Saas Bahu
(maham siddiqua, karachi)
Aaj Me Apk Saamne Us Rishtay K
Kuchh Eham Pehlu Laoungi Jisko Humary Muashrey Main Nihayati Khatarnaak Samajha
Jata Hai Ji Haan.....Me Baat kar Rahi Hun Saas Bahu K Rishtay Ki....Kya Kabhi
Kisi Ne Socha Hai Kabhi Ye Samajhne Ki Koshish Ki Hai K Jo Larki Apna Sab Kuch
Chor Kar Apka Ghar Basane, Usko Khushyon K Phoolon Se Mahkane Aati Hai Hum Usk
Saath Ksa Rawaiya Rakhte Hain?????
Kehte Hain Bahu Ko Beti Jsa Hi Pyar Dena Chahye Lekin Me Kehti Hun Bahu Ko Beti
Se Ziada Pyar Dena Chahye.....Shayad Ye Parhne K Baad Kuchh Log Sochen K Me
Kucch Ziadti Kar Rahi Hun Lekin Aisa Nahi Hai....Zara Sochye Ek Larki Apna Ghar
Baar Apne Maaa Baap Chor Kar Apk Ghar Ati Hai...Apko Waris Deti Hai Saas Susar
Ki Khidmat Karti Hai Or Shohar Ko Sukoon Deti Hai...Lekin Isk Silay Main Humary
Yehan Usk Saaath Kuchh Achha Sulook Nhi Kiya Jata....Me Apk Samne Apne Ek
Qaareebi Rishtedaar K Ghar Ka Manzar Pesh Karti Hun.....Sham Ka Waqt Hai Firdous
Bibi Ki Bahu Ki Maa Usay Chand Roz K Liye Apne Sath Lejaney Ayi Hain Jiski Shadi
Ko Ba Mushkil Abhi Ek Mahina Hua Hai Or Wo Pragnent Hai Or Iswaqt Bukhar Main
Tap Rhi Hai....Unki Bahu Ki Maa Ne Jab Beti Ko Chand Roz K Liye Apne Sath Le
Janey Ki Baat Ki To Unho Ne Kehdia K Ye Pela Mahina Hai Isay Zara Guzar Janey Do
Phir Ajayegi....Pehle Mahinay Main Bohot Ehtiat Karni Hoti Hai....Lekin Kuchh
Dair Baad Hi Dekhen Kya Wo Larki Jo K Pragnent Hai Bukhar Main Tapti Hui Kitchen
Main Khari Rotian Bana Rahi Hai.....Zara Sochye K Kya Koi Maa Apni Beti Ko Isa
Haalat Main Wo B Jab Wo Bmar Hai Koi Kaam Karne Degi?????? Yaqinan Nhi....Lekin
Firdous Bibi Ko Usay Apni Maa K Ghar Bhejne Main To Ehtiat Ka Khayal Aa Rha Tha
Lekin Jab Wo Ghar K Kaam Kar Rhi Hoti Hai Tab Ye Khayal Nhi Aata.....Dusre Hi
Lamhe Firdous Bibi Ne Apni Bahu Ki Maa Ko Ye Jata Dia K Eid Per Apki Beti Apk
Ghar Nhi Ja Sakti.....Arey Nhi Unho Ne Isterha Nahi Kaha Yaqenan...Unho Ne Kaha
K Pehle Din To Sab Apne Ghar Main Guzarte Hain Aur Dusre Din Humari Betian
Ayengi To Unhe Achha Nhi Lagega K Bhabi Ghar Main Nhi Hain...Zara Thehren Or
Sochen K Kya Apni Maa K Pass Aney Ka Dil Sirf Apki Betiyon Ka Karta Hoga??????
Bahu Ka Nhi?????
Meri Aap Sab Se Guzarish Hai Ager Apne Gharo Ko Jannat Banana Chahty Hain To
Khudara Ye Bahu Aur Beti Ka Farq Khatam Karen....Jisterha Ap Ne Nazo Se Apni
Beti Ko Paala Hai Wo Bhi Kisi Ki Arso Ki Mehnat Main Parwan Charhi Hai......Jisdin
Dilo Se Bahu Or Beti Ka Farq Khatam Hojayega Usdin Apk Gharo Main Sukoon Qaim
Hojayega......Ager Mere Is Article Se Kisi Ek Ghar Main Bhi Koi Misbat Tabdili
Ayi To Me Samjhungi Mera Likhna Kamyab Hogaya....Apna Bohot Khyal Rakhye Aur
Apne Ird Gird Logon Ka Bhi.....Duaon Main Yaad Rakhyega :)