(imran channa, karachi)
Kisi Gao Mein Ek Garib Lakharhara Rehta Tha. Jiska Naam Abu Wahab Tha Magar Log Usko Babu Lakhar K Naam Se Pukarty Thay. Bhot Nek Or Mehnat Mazdori Kanray Wala Admi Tha. Babu Lakhar Apnay Bivi Or Do Bacho K Sath Rehta Tha Wo Her Roz Jhangal Mein Apnay Do Bacho K Sath Lakriya Katnay Jata Tha.Or Bazar Mein Baich Kar Rozi Roti Kamata Tha Ek Din Babu Lakar Janghal Se Lakriya Katnay Jara Tha K Rasty Mein Isko Raju Mithaye Wala Mil Gya Raju Ne Pucha Kaha Jary Ho Babu Lakar Woo….Mein Samahaj Gya Lakriya Katnay Na(Raju Uski Baat Katy Howay Bola)?Babu Lakar Ne Kaha Han: Magar Jhangal Mein Kataye Hori Hai Us Jagha Bara Hispatal Banaya Jayega Raju Ne Kaha: To Babu Lakar Ne Hearat Zada Lehjay Mein Kaha Ye Kaisay Hosakta Hai???Janghal To Jangli Janwaro Se Bhara Para Hai ? Raju Ne Btaya K Waha Hukumat Kay Hukum Se Ktaye Horai Hai Or Hispatal B Ban Raha Hai. Raju:Chalo Yar Ek Sahulat To Mil Hum Gao Walo Ko Sarkari Hispatal Ki Ye Kahty Howay Raju Waha Se Chala Gya Abu Ab Hum Roti Kaha Se Kahaien Gay?Babu Lakar Ne Apnay Bety Ko Tasali De Or Kaha Beta Allah Sab Ka Malik Hai Chalo Bacho Ab Ghar Chalty Hain Babu Lakar Ne Apni Ankho Se Ansu Saaf Karty Howay Kaha . Ghar Ponchty He Bv Ne Pucha Kia Baat Hai Apkay Chery Pay Pareshani Nazar Arhi Hai Kia Aaj Lakriya Nahe Kaatien?”Aami Wo Mithaye Wala Hai Na Us Ne Btaya K Janghal Kaat Kar Us Jagha Bara Hispatal Bnaya Jayega Bety Ne Btaya Phir Agli Subah Ko Babu Lakar Bahir Nikal Gaya Mazdori Ki Talash Mein Jab Sham Tak Isko Koi Kaam Na Mila To Wo Usi Janghal Mein Chala Gaya Jaha Kataye Ka Kam Jari Tha (Usko Waha Waqat Ka Pta He Na Chala K Bety Bety Kab Suraj Dhal Gaya)Wo Janghal Mein Idher Se Udher Thel Raha Tha K Isko Ek Awaz Sunai De Jo Ek Fakir Ki Awaz Thi Jo Kuch Barbaraha Tha . Babu Lakar Ne Pas Ja Kar Pucha Ap Kon Hain Fakir Ne Jawab To Nhe Dia Albata Is Ko Kuch Btaya K Yaha Se Door Ek Gao K Janghal Mein Ek Darakt Hai Jis K Ptay Lal Rang K Hain Agar Is Kay Chalkay Kor K Maraz Ko Ghol Kar Piyaleye Jaein To Wo Sehat Yab Hojaye Or Usi Janeghal Mein Ek Gaar Hai Jo Khazanay Se Bhra Para Hai Ye Kehty Howay Bhora Fakir Waha Se Chala Gaya Babu Lakar Ne Ghar Akar Sara Kisa Apnay Ghar Walo Ko Sunaya Babu Lakar Ki Bv K Dil Mein Lallash Bhar Gaye Dikho Abu Wahab Waisay B Hum Log Garib Hain Aisa Karo Tum Rat Ko Apnay Dono Bacho K Sath Us Gao K Janghal Mein Jakar Khazana Lay Ana Is Tarha Hum Sab Ka Guzara B Hojaye Ga Or Hum Bhot Ameer Hojaien Gay Babu Lakar Ki Bv Ne Mashwara Dia. Han Abu Hum Jakar Khazana Lay Karaeingay Bacho Ne B Shor Machana Shoro Kardia Babu Lakar Ne Apnay Bacho Ko Tasali Di Dekho Beta Hum Is Tarah Ajanabi Gao Mein Kaisay Jasaktay Hain Or Wo Janghal Pata Nahe Kitna Khof Nak Ho Or Hum Ja Kar Khazana Lay Karaein Ye To Buri Baat Howi Na O Fff Ho Achi Ho Ya Buri Is Se Humein Kia ? Bus Raat Ko Tum Jakar Khazana Lay Karao Gay Babu Lakar Ki Bv Ne Gusy Mein Kaha Majburann Babu Lakar Razi Hogaya . Phir Usi Raat Ko Babu Lakar Apnay Bacho K Sath Dosray Gao K Janghal Mein Khazanay Ki Talash Mein Nikala Usay Dosray Gao Mein Phonchaty He Subah Hogaye Babu Lakar Ghabra Raha Tha Or Dil Mein Soch Arah Tha K Pta Nahe Is Gao K Log Hum Se Kia Bartao Karien Gay. Kahana B Khatam Hogaya Tha Bacho Tumhein Bhok To Nahe Lag Rahi Hai Babu Lakar Ne Pucha Abu Humein Bhot Bhok Lag Rahi Hai Bacho Ne Jawab Dia Babu Lakar Ne Ek Ghar Ka Darwaza Khatkhtata Kar Pucha Koi Hai Jo Humein Pani Pilaye Ghar K Andar Se Ek Bhora Admi Nikla Bahi Sahab Bacho Ko Bhot Bhok Lag Rahi Hai Bhora Admi Bola Magar Tum Ne To Darwaza Khatkhtatny Se Pehly Sirf Pani Ka Pucha Tha ? Han Piyas To Bhot Lag Rahi Hai Babu Lakar Ne Ghabra Kar Jawab Dia Acha Andar Ajao Admi Unko Ek Kamray Mein Lay Gaya Tum Log Yaha Betho Mein Tumharay Liye Kahana Lay Kar Ata Ho . Kafi Der K Baad Jab Bhora Admi Wapis Aaya To Us K Hath Mein Do Rotiya Or Thora Sa Salan Tha Jo Bacho Ko Day Dia Tum Log Is Ajnabi Gao Mein Kia Karnay Aye Ho Bhoray Admi Ne Pucha ? Babu Lakar Ne Kuch Der Sochanay K Baad Sehmi Howi Se Awaz Mein Bola…. Ji Wo …Bachy Forann Apnay Baap Ki Baat Katay Howay Bol Pary Ankal Ankal Abu Ko Ek Fakir Ne Btaya Tha Is Gao Mein Ek Janghal Hai Jis Mein Khazana Para Howa Hai To Hum Wo Lay Nay Aye Hain. Beta Agar Is Gao K Janghal Mein Khazana Hota Hota To Mein Or Is Gao K Log Garibana Zindagi Kiyo Guzarty ? Bhoray Admi Ne Jawab Dia . Magar Humein To Ek Fakir Ne Btaya Tha K Fala Gao K Janghal Mein Kahazana Hai Babu Lakr Bola. Nahe Yaha Koi Kahzana Nahe Hai Bhoray Admi Ne Jawab Dia. Kahanay Se Farig Honay K Baad Babu Lakar Ne Ijazat Chaye. Bhorahay Admi Ne Babu Fakir Se Kaha Ek Baat Btaon? Wo Fakir Apko Jo Janghal Mein Mila Tha Dar Asal Mein Mein He Tha Mujy Majbooran Aisa Karna Para Kiyo K Mujy Ek Mithaye Waly Ne Btaya K Apko Ap Bhot Garib Insan Hain Is Ne Ye B Btaya K Aap Jis Janghal Se Lakriya Katnay Jaty Thay Us Jahga Hukumat Sarkari Hispatal Banwarahi Hai Par Aap Fikar Na Karein Apko Usi Hispatal Mein Ek Choti Se Nokri Mil Jayege Bus Ap Ja Kar Ye Kagzat Un Hispatal Walo Ko Dikhaye Bhoray Admi Ne Ek Kaaz Par Apna Naam Likh Kar Dia Wapis Akar Babu Lakar Ne Kagzat Hispatal Walo Diye To Us Ko Forann Usi Din Se Nokri Mil Gaye. Or Wo Hasni Kushi Zindage Basar Karnay Lagay Wo Bhora Admi He Dar Asal Usi Hispatal Ka Mailk Tha Kahatam Shud