(Zeebiii, lahore)
Insanon Ki Ehmiat Hamaray Nazdeek Itni Nahi Jitni Kuton Ki Hai. Iski Beshumar Wajohat Hain Awal To Ye K, Agr Insan Bina Khaye 4 Din Zinda Reh Skta Hai To Kuta 6 Din Zinda Reh Skta Hai. Is,K Ilawa Kuta Bhonk Skta Hai, Jb,K Insan Bhonk To Skta Hai Lekin Phir B Kuta Is Kam Me Zayada Mahir Hai. Me Ne Apni Zindagi Me Boht Kutay Dekhe Chotay, Baray, Motay, Patlay, Or Kai Insan Bhi Esay Dekhe Jo Kuta Numa Maloom Hotay Thay. Eik Hamaray Dost Ne Kuta Rakha . . . .Oho! Mazrat, Bl,K 6 Ya 7 Kilo Bal Rakhay Huay Hain Jinme 2 Pound Ka Kuta Bhi Hai. Jis Trh Se Me Aksar Dua Krta Hon K Khuda Ganjay Ko Nakhun Na De Wrna Wo Khurch Khurch K Apni Ganj Kharab Kr Le Ga. Isi Trh Se Dua Krta Hon K Khuda Kutay Ko B Nakhun Na De Wrn Wo Khurch Khurch Kr Apki Ganj Kharab Kr De Ga... Kuton Se Log Drtay Hain K Wo Kat Letay Hain. Zara Sochen Kutay Kitnay Achay Hotay Agr Un,K Mu Me Kuton Walay Dant Na Hotay. Insanon K Mu Me Kuton Wali Zuban Hoti Hai Behr Kaif Ye Aik Elehda Majra Hai. Kutay Jo Choron K Sath Salook Krtay Hain. Choron Ko Dekhtay Hi Us,K Pechy Ye Khtay Huay Dortay Hain. "Nach Meri Jan Nach Nach" Eik Kutay Ko Me Ne Dekha Us,K Partner Kuton Ne Us,Ko Laho Lohan Kia Hua Tha Or Wo Gira Hua Eik Kutya Se Kh Raha Tha "Basanti In Kuton K Samnay Mt Nachna" Afsos!! Kuton Me Kuch Ghert Baki Hai Lekin Insanon Me Zara B Nai. Mujhe Kutay Is Liye Nahi Pasand K Wo Kutay Hotay Hain. Bl,K Mujhe Wo Kutay Pasand Hain Jo Kuton Se B Zayada Kutay Hoty Hain Hamaray Mohalay Me Eik Khamosh Tabiat Kuta Paya Jata Hai. Me Ne Usay Tanzan Kaha: "Jo Bhonkay Hi Na Wo Kuta Hi Na Ho" Kutay Ne Jawab Dia: "Jb Insan Zuban Le Kuta Chup Q Na Ho" Ye Sun Kr Hamen Shrmindagi Hui K Agr Insanon Ko Kuton Wali Zuban Lg Hi Gai Hai Ye Hm Insanon Ka Apas Ka Mamla Hai Kutay Ko Batanay Kia Kaya Zarorat Thi?? ?? ?? Kutay Amu'mn Safai Pasand Hotay Hai Hr Jaga Ponch Se Saf Kr,K Bethtay Hain. Is Liye Chaprasi Ya Nashai Logon Pr Bhonktay Hain. Lekin Aksar Kutay Saf Suthray Pent Kot Walay Logon Pr Bhi Bhonktay Hain Q,K Wo Khud Chaprasi Ya Nashai Hotay Hain. Kuton Ka Sb Se Bara Or Ehm Faida Ye Hai K Agr Apse Koi Bewafai Karay To Mehbob K Juda Honay Ka Ghum Na Kia Karen Or Kh Dia Karen.............. "Acha Kia Dost Jo Tum Bewafa Niklay Q,K Wafadar To Kutay Hua Krtay Hain"