Hum Shokh Chalchall Aur Blackpool Ki Saer
(Sehrish Yazdan Malik, Staffordshire, Burton-On-Trent)
Dosto...Ghomnay Phernay Ka Shooq Tou Humko Bachpan Say Hee
Hai. Iss Liye Aaj Hum Nay Phir Say Eak Mansooba Banaya Kay Chalo Kyun Na Pori
Family Blackpool Ghoom Aatay Hain. Ye England Ka Eak Bohat Hee Khobsorat Shehar
Hai Yahan Ka Sab Say Ziyda Khobsorat Manzar Yahan Ki Beach Hai. Waseeh-O-Areez
Raqbay Par Phella Ye Samanadar Apni Misaal Aap Hai. 8-9-2019 Subah 8:00 Bajay
Hamari Coach Blackpool Kay Safar Kaliye Rawana Howe . Ham Sab Apnay Time Pay
Pohanch Aur Coach Mein Apni Apni Nashisto Pay Burjamaan Ho Gay. 8:00 Bajay Bas
Apnay Poray Time Pay Rawana Ho Gaye. Iss Coach Mein Hamari Family Kay Ilawa
Mukhtalif Jaghoun Say Aye Kuch English Loog Aur Kuch Dosray Mumalik Say Aye Log
Bhi Mojood Thy. Jo Bilkul Aisay Khamosh Bethy Thy Jo Picnic Mananay Nhi Kahin
Afsoos Karnay Ja Rahay Hoon. Dosto... Hum Tou Boor Hee Ho Gay Because Hum
Thehray Shokh Chalchall Mizaaj Aur Ye Saray Thanday Mizaaj Kay..Phely Tou Humain
Khud Pay Hee Afsoos Honay Laga Kay Hum Kidr Apni Family Kay Saath A Gay Magr
Rastay Mein Bohat Hee Khobsorat Maqamaat Dekh Kar Mabadoolat Ki Tou Tabiyat Hee
Sanwar Gaye. Lou Jee Hum Dekhnay Lagay Khobsorat Nazaray Aur Sochnay Lagay Yahan
Tou Koi Baat Nhi Kar Raha Sab Khamosh Tabiyat Kay Aur Bohat Hee Asooli Log Lag
Rahay Thy Aur Hum Ankhain Pharay Sab Ko Dekh Rahay Thy Kay Yaar Koi Tou Baat
Karo Hum Boor Ho Rahay Hain. Khair Hum Nay Rastay Mein England Kay Khobsorat
Village Dekhay Jo Bohat Hee Khobsorat Aur Munfarid Thy..9:30 Coach Eak Mcdonald
Pay Ruk Gaye Aur 20 Min Ki Break Ka Bola Giya ....Lou Janaab Ham Bhi Baki Logoun
Aur Apni Family Kay Saath Coach Say Utray Aur Mcdonald Mein Chalay Ga. Wahan
Peat Pooja Kay Baad Kuch Der Rukay Aur 20 Min Poray Honay Par 10:50 Par Wahan
Say Phir Rawana Ho Gay. Hum Khushi Khushi Jaldi Say Coach Mein Beth Gay Kay
Shahid Ab Peat Pooja Ho Gaye Shahid Log Bhook Ki Waja Say Khamosh Thy Tou Ab Tou
Koi Baat Cheet Ho Gi Magr Dosto Phir Wohi Haal Sab Khamosh..... Hum Nay Tang A
Kay Kaanoun Mein Headphone Laga Liye Aur Music Sounay Lagay Magr Thowri Der Mein
Khyal Aya Kay Phone Ki Bettery Dead Ho Jaye Gi Aur Hum Kiya Wahan Ja Kay Sab Ka
Mou Dekhain Gay Kyunkay Tasaweer Lenay Ka Eak Shooq Bhi Mabadoolat Mein Janoon
Ki Haad Tak Hai. Khair Isse Soch Bachar Mein Bila Akhir Hum 11:00 Am Blackpool
Pohanch Hee Gay. Coach Kay Driver Nay Sab Ko Hidayat Dee Kay Sab Musafir Sham
5:00 Pm Theek Isse Jaga Pohanch Ana Aur Thank You Kehta Howa Bas Say Neachy Utra...Dosto
Jab Hum Coach Say Neachy Utray Tou Humari Ankhay Dhang Reh Gaye Kay Waqia Hee
Khuda Nay Iss Jaga Ko Kiya Khobsorti Bakhshi Thi...Tab Humain Khyal Aya Kay
Yahan Anay Ka Hamara Faisla Bilkul Acha Tha. Sab Say Phely Hum Nay Wahan Kay
Khobsorat Park Dekhay Phir Wahan Kuch Time Guzarnay Kay Baad Hum Beach Pay
Chalay Gay..Beach Ki Khobsorti Aur Wahan Par Urtay Phirtay Parindo Nay Tou
Hamara Dil Hee Jeet Liya. Achanak Hamari Nazar Eak Angrezi Aurat Par Pari Jo
Apnay Koi 2/3 Month Kay Bachy Ko Beach Pay Ghoma Rahi Thi. Hum Nay Socha Iss
Bachy Ko Yahan Lanay Ka Kiya Maqsad Issko Kiya Pata Kay Beach Kiya Hai ...Khair
Hum Ziyda Sochay Bghir Agay Bhar Gaye Aur Seedha Pani Mein Utray Wah Dosto..Pani
Bohat Hee Thanda Tha Iss Liye Hum Thowra Hee Agay Ja Kay Wapis Lout Aye Kay
Kahin Koi Tez Lehar Na Ajaye Aur Hum Samandar Ki Uss Sear Ko Nikal Jayein Jahan
Say Wapsi Ka Koi Rasta Hee Na Ho. Hum Nay Wahan Khobsorat Tasaweer Li Khaya Peya
Aur Bohat Enjoy Kiya...Phir Kuch Der Wahan Kay Town Centre Mein Ghomay Shooping
Ki Friends And Family Kay Liye Gifts Liye Aur Ice Cream Khaye Jo Bohat Hee Tasty
Thi. Khair Iss Picnic Say Tou Hum Bohat Hee Khush Ho Gay Aur Tabiyat Eak Alag
Hee Rang Mein Rang Gaye... Town Centre Say Niklay Tou Hamari Nazar Beach Kay
Dosray Hissay Pay Par Gaye Hum Nay Dekha Wahan Log Ghaday Ki Sawari Kar Rahay
Hain Hum Dekh Kay Heraan Ho Gay Kay Yahan Log Ghaday Ki Sawari Itnay Shooq Say
Kartay Hain Dosto Hum Tou Yahan Kay Ghaday Dekh Kay Bhi Heraan Ho Gay Kyunkay Ye
Itnay Nakhrilay Aur Sajay Howay Thy Aur Itnay Garoor Say Chal Rahay Thy Kay Eak
Pal Ko Tou Humain Apnay Pakistani Ghado Par Bara Taras Aya Aur Unki Zindagi Par
Bara Afsoos Howa Kahan Woh Itna Zulam Bhardasht Kartay Hain Aur Kahan In Ghado
Kay Nakhray...Khair Dosto Janay Ka Waqt Qareeb A Giya Lehaza Hum Sab Apnay Poray
Time Pay Coach Mein Pohanch Gay. Bus Kay Driver Nay Sab Ko Thanks Bola Time Pay
Anay Kaliye Aur Sab Say Haal Ahwaal Pocha...Aur Bus Apnay Time Pay Rawana Ho
Gaye. Coach Ka Driver Bohat Hee Acha Aur Ba Ehlaaq Insaan Tha Aur Log Bhi Sab
Achy Thy...Wapsi Pay Thowri Bohat Awazain Ana Shoroun Ho Gaye Shahid Ab Sab Log
Khush Thy Aur Wahan Ki Sear Kay Mutaliq Baat Cheet Kar Rahay Thy. Coach Phir
Rastay Mein 10 Min Kaliye Ruki Aur Raat 9:00 Pm Tak Hum Apnay Ghar Pohanch
Aye..Khair Dosto Ye Din Meri Zindagi Kay Behtareen Din Tha Wahan Pay Guzara Howa
Waqt Mein Kabhi Bhi Nhi Bhool Sakti...Ye Eak Yaadgar Safar Tha Jo Meri Zindagi
Kay Khobsorat Lamhaat Mein Say Eak Tha.