Taleem Aik Karobar Hai

(sadaf shakoor, faisalabad)

Private Schools Main Parha Kar Andaza Hua K Taaleem Ak Korobar Hai.Mamooli Salary Pe Kam Karne Wale Apni Puri Qabiliyat, Aur Mihnat Surf Krtey Hain.Bachonn Ki Taleem Par Walidain Bhari Raqam Kharch Karty Hain.Jis Se Parents School Ki Intizamia Par B Havi Rehti Hai.Mamooli Batonn Par Shikayaten Ati Hain .Ustad Ki Koshish Ki Bjae Us Par Nukta Chini Ki Jati Hai.School Ki Cantin Se Aur Copies Se Khoob Kamaya Jata Hai.Lakin Jo Ustad Mihnat Karta Ha Jis Se School Chalta Hai Un Ki Qadr Nahi Hai.

Waldeen Kehte Hain Hum Itni Bari Raqam Kharch Karty Hain R Hamara Bacha Parhta Nae.Jub K Qasoor Apna Parents Ka B Hota Ha Bachonn Ko Bigarne Ma.

Class Room Ma Kia Hota Ha R Kese Parhaya Jata Ha ,Parents R School Ki Intizamia Ko Is Ki Parwa Nae.Fees Deny K Bad Parents Ka Kam Khtam R Intizamia Ka Fees Lene K Bad Kam Khtam.R Sara Bojh Ustad K Sar Daal Diya Jata Hai.R Moamooli Galati Par Nikal Dya Jata Hai.

Is Taleem K Karobar Ne Aj K Door Mai Ustaad Ki Ahmiyat Khtam Kar Di Hai.

sadaf shakoor
About the Author: sadaf shakoor Read More Articles by sadaf shakoor: 3 Articles with 3119 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.