Nafraton Ki Aag

(Muhammad Nadeem, Karachi)

Nafraton Ki Aag Jaladi Hay Aaj Yahan
Jo Muhbbt K The Chiragh Bujha Kar Aaj Yahan

KAFAN K The Jo Tajir Apna KAFAN Bhi Atia kar Chaly hain Aaj Yahan
Jism K Aza Milte Nahi Mukammal... Fizaon Se Jo Zamen Pe Giry Hain Aaj Yahan

Laakh Chahon Ey Manzar Naqal Karna...Meri Rooh Tak Kanp Rahi Hay Aaj Yahan
Main Apni Ankhon Pe Parda Kayse Karon...Jo Manzar Dekh Raha Hon Aaj Yahan

Najane Kitne Hain Masumeen Bina KAFAN Khuly Aasman Aaj Yahan
Aqwam E Alam Dua E Maghfirat Kar Rahi Hain Aaj Yahan

Na kar Ruswa Zalimon k Saamne..Faqat Tera Hi Aasra Hay Jo Baythe Hain Dua E Maghfirat Ko Aaj Yahan.
---------------------
Meri Haathon Me Shamsheer E Mustafa Dedy
Na Haq Khoon Pe Mera Sr Tan Se Juda Kardy

Mera Waar Hr Zalim Pe Havi kardy
Agr Main Haq Pe Hon To Uska Sr Tan Se Juda Kardy.

Haadsah E Abbas Town karachi 04 Mar,2013

Muhammad Nadeem
About the Author: Muhammad Nadeem Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.