JAAN-E-ISTAQBAAL

(Muhammad Maroof Khan, karachi)

Hamara Watan 14august, 1947 Ko Ma’arz-E-Wajood Mai Aaya, Iss Watan Ki Aazadi Ke Liye Jo Bey-Daraig Khon Bahaya Geya Or Bey-Inteha Qurbaniyan Di Gaen Iss Ka Andaza Lagana Hamarey Bas Ki Baat Nahe Or Na Hi Ham In Qurbaniyon Ka Badla Kisi Torr Par Chukka Saktey Hen. Han Itna Zarur Hey K Apney Kirdaar Sey, Sai-O-Amal Or Mehnat Ke Zariye Iss Mulk Ka Naam Taraqqi Pasand Mumalik Ki Saft Mai Laa Khara Kar Saktey Hen.

Aaj Hamarey Mulk Ki Jo Halat Hey, Iska Qasurwaar Koi Or Nahi Balkey Ham Khud Hen. Hamarey Haaton Hi Ye Mulk Barbad Ho Rha Hey. Ham Kis Ko Zimmadar Therayen? Kon Qasurwaar Hey? Kiya Sirf Hamarey Hukmaranon Ka Hi Is Mulk Ki Tabahi Mai Ahem Kirdaar Hay?

In Sab Sawalon Ka Jawab Janney Ke Liye Hamey Pehley Khud Apney Gairebaan Mai Jhaankna Hai, Ham Khud Kitney Achy Hen Or Kitney Burey? Ham Kab Sudhren Gey? Kab Ham Apney Mulk Ko Taraqqi Ki Raah Par Gaamzan Karna Shuru Hongey?

Aaj Hamarey Mulk Ko Bey-Shumaar Masaayel Ka Samna Hai. Hamara Bunyaadi Masla Ta’aleem Hai. Jis Mua’asherey Mai Ta’aleem Ki Shiddat Sey Kami Hogi, Wo Mua’ashara Kabhi Bhi Taraqqi Nahi Kar Sakta. Hamarey Mulk Mai Ta’aleem Pehley Hi Tessrey Darjey Ki Zarurat Samjhi Gayi Hai Jisey Itna Nazar Andaz Kiya Jata Raha Hy Ke Aaj Hamarey Sarkari Ta’aleemi Idaaron Mai Aasatza Ke Bijaye Talba’a Ki Kami Mehsus Hoti Hai. Koi Bacha Jab Iss Duniya Mai Aata Hai Tou Oss Ki Pehli Zarurat Oski Achi Parwarish Hoti Hai Jo Ossey Waaldain Ke Baad Ta’aleem Ke Surat Mai Haasil Ho Sakti Hai. Ta’aleem Ka Berra Garaq Karney Mai Hamarey Hukmranon Ka Jitna Bara Haath Hai, Oss Sey Ziada Ham Ne Khud Issey Bigarra Huwa Hay. Yahan Mera Maqsad Kisi Ki Dil Aazari Karna Nahi Hai Or Na Hi Mera Ta’aluq Hakumat Mukhalif Group Sey Hai Lekin Ye Baat Sach Hai K Hamen Haqiqat Ka Saamna Krna Chaaye, Na Ke Jhooti Tassaliyan Dey Kar Dil Ko Behlana Hai.

Hamarey Mulk Mai Jo Roz Ek Nayi Khaami Peda Ho Rahi Hay, Hamen Khud Dekhna Hai Ke Iss Khaami Ki Kiya Wajuhaat Hen Kiyon Ke Khaami Wahen Par Khatam Hogi Jahan Sey Shuru Hoi Thi. Hamari Sab Sey Barri Khaami Kiya Hai? Hamari Nazron Ke Saamney Agar Koi Galat Kaam Ho Rha Hoga, Ham Oss Par Chup Saadh Letey Hen Ke Hamara Iss Mai Kiya Nuqsaan Or Fayeda Hai. Ham Har Kaam Mai Apna Fayeda Dekhtey Hen Or Koi Aesa Kaam Jis Mai Hamara Fayeda Na Ho, Ossey Haath Lagana Bhi Gawara Nahi Kartey.

Iss Mulk Ki Ye Halat Dekh Kar Dil Khoon Ke Aansoo Rota Hai Or Ye Sawal Hamarey Zehnon Mai Ubharta Hai Ke Kiya Ham Kabhi Taraqqi Nahi Kar Saktey?

Agar Tabdeeli Laani Hai Or Taraqqi Ki Raah Par Gaamzan Hona Hai Tou Hamey Kisi Leader Ka Intizar Karney Ke Bijaye Pehley Khud Apney Aap Ko Badalna Hoga. Hamara Emaan Pukhta Hona Chaaye K Jis Din Ham Sudhar Jayen Gey, Hamara Hukmaran Bhi Oss Din Naik Niyyat Insaan Hoga Or Phir Har Tehreek Tehreek-E-Insaaf, Har League Muslim League, Har Party Peoples Party, Har Moment Muttahidda Qoumi Moment Or Har Jamaat Jammat-E-Islami Hogi. Hamaraa Manshoor Agar Islaah-E-Nafs Or Khud Ehtasaabi Ban Jaye Tou Hamari Mamlikat-E-Pakistan Mai Islaam Or Aayin Ki Sahi Ma’ano Mai Bala Dasti Qayem Hoaye Gi. Tou Aaye Tabdeeli Ka Amal Shuru Karen, Apney Aap Sey, Apni Zaat Sey. Issi Ki Badolat Ham Taraqqi Ki Raah Par Gaamzan Hongey Or Hamarey Iss Qomi Taraaney Ke Khubsurat Alfaaz “JAAN-E-ISTAQBAAL” Par Hamara Yakeen Pukhta Hoga. INSHA-ALLAH !!

Muhammad Maroof Khan
About the Author: Muhammad Maroof Khan Read More Articles by Muhammad Maroof Khan: 2 Articles with 1712 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.