Hum Bhee Nehaye
(Iftikhar Ahmed, Karachi)
Subah Saweray Nehaney Key Faidey Parh Ker Hum Itney Mutasir
Huay Ke Humney Her Roz Subah Saweray Nehaney Ka Irada Ker Lia Aur Agley Hi Din
Subah Saweray Uth Ker Wash Room Pohunch Gai. Sardion Ka Mosum Tha Hum Ney Yeh
Zehmat Bhee Gawara Na Ki Key Garam Pani Ker Letey Kyon Key Humey Tandrust Aur
Tawana Honey Ki Jaldi Thi Aur Hum Chahtey They Ke Aj Key Bad Koi Humain Derh
Pasli Ka Na Kehey Aur Nahi Koi Humain Kangri Tarzan Key Khitab Se Pukarey.
Humney Pani Ki Bhari Hui Balti Main Se Mug Key Zariay Pani Nikala Jo Raat Bhur
Main Sardi Ki Waja Se Kafi Thanda Ho Chuka That Aur Apney Ser Per Dal Lia.
Thanda Pani Ser Per Daltey Hi Humari Ghiggi Bandh Gai Aur Humarey Dant Bajna
Shroo Ho Gai. Magar Humey Sehatmand Honey Ki Dhun Thi Is Liay Hum Ney Na To Dant
Bajnay Ki Parwah Ki Aur Na Hee Cheenkoon Ki Jo Mutwater Ana Shuroo Ho Gai Theen.
Jaldi Jaldi Nehaney Se Farigh Ho Ker Hum Tolia Se Jism Khushak Kertey Huay
Washroom Se Bahar Nikley Laikin Us Waqat Tuk Humari Halat Ghair Ho Chuki Thee
Aur Hum Kanptey Aur Cheenktey Huay Apney Kumrey Tak Pohnchey. Danton Ka Bajnay
To Ammi Ki Bani Huee Garam Garam Chai Se Khatam Ho Gia Magar Cheenkoon Ke Ilaj
Ke Liay Doctor Saheb Ke Pas Jana Para Aur Aim Huftey Tuk Aram Bhee Fermna Para.
Is Waqiay Se Yeh Sabaq Mila Key Sehatmand Rehna Her Aik Ka Jamhoori Haq Hey
Magar Is Haq Ko Ghair Jamhoori Tariqey Se Istemal Na Kia Jai Aur Apney Baron Sey
Mushwera Ker Key Zindagi Humari Jai Na Key Jazbati Ho Ker.