Asa Lagta Hai Jasy Koe Apna Mujh Sai
Bichad Raha Hai.Jub Koe Apna Hum Sai Door Hota Hai
Tu Wo Hamy Que Yaad Ata Hai?Is Liya Kai Hamary
Zindagi Sai Judy Huay Khubsurat Lamhy Us Insaan Sai
Wabasta Hoti Hain Jo Humy Yaad Aty Hain Aor Udaas
Kardaity Hain Isi Tarha Mujhy Wo Saary Lamhy Aor Wo
Saary Yaady Jo Is Ghar Sai Judi Hue Hain Bohot Yaad
Ayangy Bohot Udaas Karangy…..