Majoda Dor Mein Walidain K Ley
Sab Sy Bara Masla Munasib Or Behtreen Waqt P Apni Betiyo Ki Shadi Karna Hai. Ye
Mamla Walidain K Ley Din Ba Din Mushkil Sy Mushkil Tar Hota Ja Raha Hai. Shadi
Mein Sab Sy Bari Rakawat Tu Behtreen Rishta Hi Na Milna Hai. Modren Generation
Ki Demands B Modern Hi Hoti Ja Rahein Hain Jn Ko Pora Karna Middle Class K Ley
Mumkin Nae. Or Isi Wajha Sy Parents Apni Betioy Ko Zaida Parhaty Hain Jo K Bad
Mein Unk Ley Is Sense Mein Masla Bn Jata Hai K Larky Aksar Parhy Huey Nae Hoty
Or Itna Parha K Yu Kam Parhy Likhy Larko Sy Beti Behyana Bht Hi Dushwar Hota Hai.
Phr Larki K B Kch Khawab Hoty Hain Jo Tot Jaty Hain,. In Sab Bato K Bd Jb Larki
Ko Larky Waly Dkhny Aty Hain Tu Larki Ko Aesy Judge Karty Hain Jaisy Koi Machine
Hoti Hai Or Larkio Ki Izat E Nafs Ko Bar Bar Ronda Jata Hai. Kbhi Kisi Ny Us
Larki Ka Dard Mehsos Kia Hai Jisy Bar Bar Reject Kia Jaey Or Wo B Fazool Si Bato
Ki Wajha Sy . Par Ye Society Unki Feelings Ko Smjh Nae Skti. Isi Bat Sy Aik
Waqya Related Hai K Hmari Class Mein Malayshia Sy 2 Larky Parhny Ae Huey Hain
Zara Unki Demands B Sun Lain K Unhein Aesi Larki Chahie Jo Modern B Ho Or Full
Islamic B, Jo Job B Kary Or Ghar Ko B Proper Time Dy, Jo Her Trha Parda Kary Or
Usk Sath Hoteling B Kary Jo Uski Her Bat Khamoshi Sy Many, Means Unhein Larki
Nae Machine Chahie Ya Koi Robot Jo Sirf Hukam Many Or Usk Koi Jazbat Na Ho. Uye
Tu Larko Ki Thinking Hai Dosri Tarf Agar Larkio Ki Jaldi Shadi Na Ho Tu Ghar
Waly B Usy Bojh Smjhny Lagty Hain Or Usy Her Bat P Taunt Kia Jata Hai K Usy Apna
Ghar B Ajnabi Lgny Lagta Hai Par Wo Apna Dukh B Kisi Ko Suna Nae Skti Qk Sab K
Roop Bdal Jaty Hain. Mana Shadi Aik Mazhabi Fareeza Hai Or Waqt P Shadi Hona B
Ashad Zarori Hai Par Kia Iski Wajha Sy Larki Ko Itna Tang Karna K Wo Apny Aitmad
Ko Kho Dy Kia Ye Munasib Hai? Or Dosro Ki Betiyo Ko Reject Karny Sy Pehly Sirf
Aik Dafa Ap Apny Ghar Ki Betiyo Ko Dkheijn Tu Mjhy Yaqeen Hai Koi Maa Dosri Ki
Beti Ko Reject Nae Kary Ge Bs Apni Soch Bdalny Ki Zarora Hai.
Larkiya Kia Hain?
Kch Bhi Tu Nahe
Jin Ki Zindagi
Khud Unk Apny Hatho Mein Nahe
Her Jagha Kuchalti Hue
Kabhi Apno K Hatho
Kabhi Ghero K Hatho
Kabhi Izat K Nam P
Kabhi Gerat K Nam P
Unki Apni Zindagi Kia Hai?
Faqat Samjhota
Kabhi Baap K Ghar
Kabhi Shohar K Ghar
Unka Apna Ghar Kahan Hai?
Shayad!
Is Duniya Mein Koi Nahe
Wo Apna Dukh Kis Ko Sunaein?
Us Maa Ko?
Js Ko Apna Beta Pyara Ho
Us Bapp Ko?
Js Ka Beta Usk Barhapy Ka Sahara Ho
Us Behan Ko?
Jo Apny Bhai P Jan Daite Ho
Is Duniya Mein Konb Uski Sunnany Wala Hai
Kon Hai Jo Uska Apna Hai?
Kash Wo B Apni Merzi Sy Hans Sakein
Kash Wo Apni Merzi Sy Ji Sakein
Kash A Kash !!
K Aesa Ho Jaey
Dastoor E Zamana Badal Jaey
Unko B Jeeny Ka Haq Mil Jaey
UNKO B JENY KA HAQ MIL JAEY!!!