Paal Nhn Saktay To Paida Kiyun Kartay Ho?
(Syed Ali Murad, Islamabad)
''Yai Din Daikhnay Se
Acha Tha Tumhain Paida Hi Na Karti''.Yai Wo Jumla Hai Jo Ghareeb Ghar Ki Aurat
Zindagi Main Apne Bachoun Se Zarur Kahti Hai.Laikin Yai Jumla Tab Bola Jata Hai
Jab Bohat Dair Ho Chukki Hoti Hai.Aur Ghareeb Ghar Ka Bacha Yai Jumla Kisi
Najaiz Maang Per Nhn Balkay Bunyadi Zarurat Poori Na Honay K Sawal Per Sunta
Hai.Yahan Sawal Yai Banta Hai K Kahein Yai Jumla Na Bolna Parray,Bacha Paida
Karnay Se Pahlay Kiyun Nhn Socha Gaya?Agar Miyan Bivi Ko Yai Maloom Hai K Hum
Apna Khana Mushkil Se Poora Kartay Hain To Phr Yai Kiyun Nhn Sochtay K Bachay Ka
Kahan Se Poora Karrain Ge?Agar Khana Mushkil Se Poora Hota Hai To Bachay Ka
Libaas,Achi Taleem Aur Deegar Bunyadi Ikhrajat Kaisay Pooray Houn Ge?Badqismati
Se Humaray Pakistani Maashray Main Bhi Yai Bimaari Bohat Paai Jaati Hai K Khanay
Ko To Mushkil Se Millay Phr Bhi Har 2 Saal Baad Bacha Paida Karnay Ka Shouq
Hai.Aur Phir Un Bachoun Ko Maa Baap Ki Nakami Ki Vajja Se Zaleel Hona Parta Hai
Aur Maashray Main Child Labours Barhatay Hain.Aur Un Ki Saari Zindagi Sheikh
Chilli Walay Mohallat Banatay Guzar Jati Hai.Mairi Umar 20 Saal Hai.Aur Main Aik
Middle Class Ghar Se Taaluq Rakhta Houn.Laikin Apne Maa Baap Ki Ghalti Ko Main
Nahein Dohraoun Ga.Main Jab Tak Is Qaabil Nhn Ho Jata K Apne Bivi Bachoun Ko
Dunya Ki Har Khushi Dai Sakkoun Tab Tak Bachay To Door Ki Baat Shaadi Bhi Nhn
Karoun Ga.Aur Agar Is Qaabil Na Ban Paya To Kabhi Shaadi Nhn Karoun Ga.Main Nhn
Chahta K Mairi Nakami Ki Vajja Se Dunya Main Mairay Bivi Bachoun Ko Zaleel Hona
Parray.Hum Musalman Is Baat Ka Bohat Refrence Daitay Hain K Bacha Apna Rizzq
Likhva K Lata Hai.Beshuk!Laikin Bacha Apna Libaas,Taleem Aur Deegar Bunyadi
Zaruriyat Jo Walladain Ka Farz Hain Wo Bhi Likhva K Lata Hai Kya?Jawab Hai Har
Gizz Nhn,Is Ka Intazam Karna Walladain Ka Farz Hai.Mairi Government Of Pakistan
Se Yai Appeal Hai K National Assembly Main Aik Law Pass Kiya Jaeye.Jis K Mutabiq
Pakistani Citizens Per Yai Farrz Ho K Wo Tab Tak Bacha Paida Nhn Kar Saktay Jab
Tak K Un Ki Yai Oqaat Ho K Wo Bachay Ki Kam Az Kam Tamam Bunyadi Zaruriyat Poori
Karnay K Qaabil Houn.Jin Main Achi Hurraak,Munaasib Libaas Aur Khasoosan
Bahtareen Taleem Aur Deegar Shaamil Hain.