CHORON NE DOR LAGAYI
(Zuhaib Shah, chichawatni)
Assalam O Alikum
Takreeban 15 Saal Pehle Ki Baat Hai Jab Har Taraf Raat Ko 1 Dum Sanata Ho Jaya
Karta Tha Or Log Apne Gharon Me Mahsoor Ho Kar Reh Jate Thy.
Kehte Hain Ke 1 Aise Hi Raat Thi Gaon Me Bahir Koi Bhi Ni Tha Sab Apne Gharon Me
So Rhy Thy Takreeban Aadhi Raat Ko Achanak Tezz Aandhi Chal Pari Or Uske Shoor
Se Sab Uth Gaye.Sab RAB Se Maafi Mangne Lage Or ASTAGHFAAR Karne Lage Ke Achnak
Aandhi Ruk Gayi Gayi Or 1 Dum Har Taraf Dehshat Zada Sanata Chhaa Gaya Or Tab Hi
Achanak Gaon Me Ajeeb Hi Hasne Ki Awazain Aane Lagi Or Wo Awazain Lagataar Tezz
Hoti Jaa Rhi Thin.Gaon Me Sab Logon Ka Dar Ke Mare Bura Hall Ho Raha Tha.Tabhi
Hasne Ki Awaz Band Hui Or 1 Bolne Ki Awaz I Jo Yoon Thi Ke Men Jinon Ka Raja
Hamoon Jin Hoon Or Ham Tumhare Gaon Me Basera Karne Aaye Hen Or Ab Ham Hamesha
Yahan Rahen Ge.Tum Sab Ke Liye Behtar Hai Ke Subha Tak Saare Gaon Chor Kar Chale
Jao Nahi To Ham Kisi Ko Bhi Nahi Choren Ge, Tum Sab Logon Ke Paas Aj Raat Tak Ka
Wqat Hai Bs.
Itna Sunna Tha Ke Sab Ke Hosh Ur Or Khuda Se Maafi Maangne Lage Or Kisi Ko Kch
Samjh Naa I Ke Ab Kya Karen.
Gaon Me 1 Zaeef Buzurg Thy Jab Unhon Ne Suna To Soch Me Par Gaye Ke Ab Kya Kia
Jaye. Tabhi Unhon Ne 1 Wazifa Parha Or Pani Par Dum Kar Ke Apne Ghar Se Nikle Or
Us Taraf Chal Pare Jahan Awaz Aa Rahi Thi. Aabhi Pohanche Nahi Thy 1 Taraf Se
Unhen Sargoshi Suni Jo Kch Yoon Thi Ke Ab To Is Gaon Se Ham Malamaal
Hojayenge.Pehle To Buzurg Samjh Nahi Paye Lekin Phr Samjh I Ke Koi Jin Nahi Ye
To Choor Hen To Jin Hone Ka Darama Kar Rhy Hen.Tabhi Wo Buzurg Tezz Kadmon Se
Qareeb 1 Ghar Me Gaye Or Wahan Sara Majra Bataya Ke Jin Nahi Choor Hen.Tab Unhon
Ne 1 Mansooba Banaya Or Chori Chori Sara Gaon Ikatha Ho Ke Hath Me Mashaalein Le
Kar Un Choron Ki Taraf Chal Pare Andhere Me Chor Itne Logon Ko Aata Dekh Ghabra
Kar Bole Ke Tum Log Kon Ho To Gaon Walon Ne Kaha Jinnat Hen Or Qareeb Jangal Me
Rehte Hen.Or Ham Roz Raat Ko Yahan Aate Hen. Lekin Aj Tum Log Hamare Raste Me Aa
Gaye Ho Ab Ham Tumhe Maar Dalenge Or Saare Zor Zor Se Hasne Lage.Bas Phr Chor
Aise Bhaage Ke Phr Kabhi Us Gaon Me Chor Nahi Aye.Q K Wahan Mashhoor Hogaya Tha
Ke Yahan Raat Ko Jin Aate Hen.