Rangon Se Kirdaar Ki Shanakht

(Afshan rahman, Chicago usa)

Azel Se Leker Aaj Tak Rangon Ko Insaan Ki Aadet Per Aser Andaaz Hone Walee Zaberdest Qoowet Tesleem Kiaa Jatta Hay.Rangon Ki Pasandeedgee Insaan Ki Fitret Ke Bhut Se Raaz Oojager Kertee Hay Nez Result Ke Lia Soch Len Ke Aap Ka Pasandeeda Rung Kon Sa Hay.Phir Woh Rang Soch Len Jis Ka Aap Ki Nazer Mein Doosra Number Hay To Aaen Dekhte Hein Ke Rung Yanee Colours Kiaa Bolte Hein.RED COLOR Pasand Kerne Waale Log Bhut Khush Fehem Hote Hein Kamyabi Ke Lia Betaab Or Aage Berhne Ke Lia Tyyar Rete Hein.PINK COLOR Jin Ko Pasand Hota Hay Woh Muhabbet Kerne Waale Hote Hein Doosron Ki Khidmat Or On Se Tawan Ka Jazba Rakhte Hein On Mein Hassad Or Rashk Nahi Hota Ye Juld Udaas Hojate Hein On Ke Jazbaat Bhut Juld Majroo Hojate Hein Ye Log Os Marhale Se Bhi Juld Guzer Jaate Hein Romantic Bhi Hote Hein..Blue COLOR Navy Blue Pasand Kerne Waale Bawafa Bharose Ke Qabeel Or Bamaksad Hote Hein On Per Etemaad Kia Jasekta Hay.White Color Ko Pasand Kerne Waale Aam Tor Per Pakeeza Hote Hein.Os Rang Ko Pasand Kerne Waale Aam Toe Per Ger Janebdaar Ke Qael Hote Hein Mazaj Mein Kanaat Or Apne Andaaz Atwaar Mein Bhut Muhtaat Hote Hein Doosron Ko Khoob Samjhte Hein On Mein Insaaf Or Kuloos Hote Hay On Ki Tabyat Mein Bhut Zeeyada Nukta Cheenee Ka Mada Hota Hay.YELLOW COLOR Ye Log Bhut Muhtaat Hote Hein Bhut Khud Etemaad Bhi Hte Hein.ORANGE COLOR Ko Pasand Kerne Waale Bhut Magroor Or Khud Mukhtaaree Chate Hein.Doosron Ko Khoob Mutaser Kerne Wale Hote Hein On Mein Aage Berhne Ki Lagan Hotee Hay Jo Kuch Chahte Hein Haseel Kerne Ki Salahiat Hotee Hay Hasil Kerlete Hein.Thore Tang Nazer Bhi Hote Hein.GREEN COLOR Ese Log Moqa Se Faeda Othane Ka Fun Khoob Jaante Hein Ese Maamlaat Mein Khud Mukhtaar Hote Hein Qoowat Wale Or Saabir Bhi Hote Hein .BLACK COLOR Pasand Kerne Waale Log Khamosh Hote Hein Doosron Ke Mazaj Se Wakif Hote Hein Ye Log Reewayat Perest Hote Hein .Udasee On Mein Zeeyada Hotee Hay Negetive Thinking Zeeyada Rakhte Hein.Purple Color Ye Log Bhut Zaheen Hote Hein Artistic Mind Rakhte Hein.Acha Costly Libaas Pasand Kerte Hein.Bhut Basalahiat Hote Hein.Ye Tawajah Chahte Hein.Bhut Juld Mayus Hote Hein.

Afshan Rahman
About the Author: Afshan Rahman Read More Articles by Afshan Rahman: 73 Articles with 213683 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.