Corruption Ka Asaal Zimadar Kon.???

(Muhammad Shehzad Masroor, Swabi)

Humesha Log Kehte Hain Ke Humare Leader Theak Nahi He.
Jo Bi Ataa He Corruption Ko Aur Zayada Kar Deta He.
Par Aaj Me Ek Sawal Pochta Ho Aap Sub Se.???
Aaj Tak Jo Bi Leader Aya He Wo Khud Se To Nahi Aya Na.
Aap Logo Ne Un Logo Ko Vote De Kar Apna Leader Banaya He.
To Phr Shikaayat Kue Krte Ho.???
Me Samajta Ho Agr Hum Khud Sudar Jae To Baki Sub Khud Sudar Jae Ge.
Waja Ye He Ke Hum Wo Bolte He.Jo Hume Samne Dekai Deta He.
Jab Ke Agr Hum Seke Ke Dono Rokh Ko Deke Ge.Tabi
Hum Samaj Paenge Ke Kiya Theak He Kiya Galat.
Aksar Hum Samne Se Dek Kar Fesla Kar Dete Hain Ke Ya Theak Hai Ya Galat Bad Me Pata Chalta He Ke Hum Jise Theak Samaj Rae Te Wo To Daghabaz Nekla Humse Jhote Wade Kar Ke Dagha De Gaya.
Aur Phr Sub Os Ke Naam Ke Murdabad Naree Shoro Kar Dete Hain.
Aur Apni Narazgi Ka Izhar Karte Par Asal Baat To Ye He Ke In Sub Ki Zimadar Awam Khud He. Aur Corruption Ke Pecha Asaal Zimadar Awam Khud He. Kue K Wo Khud Galat Admi Ko Vote De Kar Apna Leader Banate He.
Aur Kehte Hain Jese Awam Khud Ho ALLAH Unko Leader Bi Wese Deta He.
Phr Kabi Kabi Sahe Leader ko Bi Halat Ki Waja Se Galat Samjte Hain.
Kue Ke Mengai Ho ya tex Lag Jae To Hum Samjte Hain Ye Leader Galat He Par Ye Galat He Awam Ko Bi Apne Leader Ka Sat Dena Chae Aur Halat Ko Dek Kar Fesla Karna Chae.
Seke Ka Ek Taraf Ko Dek Kar Fesla Karna Jaiz Nahi.Seke Ke Dono Itaraf Ko Dek Kar Fesla Kare To Behtar Hogq.Kabi Kabi Halat Ko Bi Dekna Chae.
Hosakta He Meri Ye Baat Aap Me Kuch Logo Ko Galat Lage Par Zaruri Nahi K Sach Humesha Aap Logo Pasand Ajae.
Sachai Ke Alfaz Sakht Hote Hain Par Fazol Nahi.
Mera Maksad Siraf Islah Karna He Kesi Ka Dil Dukana Nahi Phr Bi Kesi Ko Bura Laga Ho To Muwazirat Chata Ho.

Muhammad Shehzad Masroor
About the Author: Muhammad Shehzad Masroor Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.