Taleem-e-Niswaan Ehd-e-Nabwi
Ki Roshni Main
Janab Syed-E-Qonain Hazrat
Mohammad S.A.W Ka Irshad Hai K " Maa Ki Goud Se Le Kar Qabar Ki Kokh Tak Ilm Ki
Talb Main Lage Raho" Isi Tarah Aik Dosri Hadees Main Hai K "Ilm Hasil Karo
Khuwah Is K Liye Tumhain Cheen Hi Kyun Na Jana Paray" Yahan Yeh Baat Gor Talab
Hai K In Ahadees Main Ehl-E-Iman K Liye Ilm Hasil Karne Ka Hukum Hai Jis Main
Mard Or Orat Ki Koi Tashksees Nahi Balkey Sub Logon K Liye Masaawi Hukum Hai
Kainaat Ki Asal Bunyaad Mard Or Orat Hain Donoon Ko ALLAH Ne Be Intiha Zehni
Jismani Or Rohani Qoowaton Se Nawaza Hai Dono Hi Khuda K Huzoor Khudadaad
Naimaton Or Salahiyaton K Liye Jawab Deyh Hain K Unho Ne Dunya Main Apni
Salahiyaton Se Kis Tarah Kam Liya..Dor-E-Nabowat Ki Orat Ko Islam Ne Jareeh Or
Bahadur Karar dia Tha Un Ki Pehchan Ilm Se Thee Is Dor Ki Orat Bharpoor Ilm
Rakhti Thi Hazrat Ayesha Razi ALLAH Taala Anha Hazrat Abo Bakr Siddique Razi
ALLAH Taala Anha Ki Beti Thin Jin Ki Zahanat Or Balagat Zaban Zare Khaso Aam Thi
Sulah-E-Hudaibia K Moqay Par Hazrat Um-E-Salma Razi ALLAH Taala Anha K Mashwaray
Ne Aik Bari Mushkil Ko Asaan Kardia Tha App S.A.W Ki Beti Hazrat Zainab
Bint-E-Abi Salma Razi ALLAH Taala Anha Madina Munawarah Main Judge Khatoon K
Faraiz Anjam Deteen Thin Or Apne Dor Ki Bohot Bari Fakeeh Khatoon Thin..
Lihaza Ilm Hasil Karna Ajj Ki Orat Ka Bhi Bunyadi Haq Hai Agar Khandaan Mashrah
Ya Nizam Us K Is Haq Ki Raah Main Kaheen Bhi Rukawat Banta Hai To Isay Hasil
Karne Ka Bharpoor Aihtijaj Karna Chahye Agar Orat Ilm-O-Danish Se Behraman Ho Us
Main Apne Huqooq K Tahafuz K Liye Jurat Or Himat Bhi Paida Hojati Hai Goyah Ilm
Hona Haqooq Hasil Karne K Liye 1500 Saal Pehle Quran-E-Kareem Main ALLAH Talaa
Ne Tamam Huqooq Ki Wazahat Kardi Hai Jis Main Orat Or Mard K Waqa-E-Huqooq-O-
Faraiz Bayan Kar Diye Hain Zamana-E-Nabwi S.A.W Ki Khawateen K Tarz-E-Amal Main
Jo Faraasat Be Baqi Or Dileri Nazar Ati Hai Yeh Ilm K Wajah Se Thee Quran Ka
Fehem Lene K Baad Woh Shaoor Ki Roshni Main Agahee Or Jahalat Ki Buzdili Khof Or
Andhere Se Nijaat Payi Musalmaan Ortoo Ne To Maashrati Inqlabat Main Gehre
Asraat Chore Hain Woh Islami Mashray Main Tabdeeli Ka Sabab Bani Quran Fehmi Ki
Waja Se Woh Haq-O-Batil, Apni Hadood-O-Qayood Main Tameez Karna Sikhati Hai Or
Jabir-O-Zalim K Samne Kalma-E-Haq Kehne Se Kbhi Guraiz Nahi Kya
Lihaza Har Orat Ko Apne Pehle Haq Ilm Ko Hasil Karna Chahye Kyun K Hamare Mazhab
Main Deeni Or Dunyawi Ilm Hadood Main Reh Kar Hasil Karne Ki Pori Azaadi Hai
Hamari Ajj Ki Orat Azadi-E-Niswaan K Naaron K Saath Sarkon Par To Nikal Ayi Hai
Lekin Quran-O-Hadees K Zariye Woh Apne Haqoooq-O-Faraiz Ko Samajhne Ki Koshish
Nahi Karti. Ajj K Dor Mai Orat K Haqooq Par Zordaar Taqreerain Ki Jati Hain Un K
Haqooq K Liye Bari Bari NGO'S Chalai Jatin Hain Lekin Ajj Ki Orat Jahan Thi
Waheen Hai Huqooq K Name Par Woh Sahee Rastay Ka Intikhab Nahi Kar Pa Rahi Woh
Quran-O-Hadees Ka Sahee Mutala Kare Or Dor-R-Nabwi S.A.W Ki Khawateen Se
Rehnumai Le To Koi Waja Nahi K Ajj Ki Orat Mashray Main Apni Had Or Parday Main
Reh Kar Har Maidan Main Kaamyabi Hasil Karsakti Hai Or Apna Name Dor-E-Nabwi Ki
Orton Jaisa Muqaam Hasil Karsakti Hai.
Mrs Kaniz Fatima Anwar Mianoor