Aghaz e Shaery of Faiz Muhammad Sheikh
(Musaib Khan, kech,balochistan)
Faiz Muhammad....Jiski Umer 14
Saal Hai.Abhi Wo Sirf Shaer Hi Nahin Aik Acha Insaan Aik Acha Dost Or Student
Hai.Jo Balochistan District Kachhi Ke Sheher Bhag Mein Rehta Hai.Abhi Wo 10th
Class Me Parh Raha Hai Us Ne 8th Class Mein Apni Shaery Ka Aghaz Shuru Kiya..Ye
To Pata Nahin Ke Uski Shaery Shuru Karne Ki Waja Kia Hai?Magar Han Uske Lafzon
Me Mujhe To Kuch Nazar Ata Hai..Usko Bachpan Se Hi Shaery Mein Shoq Raha Hai..Us
Ne 12 Saal Ki Umer Mein Shaeri Ki Ibtida Ki 4 March 2011 Ko Apni Pehli Ghazal
Likhi Jo Ye Hai:
Mujhe Buhat Yad Ate Hain Wo Beete Lamhe
Mujhe Door Se Bulate Hain Wo Beete Lamhe
Raton Ko Jagun Bhala Kese Neend Aye
Mujhe Har Pal Satate Hain Wo Beete Lamhe
Yad Ati Hai Doston Ki To Dil Ro Parta Hai
Mujhe Isi Tarah Rulate Hain Wo Beete Lamhe
Na Din Ko Chain Milta Hai Na Raton Ko Neend Ati Hai
Mujhe Har Pal Tarpate Hain Wo Beete Lamhe ..
Faiz Ne Ab Tak 600 Ghazlein Likhi Hain Jin Mein Hamd,Naat, Qasiday, Islami,
Muhabbat Dosti Zamana Or Har Tarah Ki Shaeri Likhi..Us Ki 6 Kitaben Hain Magar
Publish Nahin Uske Apne Paas Dairy Mein Likhi Hui Hain Jinke Naam Beete Lamhe,
Umeed, Khuwab, Masoom, Ehsaas Or Farah Afza..Ye Sari Diwan E Faiz Hain... Kuch
Or Ab Main Ghazlein Faiz Ki Paish Karti Hun..
"Aik Toba Pe Bakhsh Dete Hain Sare Gunah Hamare
Hota Hai Raazi Hum Se Khuda Kis Tareeq Se
Hojati Hai Ziarat Khuda Ki Har Shaheed Ko
Hoti Hai Tan Se Jaan Juda Kis Tareeq Se
Apne Khayal Me Khare Rehte Hain Namazi
Hota Hai Hum Se Farz Ada Kis Tareeq Se
Rab Ki Rehmat Barasti Rehti Hai Hum Pe Hamesha Faiz
Mujhse Bayan Ho Rab Ki Sana Kis Tareeq Se..."
"Chodween Ka Chand Nazar Ata Hai Asmaan Par
Gar Hai Ziaye Char Soo Par Kia Bharosa Jan Par
Insan Hi Mazloom Hai Insaan Hi Zalim Bana
Kitne Jabr O Zulm Hote Hain Sabhi Insan Par
Lafz E Ishq O Piar Ye Likha Hai Jata Har Jaga
Kabhi Hui Ashiq Zulekha Yusuf (A.S) E Kinaan Par
Itni Be Rehmi Se Zalim Qatl O Gharat Na Karo
Le Na Jao Dil Kisi Ka Istarah Paikan Par
Saltanat Tori Zafar Ki Or Qaid Use Kar Dia
Is Tarah Ka Waqt Bhi Aya Kabhi Sultan Par
Jis Taraf Se Gham Jo Aya Loot Li Kitni Khushi
Aik Or Toofan Aya Khush Dil E Armaghan Par
Jo Bhi Likha Faiz Wo Kuch Ko Bura Lagta Raha
Karte Hain Tanz Kiun Bhala Is Dil E Nadaan Par"
"Kitne Ajeeb Se Ye Log Hua Karte Hain Faiz..
Jo Heere Se Bhi Anmol Wafa Chorte Hain.."
"Karte Hain Zulum Mujh Pe Israeel Ki Tarah
Ye Log Mere Dil Ko Falsteen Samajhte Hain"
"Qatil Bare Tarz E Qatal Jante Hain Faiz
Chehre Ke Tabassam Se Bhi Karte Hain Halaak"
"Kar Lo Mera Bhi Qatal Magar Ehtiat Se
Taluq Hai Mere Dil Ka Ik Masoom Zaat Se
Hona Hai Juda Humko Ik Roz To Kabhi
Naraz Hote Kiun Ho Meri Is Baat Se
Ab Kia Likhoon Bayan Waqif E Firdos Se
Ik Wo Hi Waqif Hai Mere Halaat Se
Barhti Hai Umer Ansoo Bahane Se Dam Badam
Hon Ansoo Ye Jese Aab E Hayaat Se"
Isi Tarah Buhat Si Dilkash Shaeri Hai..
Umeed Hai Ap Parh Kar Apne Ache Reply Denge.