Mai Kisi Sey Nahi Darti
(Muhammad Maroof Khan, karachi)
“Mai Kisi Sey Nahi Darti”. Yeh
Who Alfaaz Hen Jo Ek 14 Saala Bachi Ne Apney Interview Ke Doraan Bharpur Josh-O-Jazbey
Ke Saath Istamaal Karey They. Yeh Wo Alfaaz Hen Jo Meri Sama’aton Mai Gunjtey
Hen, Merey Soye Huwe Zameer Ko Jaganey Ki Koshish Kartey Hen Or Zulm Ke Khilaaf
Qalam Uthaaney Par Majbur Kartey Hain.
Zulm Ke Khilaaf Koi Iqdaam Uthana Bazahir Tou Mushkil Kaam Hai Lekin Na-Mumkin
Nahi. Yakeen Jaaniye Jis Tarah Andherey Mai Kisi Taraf Sey Koi Roshni Phut-Ti
Hai, Isi Tarah Agar Ham Mai Sey Koi Ek Fard Bhi Aesa Kaarnama Anjaam Dey Deta
Hai Jo Hamarey Liye Ek Misaal Ban Jaye, Oss Kaarnamey Ki Badolat Logon Mai Josh,
Jazba, Walwala Angezi, Himmat, Jurrat, Bahaduri Or Shuja’at Paida Hojaye Tou
Yakinan In Tagooti Quwwaton Ko Raah Sey Hatana Koi Mushkil Kaam Nahi.
Ham Loug Kab Zulm Ke Khilaaf Muttahid Ho Kar Uthen Gey? Mazeed Kitney Logon Ki
Qurbaaniyan Detey Rahen Gey? Imam Hussain R.A Ka Qoul Hai. “ Zulm Ke Khilaaf
Jitni Dair Sey Uttho Gey, Utni Hi Qurbaniyan Deni Paren Gi.”
Hamari Qoum Ki Misaal Aesi Hai Jo Thokar Khaa Kar Bhi Apni Galtiyoun Sey Sabaq
Haasil Nahi Karti. Ham Agar Zulm Ke Khilaaf Nahi Uth Saktey Tou Kam Sey Kam
Mazlum Ki Himayat Mai Tou Kharey Ho Saktey Hen. Kiya Hamari Qoum Ke Loug Ta-Qiyamat
Qurbaniyan Hi Detey Rahen Gey. Yeh Ek Aesa Sawal Hai Jo Hamarey Zehnon Mai Rouz
Ek Naye Waaqiye Ke Saath Ubharta Hai. Hamarey Hukmran, Hamari Khufya Aegencies,
Hamarey Tamam Hakumti Iddarey Iss Ma’mley Ko Suljhaney Mai Mukkamal Tour Par
Nakam Nazar Aatey Hen. Ham Kab Tak Khamosh Tamashaai Baney Rahen Gey? Kab Zulm
Ke Khilaaf Aawaz Buland Karen Gey? Baqol-E-Sha’air :
Jo Chup Rahey Gi Zuban-E-Khanjar
Lahu Pukaarey Ga Aasteen Ka
Aaj 14 Saala Bachi Par Hamley Ka Wa’akia Huwa Kiyon K Wo Ilm Ki Shamma Thi.
Hamen Iss Bachi Sey Sabaq Haasil Karna Hai K Kis Tarah Wo Ghatta Toup Andherey
Mai Roshni Ki Ek Kiran Ban Kar Namudaar Huwi. Kis Tarah Oss Ne Jurrat-O-Bahaduri
Ke Saath Haqiqat Biyaan Ki. Who Jahalat Ke Andheron Ko Door Kar Ke Ilm Ki Shamma
Phelana Chaati Thi. Hamen Malala Ki Tarah Saabit Karna Hai Or Duniya Ko Bawar
Karana Hai K Ham Ek Aman Pasand Qoum Hen, Apney Andar Himmat, Hosla Or Bahaduri
Paida Karni Hai Taakey Ham Zalimon Ko Bata Saken Ke Ham Apney Rab Ke Siwa Kisi
Sey Nahi Dartey.
Aakhir Mai Khuda-E-Rabbul Izzat Sey Dua’a Ke Allah Paak Malala Yusuf Zai Or Oski
Zakhmi Sahiliyon Ko Jald Sehet-E-Ka’amla Ata Farmaye. Aameen.
Goli Mili In’aam Mai Ta’aleem Ke Badley
Iss Qoum Ki Beti Pey Hai Ek Noor Ka Haala
Roshan Huwi Hai Shamma-E-Ta’aleem Jo Tum Sey
Allah Salamat Rakhey Ga Tum Ko Malala