Ghar Ka Chiragh

(Shaista noor, sialkot)

Wo Hamesha Se He Aik Acha Shagird Tha Bohut Zaheen O Fateen.Hr Waledain Ki Tarha Us K Walidain K B Bohut Se Arman The Wo Ise Perha Kr Aik Kabil Insan Banana Chahte The.Un Ka Taluk Aik Mutvast Gharane Se Tha.Ju Ju Waqt Guzarta Gya Kharche Or Masail Ma Izafa Hota Gya.Lekin Us K Walidain Ne Haar Na Mani Or Rukhi Sukhi Pr Guzara Kr K Use M.A Karwa Diya. Aj Ka Din Us K Lye Boht Ahem Tha.Aj Wo Aik Achi Nokri K Lye Interview Daine Ja Raha Tha.Use Apne Walidain K Charhte Burhape Ka B Ehsas Tha.Wo Is Qabil Bn'na Chata Tha K Apne Validain K Ehsanat Ka Kuch Hisa Chuka Sake.Or Aj Isi Silsile Ma Wo Interview Daine Office Phuncha Tha.Lekin Wahan Pohunch Kr Us K Khwab Maati Ma Mil Gae Jb Use Pata Chala K Job Kisi Or Ko Mil Gae Ha.Isi Tarh Wo Kae Din Dar Badar Nokri Ki Talash Ma Phirta Raha.Akhir Us Ki Himat Jawab De Gae.Roz Ki Terhha Wo Nakam Lota To Us Ne Nokri Ka Khyal Dil Se Nikal Daine Ka Faisla Kia.Mgr Us Ki Walida Bht Sabir O Shakir Khatoon The.Unho Ne Use Hosla Diya Or Aik Akhri Bar Kosish Karne Ko Kaha.Agle Din Wo Maa Ki Khwahish Per Nokri Daikhne Rawana Howa.Abi Wo Main Bazar Ma Phuncha He Tha K Use Lga K Bazar Aj Kch Zyada He Sogwar Ha.Isi Khyal Ma Wo Sarak Uboor Kr Raha Tha K Tar Tar Krti Goli Us K Jism K Par Ho Gae.Aj Zaati Intiqam K Bais Aik Or Chiragh Gul Ho Chuka Tha.Nokri Talash Krte Krte Wo Kisi Or Jahan Phunch Gya Tha Jahan Use Shayd Is Se Behter Zindgi Mayasir A Sake.

Shaista noor
About the Author: Shaista noor Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.