Baaz Husband Wife Jab In Ka
Mizaj Nahi Mil Pata To Shohar Yeh Faisla Kar Lite Hain Keh Ab Guzarah Mushkil
Hai, Yeh Merey Sath Nahi Chal Sakti, Ya Yeh Keh Muhabbat Ke Qabil Hi Nahi, Ya
Wife Ke Tamam Aiyub Ke Barey Unwaan Bana Kar Barey Barey Haruf Se Apni Peshani
Par Likh Dete Hai Keh Yeh Aisi Hai, Yeh Wisi Hai Waghairah Waghairah. In Husband
Se Ghuzarish Hai Keh Yeh Sochein Keh Allah Ke Yahan Jora Moqaddar Hai. Yeh Wife
Jo Merey Ghar Mein Hai, Allah Ke Dast Karam Se Ata Hui Hai. Aur Bhalai In Ka
Dast Karam Ata Karey, Iss Se Barh Kar Koi Cheezen Nahi Ho Sakti. Lehaza Jo Wife
Allah Ne Di Hai, Iss Ko Sari Dunya Ki Auraton Se Ziadah Haseen Samjain.
Aurtom Mein Do Siftain Qabil-E- Taareef Hain. Aik To Khidmat Gari Aur Doosri
Iffat. Iffat To Iss Darjah Hai Keh Mard Chahe Afyal Se Paak Hon, Lekin Waswason
Se Koi Shayad Hi Khali Ho Aur Shareef Aurton Mein Se Shayad Hi Koi Aisi Nikle
Jis Ke Dil Mein Kabhi Waswasa Bhi Aaya Ho.
Wife Haram Se Bachne Ka Wahid Zareeya Hai. Allah Pak Ne Halal Tareeqey Par Jo
Wife Ata Ki Hai Yeh Sab Se Ziadah Haseen Hai Aur Mujhay Haram Karyon Se Bachane
Ka Wahid Zareeyah Hai. Hazrat Muhammad (SAW) Ne Farmaya Keh “Apni Biwi Se Suhbat
Karna Bhi Sadqa Hai.”
Allah Pak Bhi Aise Logon Ko Apna Dost Bana Lete Hain Jo Apni Wife Ke Sath Husn
Salook Se Pesh Aatey Hain. Jis Zameen Wale Ne Apni Biwi Ki Tulkh Mizaji, Tarsh
Rawi, Bad Ikhlaqi Ya Husn Ki Kami Ko Bardashkia Aur Allah Ki Raza Ke Liye Iss Ke
Sath Acha Salook Kia To Aasmaan Wale Ne Iss Ko Itna Nawaza Keh Iss Ko Apna
Qareeb Ata Farmaya.
Agar Biwi Ko Shohar Se Piar Nahi Milta Aur Wo Mahsoos Karti Hai Keh Is Ke Dil
Mein Bhi Iss Ke Liye Jagah Nahi, Na Shohar Ke Rawaiye Mein Iss Ko Apni
Waqat-O-Izzat Ki Koi Jhalak Nazar Aati Hai To Iss Kam Naseeb Aurat Ke Dil Mein
Ahsaas Mahroomi Ka Aisa Khula Paida Ho Jata Hai Jo Mahaz Bimaar Jazbaat Se Pur
Hota Hai. Raat Din Wo Inhi Mein Ghiri Rahti Hai Jo Iss Ki Zindagi Ajran Kar Deti
Hai. Aisi Aurat Chahe Maan Ke Ghar Se Yeh Jazbaat Jahez Mein Layi Ho Ya Shohar
Ke Ghar Mein Aane Ke Baad Yeh Jazbaat Paida Huye Hon. Iss Ka Asal Sabab Donon
Suraton Mein Yahi Ho Ga Keh Isey Nazar Andaaz Kia Gia Hai Ya Wo Muhabbat Aur
Apnaiyat Se Mahroom Rahi Hai. Lehaza Apni Biwi Se Muhabbat Kijye Aur Yaad Rakhye
Muhabbat Ka Jawab Zarur Muhabbat Se Dia Jata Hai.
Isi Tarah Allah Ne Wife Ko Jo Muqaam Bakhsha Aur Isey Jo Hoquq Ata Kiye Hain, In
Ka Taqaza Hai Keh Wo Apni Khuda Dad Salahiyatain Apne Shareek Zindagi Ke Sath
Taawun Aur Isey Khush Rakhne Mein Sarf Karey. Agar Donon Yeh Kam Karain To Na
Sirf Yeh Keh Ghar Dunya Hi Mein Jannat Ban Jaye, Balkeh In Ka Yeh Tarz-E-Amal
Mustaqil Ibadat Ke Hokum Mein Hai, Jo Aakhrat Ki Haqiqi Jannat Ka Wasila Bhi Hai.