Mai Mehnaat Kyun Karoun

(sana, karachi)

Aaj Zamane Mai Har Koe Agai Barhne Ki Dorh Mai Laga Hua Hein Khas Kar Parhae K Maidan Mai Har Koe Agai Barhna Chata Hien.Larkai Larkian Takriban Sab He Is Mai Shamil Hien. Jis Mai Baaz Log Mehnat Sai Parhae Kar Rahai Hein Or Bas Ghalt Tarika Apna Kar.

Mera Aaj Semister Ka Jab Result Annouce Hua Mujhe Shidat Sai Is Bat Ka Ehssas Hua Or Sochne Pai Majboor Hogae K "Mai Mehnaat Kyun Karoun " . Ye Jumla Kabhi Mene Dil Sai B Na Kaha Tha Par Aaj Esa Khene Faqat Mere Dil Ki Gherayoun Sai He Pukaar Thi. Mai Nai Din Raat Ek Kar Diye Thai K Is Baar B Top Karoun Gi Pura Pura Din Mehnat Ki, Kabhi Idhar Sai Material Jama Kia Kabhi Us Book Kabi Is Book Ta K Mai Apnai Baba Ko Khush Kar Sakoun Or Un K Cherai Mai Ek Garv Ki Muskurahat Ho.... Par Esa Na Hua. Meri Mehnat Esa Raiga Gae Jaise Samandar Ki Lehar Rait Mai Bani Tasweer Ko Mita Jata Hien.

Hamare Han Merit Ka To Jaisai Concept Khatam , Favoritism Ub Har University Mai Agaya Hien. Teachrs Un Bachhoun Ko Marks Daite Hien Jo Un K Favorite Ho Ya Phr Koe Kisi Party Sai Ho . Esa Ku Hota Jaraha Hien . Hamara Talimi Nizaam Bhetar Hona Chaye Ye Sab Kuch Khatam Hona Chaye . Cheating Karna Jo Aaj Har Talimi Idaroun Mai Hein Usko Roka Jaye , Students Ub Paper K Time Cell Phone Sai Net Khol Khol K Paper Kar Rahai Hein . Kia Esa Mashara Taraki Kar Paye Ga ? Pharoun Sai Paper Karna Kia Ye Jaiz Hien?

Taleem Hasil Karna Ek Ibadat Hien Par Hum Apni In Harkatoun Sai Is Ibadat Mai Khayat Karrahai Hein. Hamare He Esai Ammal Hein Phr Hum He Khete Hien K "Yar Politions Ki Waja Sai Mulk Taraki Ni Kar Sakta" ... Zara Gour Karein Sab Ye Hamari He Kothayan Hein Jo Sirf Hum Durust Kar Sakte Hein.

" Taleem Hasil Karo Maa Ki Goud Sai Kabar Ki Goud Tak" Ye Hamare Nabi(S.A.W) Ka Farmaan Hein Hum Ye Farmaan To Pura Karahai Hein Laikin Dhokai Bazi Sai . Khuda Ka Khof Khatm Hamare Andar Sai Ku K Ek Musalman Kabhi Koe Kam Dhoke Sai Ni Karta. Har Institution Mai Full Emaandari Sai Paper Hna Chaye Teachers Ko Paper K Tym Sahi Sai Nigrani Karni Chaye Students Ki.

Mai Janti Hun Mera Ye Article Ek Article He Ban K Rhe Jaye Ga Kuch Amaal Ni Hoga Ku K Hamara Mashara In Cheezoun Ka Adi Hogaya Hein Par Meri Darkhast Hien Har Ustaad Sai Khudara Justice Sai Cheaking Karein Students Ki. Or Studntx Ko B Chaye Is Tarah Ki Harkatein Na Karein. Balkai Mehnat Pai Yakeen Rekhien Ku K Mehnat Mai Azmat Hien. Agar Aaj Aap Apni Education Sai Sincere Ni To Yaad Rakhiye Ga Employment B Aap Sai Sincere Ni Hogi .... Dunia Goul Hien Jisa Karo Gai Waise Bhugto Gai:)....

sana
About the Author: sana Read More Articles by sana: 2 Articles with 1743 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.