Baat Tou Sach Hai Magar...
(Shahrukh khan baloch, Sahiwal)
Ek Waqt Tha Jub Nigah E Marde
Momin Se Badal Jati Thin Taqdeeren Unki Lalkaar Se Sara Maghrib Kanp Jata Tha
Unki Imaandari Aur Ikhlaq Per Farishte Rashk Karte The Har Lehaaz Se Unhoon Ne
Khud Ko Ashraf Ul Makhlookat Sabit Kia Tha...
Aur Aaj Nigahoon Main Aisi Wehshat,Darindgi Kay Yahood To Kya Su'ar Bhi Sharma
Jaen Aaj Lalkaar Lalkaar Kar Apne Hi Bhai Ka Gala Kata Ja Raha Hai Isliye Kay
Woh Shia Tha Isliye Ke Woh Sunni Tha Isliye Ke Woh Punjabi Tha Ya Phir Isliye
Kay Woh Urdu Speaking Tha Aur Amal Is Qadr Past Kay Qudrat Ko Bhi Hansi Aa Jaye.
Phir Kehte Ho
Sailaab Aa Gaya
Zalzala Aa Gaya
Osama Aa Gaya
Drone Aa Gaya
Target Killer Aa Gaya
Khudkush Aa Gaya
ACHA HUA Tum Log Laiq Hi Isi Kay Ho !
Sari Raat Apni Janu Se Ishq Wala Love Larane Main Guzaar Dete Ho Aur Fajr Kay
Waqt Janab Ko Neend Aa Jati Hai Shayad Inhi Haalat Ko Mad E Nazar Ratkhte Hue
Hue ALLAMA MOHAMMAD IQBAL Ne Likha
Hum Se Kub Pyaar Hai Haan ! Neend Tumhen Pyari Hai.
Pankhe Se Latak Kar Ya Chalti Gari Kay Neechay Aa Kar Jaan Dena Tumhain Asaan
Lagta Hai Lekin Itni Himmat Nahin Kay Zulm Kay Khilaaf Awaz Uthaen .
Is Mushkil Daur Main Hidayat Pane Kay Liye Aur Falah Aur Kamyabi Kay Liye Humain
Islam Ki Taleemat Ko Apne Uper Apply Karna Hoga ALLAH Kay HABEEB(Saw) Ki
Taleemat Per Amal Karna Hoga Phir Yehi Mulk Hoga Yehi Awam Hogi Aur Yahi
Hukumraan Honge Aur Raushan Pakistan Hoga Iqbal Ka Pakistan Hoga.
Tabdeeli Hathon Main Hathyar Se Nahin Aati Ilm Aur Amal Se Aati Hai Aap Khud Ko
Tabdeel Karen Apne Ikhlaq Se Apne Ird Gird Kay Logon Ko Tabdeel Karen Aapka Ek
Naik Amal Ap Kay Mulk Ko Raushan Rahon Per Gamzan Karne Kirdar Aada Kar Sakta
Hai Qiun Kay
HAR SHAKS HAI MILAT KAY MUQADAR KA SITARA !