Haar or Jeet
(Afshan Rahman, chicago usa)
Mere Kheyal Se Cricket Team
Mein Batting Behter Kerne Ki Zarooret Hay.Werna Team Bhut Mushkil Mein Ajaegee
Or Pooree Team Badnaam Hogee.Haar Jeet To Life Ka Hissa Hotee Hay Kabhi Haar
Kabhi Jeet.Hamaree Team Semi Final Mein Jeetne Ki Waja Se Hi Pohnchee
Thee.Indian Peoples Bhut Shouting Kerte Hein Or Khamo Kha Out Hone Ke Ishare
Kerte Thay. Pakistani Pooree Qoum Ne Sabit Kerdeea Keh Sub Ek Hein Jo Josh Or
Izhar Se Sabit Hotta Hay Pooree Quom Saath Hojatee Hay Ye Ek Zindah Qoum Ki
Nishani Hay.Pakistani Awaam Sub Se Bahadur Or Powerful Hay Ye Kisee Baat Se Na
Udaas Hotee Hay Na Kum Himmat Na Hi Na Umeed Hotee Hay Bare Bare Toofanon Ka
Mukhabla Kerte Kerte Or Bhi Mazboot Hogaee Hay. Pakistan Per Khass Allah Ka
Fazel Hay Jo Apne Aap Country Ki Hifazet Hotee Hay.India Ki Jeet Kuch Khaas Nahi
Hoowee Takreebun Mukabla Braber Ka Thaa.Hum Apni Cricket Team Ke Lia Dua Kerte
Hein Ke Woh Hifazet Se Wapis Pakistan Ponche.Kisee Doosree Country Jaaker Game
Khelna Bhi Asaan Nahi Hota .Tamaam Public Bhi Indian Thay Or Woh Indian Team Ka
Saath De Rae Thay.Or Its A Hard To See All Indians In The Ground.Some Very
Little Pakistani Flags We Saw In The Grounds Lekin Mein Apni Pooree Team Ko Dua
Detee Hoon Jin Ke Saath Sub Ki Dua Hay.Or Umeed Ke Hamari Team Behter Cricket
Khele Gee Or Behter Banane Ki More Koshish Karegee.Pakistan Zinda Baad.