Pur Sakoon Zindagi Guzarne Ka
Tarika
Pur Sakoon Zindagi Dunya Mein Sabhi Ki Aarzu Aur Nasbul Ain Hai. Kuch Log Is Ke
Hasool Ke Liye Dolat Ka Tayaqub Karte Hain To Baaz Shohrat Ka Sahara Lene Ki
Koshish Karte Hain Lekin Yeh Sb Kuch Pane Ke Bawajood Khushyon Se Bhar Poor
Zindagi Aik Sarab Sabit Ho Skti Hai. In Das Sunahre Asoolon Par Amal Kar Key
Dekhein Jo Aap Ko Khush O Khurram Zindagi Ki Rah Par Gamzan Kar Skte Hain.
Yoga Ki Saans Ki Mshqein Karein, Achi Soch Apnayein
Subah Sawere Ka Kuch Waqt Apni Zehni Aur Jismani Sehat Ki Behtar Ke Liye
Makhsoos Kar Lein. Rozana Yoga Ki Sans Ki Mashqein Karein. Doosron Se Acha
Rawaiya Rakhein Aur In Se Afoo Dar Guzar Par Mabni Tarz Amal Ikhtiyar Karein
Dushmani Ke Beej Ko Kabhi Dil Mein Panapne Ka Moqa Na Dein.
Sehat Bakhsh Ghiza Khayein
Tambako Noshi Kam Se Km Karein Ya Bilkul Tark Kar Dein. Bara Gosh Chiknayi Aur
Tez Masalon Se Bhar Poor Ghizayein, Shaker Namak Ke Istemaal Mein Ahtiyat Karein.
Be Khof Ho Kar Jina Sikhein
Sb Se Bare Khof Teen Hain Yani Mot, Bimari Aur Faqa Kashi. Yaad Rakhein Is Dunya
Mein Aane Wale Har Fard Ko Wapis Jana Hai Yahan Har Aaghaz Ka Anjam Aur Ibtada
Ki Intaha Hai. Mot Aik Atal Haqiqat Hai Jise Koi Na Tal Skta Lehaza Mot Ka Khof
Be Kar Aur Be Sood Hai.
Agar Hum Oper Wala Asool Apnayein To Phir Bimari Se Khofzadah Hone Ka Bhi Jawaz
Nahi Rehta .
Sari Dunya Ki Makhlooqat Ko Paida Karne Wale Ne In Ki Khorak Bhi Wafir Moqdar
Mein Paida Ki Hai. Bhook Mitane Ka To Rab Kareem Ne Bandobast Kar Rakha Hai
Lekin Lalach Aur Hirs Ka Pet Kabhi Nahi Bhar Skta Chunan Chah Apni Zaroorat Ko
Kam Se Kam Rakhein Faqa Kashi Ka Khof Khood Ba Khood Dm Tor De Ga.
Manfi Soch Se Se Gurez Karein, Masbat Tarz Fikar Apna Lein
Khush Umeedi Ka Daman Kabhi Na Chorein, Masbat Andaz Mein Sochein. Muhabbat Aman
Dostana Taluqaat Aur Qanayat Jaisi Nematein Inhi Ko Hasil Hoti Hain Jo Masbat
Tarz Fikar Rakhte Hain. Nazar Ishte’aal, Ana Parasti, Hasad Be Sakooni Aur
Tashaddud Jaise Jazbaat Se Door Rahein.
Etedal Se Kam Lein, Inteha Psandi Se Bachein
Shadeed Psand Aur Na Psand Key Jzbaat Parwan Charhane Se Gurez Karein. Agar Aap
Kisi Shakhs, Cheez Ya Jaga Ko Be Had Psand Karte Hain To Is Se Juda Hone Ka Dukh
Bhi Shadeed Hota Hai. Agar Aap Kisi Shakhs, Cheez Ya Jagah Ko Shiddat Se Na
Psand Karte Hain To Is Ka Samna Karna Ya Apna Na Bhi Be Hd Tkleef Dah Hota Hai.
Gehri Wabastagi Se Bachein
Cheezon, Logon Ya Jaghon Se Shadeed Wabastagi Ikhtiyar Karne Se Gurez Karein
Takeh In Se Door Hone Ka Sadmah Bardasht Kar Sakein.
Aazad Zindagi Guzarein, Doosron Par Inhesar Na Karein
Apna Kam Khood Karein Doosron Ki Madad Km Se Km Lein, Khua Woh Afrad Ka Zati
Tayawun Ho Ya Mashinon Aur Ashya Par Inhesar.
Zindagi Key Har Lamhe Se Lutf Andoz Hon
Motwazan Zindagi Guzarein. Kam Khandan Aur Doston Ke Elawah Apne Liye Munasib
Waqt Nikalein. Apni Tamam Sar Garmiyon Se Bhar Poor Taskeen O Itminan Akhaz
Karein, Jo Kuch Bhi Karein Is Se Poori Tarah Lutf Andoz Hon. Kisi Ne Kia Khoob
Kaha Hai, Aisa Peshah Muntakhab Karein Jo Aap Ko Psand Ho, Phir Aap Ko Kabhi
Apna Kaam Kaam Nahi Lage Ga.
Apni Taraf Se Poori Koshish Karein, Natijah Allah Par Chor Dein
Yahi Hamara Nasbul Ain Hona Zaroori Hai, Is Ke Baad Is Ke Hasool Ke Liye
Mansubah Bandi Ke Sath Kam Karein, Apni Taraf Se Bhar Poor Koshish Karein Lekin
Natije Ki Fikar Na Karein Ise Khuda Par Chor Dein Aur Is Ki Rehmaton Aur Nematon
Ka Har Dam Shukar Ada Karte Rehein.
Sadah Zindagi Guzarein
Apni Zindagi Pechidgiyon Ko Dakhil Na Hone Dein. Apna Mowazna Doosron Se Na
Karein Kiun Keh Aise Mowazna Ki Koi Inteha Nahi Hoti. Sadgi Saaf Goyi Aur
Shaistagi Ko Apna Ashar Banayein, “Shukar Yah” Aur “Muaf Kijye” Jaisse Alfaz
Kasrat Se Istemaal Karein. Doosron Par Hokum Na Chalayein Is Ke Bajaye Raye
Tajweez Aur Mashware Istemaal Karein Aur Phir Dekhein Keh Aap Ki Zindagi Kitni
Sehal Aur Aasan Ho Jaye Gi.
Tags: Bari Pur Sakoon Thi Zindagi, Pur Sakoon Zindagi, Zindagi Gulzar Hai,
Zindagi Guzarne Ke Usool, Zindagi Guzarne K Asal, Zindagi Guzarne Ka Tarika