Betiyon Ki Parwarish Aaj Bhi 
Maan Baap Aur Khosusan Maan Ke Liye Mushkil Marhala Hai, Agar Maan Taaleem Yafta 
Aur Samajh Dar Ho To Yeh Marhala Qadre Aasan Ho Jata Hai, Warna Yeh Kachi Miti 
Jaisi Larkian Kabhi Khubsurat Gul Daan Nahi Banti. Betiyon Ki Tarbiat Kaise 
Bahtar Andaaz Se Ki Jaye Iss Ke Liye Chand Nokat Kar Aamad Ho Sakte Hai Takeh In 
Ki Shakhsiyat Par Atemaad Ho Aur Zamane Ka Samna Andaz Mein Kar Sakein. 
Behtar Taleem Ki Farahmi:
Taleem Kisi Bhi Fard Ki Shakhsiyat Ki Takmeel Ka Aham Tareen Juz Hai Amuman 
Parents Aulaad Ke Liye Taleem Ki Saholatain Muntakhab Karte Huye Apne 
Maiyar-E-Zindagi Ko Mad-E-Nazar Rakhte Hain, Tahum Yahan Aik Pahloo Aksar Dekhne 
Mein Aaya Hai Keh Larkon Ke School Ke Muaamley Mein Koyi Samjhotah Nahi Kia Jata 
Jabkeh Larkion Ke Liye Maamuli School Se Bhi Samjhotah Kar Lia Jata Hai Iss 
Rujhhaan Ko Taleemi Khatam Ho Jana Chaiye. Larkiyon Ke Liye Bhi Behtareen 
Taaleem Ki Farahmi Yaqini Banana Chahye.Beti Ko Agar Maiyari Taleem Se Aarastah 
Karein Ge To, Is Ski Shakhsiyat Mein Nikhar Aaye Ga Agar Taleem Ki Bunyad Hi 
Mazboot Hogi To Aala Taleem Ka Hosul Aasan Hoga 
Munasib Hosla Afzayi:
Bachiyon Ki Har Manzil Par Munasib Hoslah Afzaayi Karain, Iss Silsile Mein Khaas 
Kheyal Rakhain Keh Jahan In Ko Sahare Ki Zaroorat Ho Wahan Aap Ko Pely Se Mojood 
Hona Chahye. Bachiyan Agar Kisi Imtehaan Mein Achey Number Leti Hain, Ghar Ka 
Koyi Kaam Acha Karti Hain, Kisiwaqt Koyi Achi Baat Kehti Hain To Bhi Waldain Ko 
In Ki Bhar Poor Himmt Afzayi Karni Chahiye Takeh In Ka Hoslah Buland Ho Wo 
Mazeed Behtar Ho Sakain. Hoslah Afzayi Ka Yeh Amal Shakhsiyat Mein Towazan Paida 
Kar Ga Aur Jab Bachi Koyi Kaam Kare Gi To Ise Aitmaad Ke Sath Kare Gi Keh Wo Ach 
Kaam Kar Rahi Hai Jo Iss Ke Waldain Pasand Karin. Aitmaad Ghar Se Mile Ga To 
Muashra Bhi Iss Atemaad Se Mustafeed Hoga.
Beti Ki Dost Banye:
Beti Ki Shakhsiyat Mein Aitmaad Paida Karne Ke Liye Doosra Ahum Nokta Yeh Hai 
Keh Mayon Ko Apni Betiyon Ke Buhat Qareeb Hona Ziada Masroofyat Ya Kisi Aur 
Wajah Se Apni Batyon Ke Qareeb Nahi Rah Pati Hain, Kayi Masayal Janm Lete Hain. 
Larkiyon Ke Phool Se Nazuk Wajood Zahan Mein Uljhanain Paida Ho Jati Hai Jo 
Shakhsiyat Ko Adhura Rakhti Hain Aur Bachiyan Ahsaas Mahroomi Ka Shikar Rahti 
Hain.
Be Ja Rook Tok Se Guraiz Karain:
Bachiyon Ko Apne In Ahbaab Se Jin Mein Aap Koi Khubi Mahsoos Karti Hain Ya Jin 
Par Aap Ko Aitmaad Ho Aur Ya Jin Ke Bache Aap Ke Bachon Ke Hum Umer Hon Logon Se 
Milne Julne Ka Dhang Aata Hai To In Ki Shkhsiyat Buhat Pur Aitmaad Hoti Hai Wo 
Kisi Ko Daikh Kar Ghabrati Nahi Hain Aur Mahmanon Ka Samna Buhat Aitmaad Se 
Karti Hain Lehaza Inn Ko Ahbaab Se Mutarif Karwayain Takeh Wo Aitmaad Se Baat 
Karna Sikhain.
Bachion Mein Imteaz Har Giz Na Karin:
Bachion Mein Ki Jane Wali Tafarruq Shakhsiyat Ko Tor Phor Deti Hai Wo 
Ahsaas-E-Mahroomi Aur Kamtari Ka Ahsaas Paida Kar Leti Hain Aur Basa Awqaat Sari 
Zindagi Ahsaas Kamtari Ka Shikaar Hi Rahti Hain Jis Se In Ki Shkhsiyat Ki 
Nash-O-Numa Nahi Ho Pati Hai Wo Kamzor Aur Aitmaad Ke Beghair Roh Jate Hain 
Lehaza Tamam Bachon Ko Yaksaan Ahmiyat Dain. Mayon Ki Janib Se Milne Wala Yeh 
Mazboot O Anmol Tuhfah Bila Shubah Larkiyon Ki Shaksiyat Mein Pur Aitmaad Aur 
Mokammal Shakhsiyat Ko Paida Karne Mein Khatir Kha Madad De Ga. Agar Aap In 
Chand Nokaat Ko Zehan Mein Rakheain To Koi Shubah Nahi Keh Aap Ki Beti Ki 
Shakhsiyat Pur Aitmaad Na Bane. Achi Tarbiyat Achi Maan Hi De Sakti Hai Aur Aap 
Yaqinan Achi Maan Banna Pasand Karin Gi.